Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
II CHRONICLES
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 27
II C UrduGeoR 27:1  Yūtām 25 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ rah kar 16 sāl tak hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Yarūsā bint Sadoq thī.
II C UrduGeoR 27:2  Yūtām ne wuh kuchh kiyā jo Rab ko pasand thā. Wuh apne bāp Uzziyāh ke namūne par chaltā rahā, agarche us ne kabhī bhī bāp kī tarah Rab ke ghar meṅ ghus jāne kī koshish na kī. Lekin ām log apnī ġhalat rāhoṅ se na haṭe.
II C UrduGeoR 27:3  Yūtām ne Rab ke ghar kā Bālāī Darwāzā tāmīr kiyā. Ofal Pahāṛī jis par Rab kā ghar thā us kī dīwār ko us ne bahut jaghoṅ par mazbūt banā diyā.
II C UrduGeoR 27:4  Yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ us ne shahr tāmīr kie aur janglī ilāqoṅ meṅ qile aur burj banāe.
II C UrduGeoR 27:5  Jab Ammonī bādshāh ke sāth jang chhiṛ gaī to us ne Ammoniyoṅ ko shikast dī. Tīn sāl tak unheṅ use sālānā ḳharāj ke taur par taqrīban 3,400 kilogrām chāṅdī, 16,00,000 kilogrām gandum aur 13,50,000 kilogrām jau adā karnā paṛā.
II C UrduGeoR 27:6  Yoṅ Yūtām kī tāqat baṛhtī gaī. Aur wajah yih thī ki wuh sābitqadmī se Rab apne Ḳhudā ke huzūr chaltā rahā.
II C UrduGeoR 27:7  Bāqī jo kuchh Yūtām kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl-o-Yahūdāh’ kī kitāb meṅ qalamband hai. Us meṅ us kī tamām jangoṅ aur bāqī kāmoṅ kā zikr hai.
II C UrduGeoR 27:8  Wuh 25 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ rah kar 16 sāl hukūmat kartā rahā.
II C UrduGeoR 27:9  Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Āḳhaz taḳhtnashīn huā.