NEHEMIAH
Chapter 7
Nehe | UrduGeoR | 7:1 | Fasīl kī takmīl par maiṅ ne darwāzoṅ ke kiwāṛ lagwāe. Phir Rab ke ghar ke darbān, gulūkār aur ḳhidmatguzār Lāwī muqarrar kie gae. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:2 | Maiṅ ne do ādmiyoṅ ko Yarūshalam ke hukmrān banāyā. Ek merā bhāī Hanānī aur dūsrā qile kā kamānḍar Hananiyāh thā. Hananiyāh ko maiṅ ne is lie chun liyā ki wuh wafādār thā aur aksar logoṅ kī nisbat Allāh kā zyādā ḳhauf māntā thā. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:3 | Maiṅ ne donoṅ se kahā, “Yarūshalam ke darwāze dopahar ke waqt jab dhūp kī shiddat hai khule na raheṅ, aur pahrā dete waqt bhī unheṅ band karke kunḍe lagāeṅ. Yarūshalam ke ādmiyoṅ ko pahrādārī ke lie muqarrar kareṅ jin meṅ se kuchh fasīl par aur kuchh apne gharoṅ ke sāmne hī pahrā deṅ.” | |
Nehe | UrduGeoR | 7:4 | Go Yarūshalam Shahr baṛā aur wasī thā, lekin us meṅ ābādī thoṛī thī. Ḍhāe gae makān ab tak dubārā tāmīr nahīṅ hue the. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:5 | Chunāṅche mere Ḳhudā ne mere dil ko shurafā, afsaroṅ aur awām ko ikaṭṭhā karne kī tahrīk dī tāki ḳhāndānoṅ kī rajisṭrī taiyār karūṅ. Is silsile meṅ mujhe ek kitāb mil gaī jis meṅ un logoṅ kī fahrist darj thī jo ham se pahle jilāwatanī se wāpas āe the. Us meṅ likhā thā, | |
Nehe | UrduGeoR | 7:6 | “Zail meṅ Yahūdāh ke un logoṅ kī fahrist hai jo jilāwatanī se wāpas āe. Bābal kā bādshāh Nabūkadnazzar unheṅ qaid karke Bābal le gayā thā, lekin ab wuh Yarūshalam aur Yahūdāh ke un shahroṅ meṅ phir jā base jahāṅ pahle rahte the. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:7 | Un ke rāhnumā Zarubbābal, Yashua, Nahmiyāh, Azariyāh, Rāmiyāh, Nahmānī, Mardakī, Bilshān, Misfarat, Bigwī, Nahūm aur Bānā the. Zail kī fahrist meṅ wāpas āe hue ḳhāndānoṅ ke mard bayān kie gae haiṅ. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:39 | Zail ke imām jilāwatanī se wāpas āe. Yadāyāh kā ḳhāndān jo Yashua kī nasl kā thā: 973, | |
Nehe | UrduGeoR | 7:43 | Zail ke Lāwī jilāwatanī se wāpas āe. Yashua aur Qadmiyel kā ḳhāndān yānī Hūdāwiyāh kī aulād: 74, | |
Nehe | UrduGeoR | 7:45 | Rab ke ghar ke darbān: Sallūm, Atīr, Talmūn, Aqqūb, Ḳhatītā aur Sobī ke ḳhāndānoṅ ke 138 ādmī. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:46 | Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ ke darj-e-zail ḳhāndān jilāwatanī se wāpas āe. Zīhā, Hasūfā, Tabbāot, | |
Nehe | UrduGeoR | 7:57 | Sulemān ke ḳhādimoṅ ke darj-e-zail ḳhāndān jilāwatanī se wāpas āe. Sūtī, Sūfirat, Farūdā, | |
Nehe | UrduGeoR | 7:60 | Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ aur Sulemān ke ḳhādimoṅ ke ḳhāndānoṅ meṅ se wāpas āe hue mardoṅ kī tādād 392 thī. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:61 | Wāpas āe hue ḳhāndānoṅ meṅ se Dilāyāh, Tūbiyāh aur Naqūdā ke 642 mard sābit na kar sake ki Isrāīl kī aulād haiṅ, go wuh Tal-milah, Tal-harshā, Karūb, Addūn aur Immer ke rahne wāle the. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:62 | Wāpas āe hue ḳhāndānoṅ meṅ se Dilāyāh, Tūbiyāh aur Naqūdā ke 642 mard sābit na kar sake ki Isrāīl kī aulād haiṅ, go wuh Tal-milah, Tal-harshā, Karūb, Addūn aur Immer ke rahne wāle the. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:63 | Habāyāh, Haqqūz aur Barzillī ke ḳhāndānoṅ ke kuchh imām bhī wāpas āe, lekin unheṅ Rab ke ghar meṅ ḳhidmat karne kī ijāzat na milī. Kyoṅki go unhoṅ ne nasabnāme meṅ apne nām talāsh kie lekin un kā kahīṅ zikr na milā, is lie unheṅ nāpāk qarār diyā gayā. (Barzillī ke ḳhāndān ke bānī ne Barzillī Jiliyādī kī beṭī se shādī karke apne susar kā nām apnā liyā thā.) | |
Nehe | UrduGeoR | 7:64 | Habāyāh, Haqqūz aur Barzillī ke ḳhāndānoṅ ke kuchh imām bhī wāpas āe, lekin unheṅ Rab ke ghar meṅ ḳhidmat karne kī ijāzat na milī. Kyoṅki go unhoṅ ne nasabnāme meṅ apne nām talāsh kie lekin un kā kahīṅ zikr na milā, is lie unheṅ nāpāk qarār diyā gayā. (Barzillī ke ḳhāndān ke bānī ne Barzillī Jiliyādī kī beṭī se shādī karke apne susar kā nām apnā liyā thā.) | |
Nehe | UrduGeoR | 7:65 | Yahūdāh ke gawarnar ne hukm diyā ki in tīn ḳhāndānoṅ ke imām filhāl qurbāniyoṅ kā wuh hissā khāne meṅ sharīk na hoṅ jo imāmoṅ ke lie muqarrar hai. Jab dubārā imām-e-āzam muqarrar kiyā jāe to wuhī Ūrīm aur Tummīm nāmī qurā ḍāl kar muāmalā hal kare. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:67 | nīz un ke 7,337 ġhulām aur launḍiyāṅ aur 245 gulūkār jin meṅ mard-o-ḳhawātīn shāmil the. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:70 | Kuchh ḳhāndānī sarparastoṅ ne Rab ke ghar kī tāmīr-e-nau ke lie apnī ḳhushī se hadiye die. Gawarnar ne sone ke 1,000 sikke, 50 kaṭore aur imāmoṅ ke 530 libās die. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:71 | Kuchh ḳhāndānī sarparastoṅ ne ḳhazāne meṅ sone ke 20,000 sikke aur chāṅdī ke 1,200 kilogrām ḍāl die. | |
Nehe | UrduGeoR | 7:72 | Bāqī logoṅ ne sone ke 20,000 sikke, chāṅdī ke 1,100 kilogrām aur imāmoṅ ke 67 libās atā kie. | |