Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ESTHER
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 10
Esth UrduGeoR 10:1  Bādshāh ne pūrī saltanat ke tamām mamālik par sāhilī ilāqoṅ tak ṭaiks lagāyā.
Esth UrduGeoR 10:2  Us kī tamām zabardast kāmyābiyoṅ kā bayān ‘Shāhān-e-Mādī-o-Fāras kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ kiyā gayā hai. Wahāṅ is kā bhī pūrā zikr hai ki us ne Mardakī ko kis ūṅche ohde par fāyz kiyā thā.
Esth UrduGeoR 10:3  Mardakī bādshāh ke bād saltanat kā sab se ālā afsar thā. Yahūdiyoṅ meṅ wuh muazzaz thā, aur wuh us kī baṛī qadar karte the, kyoṅki wuh apnī qaum kī bahbūdī kā tālib rahtā aur tamām Yahūdiyoṅ ke haq meṅ bāt kartā thā.