Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
REVELATION OF JOHN
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 5
Reve UrduGeoR 5:1  Phir maiṅ ne taḳht par baiṭhne wāle ke dahne hāth meṅ ek tūmār dekhā jis par donoṅ taraf likhā huā thā aur jis par sāt muhreṅ lagī thīṅ.
Reve UrduGeoR 5:2  Aur maiṅ ne ek tāqatwar farishtā dekhā jis ne ūṅchī āwāz se elān kiyā, “Kaun muhroṅ ko toṛ kar tūmār ko kholne ke lāyq hai?”
Reve UrduGeoR 5:3  Lekin na āsmān par, na zamīn par aur na zamīn ke nīche koī thā jo tūmār ko khol kar us meṅ nazar ḍāl saktā.
Reve UrduGeoR 5:4  Maiṅ ḳhūb ro paṛā, kyoṅki koī is lāyq na pāyā gayā ki wuh tūmār ko khol kar us meṅ nazar ḍāl saktā.
Reve UrduGeoR 5:5  Lekin buzurgoṅ meṅ se ek ne mujh se kahā, “Mat ro. Dekh, Yahūdāh qabīle ke Sherbabar aur Dāūd kī Jaṛ ne fatah pāī hai, aur wuhī tūmār kī sāt muhroṅ ko khol saktā hai.”
Reve UrduGeoR 5:6  Phir maiṅ ne ek Lelā dekhā jo taḳht ke darmiyān khaṛā thā. Wuh chār jāndāroṅ aur buzurgoṅ se ghirā huā thā aur yoṅ lagtā thā ki use zabah kiyā gayā ho. Us ke sāt sīṅg aur sāt āṅkheṅ thīṅ. In se murād Allāh kī wuh sāt rūh haiṅ jinheṅ duniyā kī har jagah bhejā gayā hai.
Reve UrduGeoR 5:7  Lele ne ā kar taḳht par baiṭhne wāle ke dahne hāth se tūmār ko le liyā.
Reve UrduGeoR 5:8  Aur lete waqt chār jāndār aur 24 buzurg Lele ke sāmne muṅh ke bal gir gae. Har ek ke pās ek sarod aur baḳhūr se bhare sone ke pyāle the. In se murād muqaddasīn kī duāeṅ haiṅ.
Reve UrduGeoR 5:9  Sāth sāth wuh ek nayā gīt gāne lage, “Tū tūmār ko le kar us kī muhroṅ ko kholne ke lāyq hai. Kyoṅki tujhe zabah kiyā gayā, aur apne ḳhūn se tū ne logoṅ ko har qabīle, har ahl-e-zabān, har millat aur har qaum se Allāh ke lie ḳharīd liyā hai.
Reve UrduGeoR 5:10  Tū ne unheṅ shāhī iḳhtiyār de kar hamāre Ḳhudā ke imām banā diyā hai. Aur wuh duniyā meṅ hukūmat kareṅge.”
Reve UrduGeoR 5:11  Maiṅ ne dubārā dekhā to beshumār farishtoṅ kī āwāz sunī. Wuh taḳht, chār jāndāroṅ aur buzurgoṅ ke irdgird khaṛe
Reve UrduGeoR 5:12  ūṅchī āwāz se kah rahe the, “Lāyq hai wuh Lelā jo zabah kiyā gayā hai. Wuh qudrat, daulat, hikmat aur tāqat, izzat, jalāl aur satāish pāne ke lāyq hai.”
Reve UrduGeoR 5:13  Phir maiṅ ne āsmān par, zamīn par, zamīn ke nīche aur samundar kī har maḳhlūq kī āwāzeṅ sunīṅ. Hāṅ, kāynāt kī sab maḳhlūqāt yih gā rahe the, “Taḳht par baiṭhne wāle aur Lele kī satāish aur izzat, jalāl aur qudrat azal se abad tak rahe.”
Reve UrduGeoR 5:14  Chār jāndāroṅ ne jawāb meṅ “Āmīn” kahā, aur buzurgoṅ ne gir kar sijdā kiyā.