Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ZECHARIAH
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 6
Zech UrduGeoR 6:1  Maiṅ ne phir apnī nigāh uṭhāī to kyā deḳhtā hūṅ ki chār rath pītal ke do pahāṛoṅ ke bīch meṅ se nikal rahe haiṅ.
Zech UrduGeoR 6:2  Pahle rath ke ghoṛe surḳh, dūsre ke siyāh,
Zech UrduGeoR 6:3  tīsre ke safed aur chauthe ke dhabbedār the. Sab tāqatwar the.
Zech UrduGeoR 6:4  Jo farishtā mujh se bāt kar rahā thā us se maiṅ ne sawāl kiyā, “Mere āqā, in kā kyā matlab hai?”
Zech UrduGeoR 6:5  Us ne jawāb diyā, “Yih āsmān kī chār rūh haiṅ. Pahle yih pūrī duniyā ke mālik ke huzūr khaṛī thīṅ, lekin ab wahāṅ se nikal rahī haiṅ.
Zech UrduGeoR 6:6  Siyāh ghoṛoṅ kā rath shimālī mulk kī taraf jā rahā hai, safed ghoṛoṅ kā maġhrib kī taraf, aur dhabbedār ghoṛoṅ kā junūb kī taraf.”
Zech UrduGeoR 6:7  Yih tāqatwar ghoṛe baṛī betābī se is intazār meṅ the ki duniyā kī gasht kareṅ. Phir us ne hukm diyā, “Chalo, duniyā kī gasht karo.” Wuh fauran nikal kar duniyā kī gasht karne lage.
Zech UrduGeoR 6:8  Farishte ne mujhe āwāz de kar kahā, “Un ghoṛoṅ par ḳhās dhyān do jo shimālī mulk kī taraf baṛh rahe haiṅ. Yih us mulk par merā ġhussā utāreṅge.”
Zech UrduGeoR 6:10  “Āj hī Yūsiyāh bin Safaniyāh ke ghar meṅ jā! Wahāṅ terī mulāqāt Bābal meṅ jilāwatan kie hue Isrāīliyoṅ Ḳhaldī, Tūbiyāh aur Yadāyāh se hogī jo is waqt wahāṅ pahuṅch chuke haiṅ. Jo hadiye wuh apne sāth lāe haiṅ unheṅ qabūl kar.
Zech UrduGeoR 6:11  Un kī yih sonā-chāṅdī le kar tāj banā le, phir tāj ko imām-e-āzam Yashua bin Yahūsadaq ke sar par rakh kar
Zech UrduGeoR 6:12  use batā, ‘Rabbul-afwāj farmātā hai ki ek ādmī āne wālā hai jis kā nām koṅpal hai. Us ke sāy meṅ bahut koṅpleṅ phūṭ nikleṅgī, aur wuh Rab kā ghar tāmīr karegā.
Zech UrduGeoR 6:13  Hāṅ, wuhī Rab kā ghar banāegā aur shān-o-shaukat ke sāth taḳht par baiṭh kar hukūmat karegā. Wuh imām kī haisiyat se bhī taḳht par baiṭhegā, aur donoṅ ohdoṅ meṅ ittafāq aur salāmatī hogī.’
Zech UrduGeoR 6:14  Tāj ko Hīlam, Tūbiyāh, Yadāyāh aur Hen bin Safaniyāh kī yād meṅ Rab ke ghar meṅ mahfūz rakhā jāe.
Zech UrduGeoR 6:15  Log dūr-darāz ilāqoṅ se ā kar Rab kā ghar tāmīr karne meṅ madad kareṅge.” Tab tum jān loge ki Rabbul-afwāj ne mujhe tumhāre pās bhejā hai. Agar tum dhyān se Rab apne Ḳhudā kī suno to yih sab kuchh pūrā ho jāegā.