JONAH
Chapter 2
Jona | UrduGeoR | 2:2 | “Maiṅ ne baṛī musībat meṅ ā kar Rab se iltijā kī, aur us ne mujhe jawāb diyā. Maiṅ ne Pātāl kī gahrāiyoṅ se chīḳh kar fariyād kī to tū ne merī sunī. | |
Jona | UrduGeoR | 2:3 | Tū ne mujhe gahre pānī balki samundar ke bīch meṅ hī phaiṅk diyā. Pānī ke zordār bahāw ne mujhe gher liyā, terī tamām lahreṅ aur maujeṅ mujh par se guzar gaīṅ. | |
Jona | UrduGeoR | 2:4 | Tab maiṅ bolā, ‘Mujhe tere huzūr se ḳhārij kar diyā gayā hai, lekin maiṅ tere muqaddas ghar kī taraf taktā rahūṅgā.’ | |
Jona | UrduGeoR | 2:5 | Pānī mere gale tak pahuṅch gayā, samundar kī gahrāiyoṅ ne mujhe chhupā liyā. Mere sar se samundarī paude lipaṭ gae. | |
Jona | UrduGeoR | 2:6 | Pānī meṅ utarte utarte maiṅ pahāṛoṅ kī buniyādoṅ tak pahuṅch gayā. Maiṅ zamīn meṅ dhaṅs kar ek aise mulk meṅ ā gayā jis ke darwāze hameshā ke lie mere pīchhe band ho gae. Lekin ai Rab, mere Ḳhudā, tū hī merī jān ko gaṛhe se nikāl lāyā! | |
Jona | UrduGeoR | 2:7 | Jab merī jān nikalne lagī to tū, ai Rab mujhe yād āyā, aur merī duā tere muqaddas ghar meṅ tere huzūr pahuṅchī. | |
Jona | UrduGeoR | 2:9 | Lekin maiṅ shukrguzārī ke gīt gāte hue tujhe qurbānī pesh karūṅga. Jo mannat maiṅ ne mānī use pūrā karūṅga. Rab hī najāt detā hai.” | |