Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
REVELATION OF JOHN
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 4
Reve UrduGeoR 4:1  Is ke bād maiṅ ne dekhā ki āsmān meṅ ek darwāzā khulā huā hai aur turam kī-sī āwāz ne jo maiṅ ne pahle sunī thī kahā, “Idhar ūpar ā. Phir maiṅ tujhe wuh kuchh dikhāūṅgā jise is ke bād pesh ānā hai.”
Reve UrduGeoR 4:2  Tab Rūhul-quds ne mujhe fauran apnī girift meṅ le liyā. Wahāṅ āsmān par ek taḳht thā jis par koī baiṭhā thā.
Reve UrduGeoR 4:3  Aur baiṭhne wālā deḳhne meṅ yashab aur aqīq se mutābiqat rakhtā thā. Taḳht ke irdgird qaus-e-quzah thī jo deḳhne meṅ zumurrad kī mānind thī.
Reve UrduGeoR 4:4  Yih taḳht 24 taḳhtoṅ se ghirā huā thā jin par 24 buzurg baiṭhe the. Buzurgoṅ ke libās safed the aur har ek ke sar par sone kā tāj thā.
Reve UrduGeoR 4:5  Darmiyānī taḳht se bijlī kī chamkeṅ, āwāzeṅ aur bādal kī garjeṅ nikal rahī thīṅ. Aur taḳht ke sāmne sāt mashāleṅ jal rahī thīṅ. Yih Allāh kī sāt rūh haiṅ.
Reve UrduGeoR 4:6  Taḳht ke sāmne shīshe kā-sā samundar bhī thā jo billaur se mutābiqat rakhtā thā. Bīch meṅ taḳht ke irdgird chār jāndār the jin ke jismoṅ par har jagah āṅkheṅ hī āṅkheṅ thīṅ, sāmne wāle hisse par bhī aur pīchhe wāle hisse par bhī.
Reve UrduGeoR 4:7  Pahlā jāndār sherbabar jaisā thā, dūsrā bail jaisā, tīsre kā insān jaisā chehrā thā aur chauthā uṛte hue uqāb kī mānind thā.
Reve UrduGeoR 4:8  In chār jāndāroṅ meṅ se har ek ke chhih par the aur jism par har jagah āṅkheṅ hī āṅkheṅ thīṅ, bāhar bhī aur andar bhī. Din rāt wuh bilānāġhā kahte rahte haiṅ, “Quddūs, quddūs, quddūs hai Rab Qādir-e-mutlaq Ḳhudā, jo thā, jo hai aur jo āne wālā hai.”
Reve UrduGeoR 4:9  Yoṅ yih jāndār us kī tamjīd, izzat aur shukr karte haiṅ jo taḳht par baiṭhā hai aur abad tak zindā hai. Jab bhī wuh yih karte haiṅ
Reve UrduGeoR 4:10  to 24 buzurg taḳht par baiṭhne wāle ke sāmne muṅh ke bal ho kar use sijdā karte haiṅ jo azal se abad tak zindā hai. Sāth sāth wuh apne sone ke tāj taḳht ke sāmne rakh kar kahte haiṅ,
Reve UrduGeoR 4:11  “Ai Rab hamāre Ḳhudā, tū jalāl, izzat aur qudrat ke lāyq hai. Kyoṅki tū ne sab kuchh ḳhalaq kiyā. Tamām chīzeṅ terī hī marzī se thīṅ aur paidā huīṅ.”