NEHEMIAH
Chapter 8
Nehe | UrduGeoR | 8:1 | to sab log mil kar Pānī ke Darwāze ke chauk meṅ jamā ho gae. Unhoṅ ne sharīat ke ālim Azrā se darḳhāst kī ki wuh sharīat le āeṅ jo Rab ne Mūsā kī mārifat Isrāīlī qaum ko de dī thī. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:2 | Chunāṅche Azrā ne hāzirīn ke sāmne sharīat kī tilāwat kī. Sātweṅ mahīne kā pahlā din thā. Na sirf mard balki aurateṅ aur sharīat kī bāteṅ samajhne ke qābil tamām bachche bhī jamā hue the. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:3 | Subah-sawere se le kar dopahar tak Azrā Pānī ke Darwāze ke chauk meṅ paṛhtā rahā, aur tamām jamāt dhyān se sharīat kī bāteṅ suntī rahī. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:4 | Azrā lakaṛī ke ek chabūtare par khaṛā thā jo ḳhāskar is mauqe ke lie banāyā gayā thā. Us ke dāeṅ hāth Mattitiyāh, Samā, Anāyāh, Ūriyāh, Ḳhilqiyāh aur Māsiyāh khaṛe the. Us ke bāeṅ hāth Fidāyāh, Mīsāel, Malkiyāh, Hāshūm, Hasbaddānā, Zakariyāh aur Masullām khaṛe the. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:5 | Chūṅki Azrā ūṅchī jagah par khaṛā thā is lie wuh sab ko nazar āyā. Chunāṅche jab us ne kitāb ko khol diyā to sab log khaṛe ho gae. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:6 | Azrā ne Rab azīm Ḳhudā kī satāish kī, aur sab ne apne hāth uṭhā kar jawāb meṅ kahā, “Āmīn, āmīn.” Phir unhoṅ ne jhuk kar Rab ko sijdā kiyā. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:7 | Kuchh Lāwī hāzir the jinhoṅ ne logoṅ ke lie sharīat kī tashrīh kī. Un ke nām Yashua, Bānī, Saribiyāh, Yamīn, Aqqūb, Sabbatī, Hūdiyāh, Māsiyāh, Qalītā, Azariyāh, Yūzabad, Hanān aur Filāyāh the. Hāzirīn ab tak khaṛe the. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:8 | Sharīat kī tilāwat ke sāth sāth mazkūrā Lāwī qadam baqadam us kī tashrīh yoṅ karte gae ki log use achchhī tarah samajh sake. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:9 | Sharīat kī bāteṅ sun sun kar wuh rone lage. Lekin Nahmiyāh Gawarnar, sharīat ke ālim Azrā Imām aur sharīat kī tashrīh karne wāle Lāwiyoṅ ne unheṅ tasallī de kar kahā, “Udās na hoṅ aur mat roeṅ! Āj Rab āp ke Ḳhudā ke lie maḳhsūs-o-muqaddas īd hai. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:10 | Ab jāeṅ, umdā khānā khā kar aur pīne kī mīṭhī chīzeṅ pī kar ḳhushī manāeṅ. Jo apne lie kuchh taiyār na kar sakeṅ unheṅ apnī ḳhushī meṅ sharīk kareṅ. Yih din hamāre Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai. Udās na hoṅ, kyoṅki Rab kī ḳhushī āp kī panāhgāh hai.” | |
Nehe | UrduGeoR | 8:11 | Lāwiyoṅ ne bhī tamām logoṅ ko sukūn dilā kar kahā, “Udās na hoṅ, kyoṅki yih din Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai.” | |
Nehe | UrduGeoR | 8:12 | Phir sab apne apne ghar chale gae. Wahāṅ unhoṅ ne baṛī ḳhushī se khā-pī kar jashn manāyā. Sāth sāth unhoṅ ne dūsroṅ ko bhī apnī ḳhushī meṅ sharīk kiyā. Un kī baṛī ḳhushī kā sabab yih thā ki ab unheṅ un bātoṅ kī samajh āī thī jo unheṅ sunāī gaī thīṅ. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:13 | Agle din ḳhāndānī sarparast, imām aur Lāwī dubārā sharīat ke ālim Azrā ke pās jamā hue tāki sharīat kī mazīd tālīm pāeṅ. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:14 | Jab wuh sharīat kā mutāla'ā kar rahe the to unheṅ patā chalā ki Rab ne Mūsā kī mārifat hukm diyā thā ki Isrāīlī sātweṅ mahīne kī īd ke daurān jhoṅpṛiyoṅ meṅ raheṅ. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:15 | Chunāṅche unhoṅ ne Yarūshalam aur bāqī tamām shahroṅ meṅ elān kiyā, “Pahāṛoṅ par se zaitūn, ās, khajūr aur bāqī sāyādār daraḳhtoṅ kī shāḳheṅ toṛ kar apne ghar le jāeṅ. Wahāṅ un se jhoṅpṛiyāṅ banāeṅ, jis tarah sharīat ne hidāyat dī hai.” | |
Nehe | UrduGeoR | 8:16 | Logoṅ ne aisā hī kiyā. Wuh gharoṅ se nikle aur daraḳhtoṅ kī shāḳheṅ toṛ kar le āe. Un se unhoṅ ne apne gharoṅ kī chhatoṅ par aur sahnoṅ meṅ jhoṅpṛiyāṅ banā līṅ. Bāz ne apnī jhoṅpṛiyoṅ ko Rab ke ghar ke sahnoṅ, Pānī ke Darwāze ke chauk aur Ifrāīm ke Darwāze ke chauk meṅ bhī banāyā. | |
Nehe | UrduGeoR | 8:17 | Jitne bhī jilāwatanī se wāpas āe the wuh sab jhoṅpṛiyāṅ banā kar un meṅ rahne lage. Yashua bin Nūn ke zamāne se le kar us waqt tak yih īd is tarah nahīṅ manāī gaī thī. Sab nihāyat hī ḳhush the. | |