ECCLESIASTES
Chapter 10
Eccl | UrduGeoR | 10:1 | Marī huī makkhiyāṅ ḳhushbūdār tel ḳharāb kartī haiṅ, aur hikmat aur izzat kī nisbat thoṛī-sī hamāqat kā zyādā asar hotā hai. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:2 | Dānishmand kā dil sahīh rāh chun letā hai jabki ahmaq kā dil ġhalat rāh par ā jātā hai. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:3 | Rāste par chalte waqt bhī ahmaq samajh se ḳhālī hai, jis se bhī mile use batātā hai ki wuh bewuqūf hai. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:4 | Agar hukmrān tujh se nārāz ho jāe to apnī jagah mat chhoṛ, kyoṅki pursukūn rawaiyā baṛī baṛī ġhaltiyāṅ dūr kar detā hai. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:5 | Mujhe sūraj tale ek aisī burī bāt nazar āī jo aksar hukmrānoṅ se sarzad hotī hai. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:6 | Ahmaq ko baṛe ohdoṅ par fāyz kiyā jātā hai jabki amīr chhoṭe ohdoṅ par hī rahte haiṅ. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:7 | Maiṅ ne ġhulāmoṅ ko ghoṛe par sawār aur hukmrānoṅ ko ġhulāmoṅ kī tarah paidal chalte dekhā hai. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:8 | Jo gaṛhā khode wuh ḳhud us meṅ gir saktā hai, jo dīwār girā de ho saktā hai ki sāṅp use ḍase. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:9 | Jo kān se patthar nikāle use choṭ lag saktī hai, jo lakaṛī chīr ḍāle wuh zaḳhmī ho jāne ke ḳhatre meṅ hai. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:10 | Agar kulhāṛī kund ho aur koī use tez na kare to zyādā tāqat darkār hai. Lihāzā hikmat ko sahīh taur se amal meṅ lā, tab hī kāmyābī hāsil hogī. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:11 | Agar is se pahle ki saperā sāṅp par qābū pāe wuh use ḍase to phir saperā hone kā kyā fāydā? | |
Eccl | UrduGeoR | 10:12 | Dānishmand apne muṅh kī bātoṅ se dūsroṅ kī mehrbānī hāsil kartā hai, lekin ahmaq ke apne hī hoṅṭ use haṛap kar lete haiṅ. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:13 | Us kā bayān ahmaqānā bātoṅ se shurū aur ḳhatarnāk bewuqūfiyoṅ se ḳhatm hotā hai. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:14 | Aisā shaḳhs bāteṅ karne se bāz nahīṅ ātā, go insān mustaqbil ke bāre meṅ kuchh nahīṅ jāntā. Kaun use batā saktā hai ki us ke bād kyā kuchh hogā? | |
Eccl | UrduGeoR | 10:16 | Us mulk par afsos jis kā bādshāh bachchā hai aur jis ke buzurg subah hī ziyāfat karne lagte haiṅ. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:17 | Mubārak hai wuh mulk jis kā bādshāh sharīf hai aur jis ke buzurg nashe meṅ dhut nahīṅ rahte balki munāsib waqt par aur nazm-o-zabt ke sāth khānā khāte haiṅ. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:18 | Jo sust hai us ke ghar ke shahtīr jhukne lagte haiṅ, jis ke hāth ḍhīle haiṅ us kī chhat se pānī ṭapakne lagtā hai. | |
Eccl | UrduGeoR | 10:19 | Ziyāfat karne se haṅsī-ḳhushī aur mai pīne se zindādilī paidā hotī hai, lekin paisā hī sab kuchh muhaiyā kartā hai. | |