Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ECCLESIASTES
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 11
Eccl UrduGeoR 11:1  Apnī roṭī pānī par phaiṅk kar jāne de to muta'addid dinoṅ ke bād wuh tujhe phir mil jāegī.
Eccl UrduGeoR 11:2  Apnī milkiyat sāt balki āṭh muḳhtalif kāmoṅ meṅ lagā de, kyoṅki tujhe kyā mālūm ki mulk kis kis musībat se dochār hogā.
Eccl UrduGeoR 11:3  Agar bādal pānī se bhare hoṅ to zamīn par bārish zarūr hogī. Daraḳht junūb yā shimāl kī taraf gir jāe to usī taraf paṛā rahegā.
Eccl UrduGeoR 11:4  Jo har waqt hawā kā ruḳh deḳhtā rahe wuh kabhī bīj nahīṅ boegā. Jo bādaloṅ ko taktā rahe wuh kabhī fasal kī kaṭāī nahīṅ karegā.
Eccl UrduGeoR 11:5  Jis tarah na tujhe hawā ke chakkar mālūm haiṅ, na yih ki māṅ ke peṭ meṅ bachchā kis tarah tashkīl pātā hai usī tarah tū Allāh kā kām nahīṅ samajh saktā, jo sab kuchh amal meṅ lātā hai.
Eccl UrduGeoR 11:6  Subah ke waqt apnā bīj bo aur shām ko bhī kām meṅ lagā rah, kyoṅki kyā mālūm ki kis kām meṅ kāmyābī hogī, is meṅ, us meṅ yā donoṅ meṅ.
Eccl UrduGeoR 11:7  Raushnī kitnī bhalī hai, aur sūraj āṅkhoṅ ke lie kitnā ḳhushgawār hai.
Eccl UrduGeoR 11:8  Jitne bhī sāl insān zindā rahe utne sāl wuh ḳhushbāsh rahe. Sāth sāth use yād rahe ki tārīk din bhī āne wāle haiṅ, aur ki un kī baṛī tādād hogī. Jo kuchh āne wālā hai wuh bātil hī hai.
Eccl UrduGeoR 11:9  Ai naujawān, jab tak tū jawān hai ḳhush rah aur jawānī ke maze letā rah. Jo kuchh terā dil chāhe aur terī āṅkhoṅ ko pasand āe wuh kar, lekin yād rahe ki jo kuchh bhī tū kare us kā jawāb Allāh tujh se talab karegā.
Eccl UrduGeoR 11:10  Chunāṅche apne dil se ranjīdagī aur apne jism se dukh-dard dūr rakh, kyoṅki jawānī aur kāle bāl dam-bhar ke hī haiṅ.