Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ZECHARIAH
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 3
Zech UrduGeoR 3:1  Is ke bād Rab ne mujhe royā meṅ imām-e-āzam Yashua ko dikhāyā. Wuh Rab ke farishte ke sāmne khaṛā thā, aur Iblīs us par ilzām lagāne ke lie us ke dāeṅ hāth khaṛā ho gayā thā.
Zech UrduGeoR 3:2  Rab ne Iblīs se farmāyā, “Ai Iblīs, Rab tujhe malāmat kartā hai! Rab jis ne Yarūshalam ko chun liyā wuh tujhe ḍānṭtā hai! Yih ādmī to bāl bāl bach gayā hai, us lakaṛī kī tarah jo bhaṛaktī āg meṅ se chhīn lī gaī hai.”
Zech UrduGeoR 3:3  Yashua gande kapṛe pahne hue farishte ke sāmne khaṛā thā.
Zech UrduGeoR 3:4  Jo afrād sāth khaṛe the unheṅ farishte ne hukm diyā, “Us ke maile kapṛe utār do.” Phir Yashua se muḳhātib huā, “Dekh, maiṅ ne terā qusūr tujh se dūr kar diyā hai, aur ab maiṅ tujhe shāndār safed kapṛe pahnā detā hūṅ.”
Zech UrduGeoR 3:5  Maiṅ ne kahā, “Wuh us ke sar par pāk-sāf pagaṛī bāndheṅ!” Chunāṅche unhoṅ ne Yashua ke sar par pāk-sāf pagaṛī bāndh kar use nae kapṛe pahnāe. Rab kā farishtā sāth khaṛā rahā.
Zech UrduGeoR 3:7  “Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Merī rāhoṅ par chal kar mere ahkām par amal kar to tū mere ghar kī rāhnumāī aur us kī bārgāhoṅ kī dekh-bhāl karegā. Phir maiṅ tere lie yahāṅ āne aur hāzirīn meṅ khaṛe hone kā rāstā qāym rakhūṅgā.
Zech UrduGeoR 3:8  Ai imām-e-āzam Yashua, sun! Tū aur tere sāmne baiṭhe tere imām bhāī mil kar us waqt kī taraf ishārā haiṅ jab maiṅ apne ḳhādim ko jo Koṅpal kahlātā hai āne dūṅgā.
Zech UrduGeoR 3:9  Dekho wuh jauhar jo maiṅ ne Yashua ke sāmne rakhā hai. Us ek hī patthar par sāt āṅkheṅ haiṅ.’ Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Maiṅ us par katbā kandā karke ek hī din meṅ is mulk kā gunāh miṭā dūṅgā.
Zech UrduGeoR 3:10  Us din tum ek dūsre ko apnī angūr kī bel aur apne anjīr ke daraḳht ke sāy meṅ baiṭhne kī dāwat doge.’ Yih Rabbul-afwāj kā farmān hai.”