Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
HOSEA
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 8
Hose UrduGeoR 8:1  Narsingā bajāo! Dushman uqāb kī tarah Rab ke ghar par jhapaṭṭā mārne ko hai. Kyoṅki logoṅ ne mere ahd ko toṛ kar merī sharīat kī ḳhilāfwarzī kī hai.
Hose UrduGeoR 8:2  Beshak wuh madad ke lie chīḳhte-chillāte haiṅ, ‘Ai hamāre Ḳhudā, ham to tujhe jānte haiṅ, ham to Isrāīl haiṅ.’
Hose UrduGeoR 8:3  Lekin haqīqat meṅ Isrāīl ne wuh kuchh mustarad kar diyā hai jo achchhā hai. Chunāṅche dushman us kā tāqqub kare!
Hose UrduGeoR 8:4  Unhoṅ ne merī marzī pūchhe baġhair apne bādshāh muqarrar kie, merī manzūrī ke baġhair apne rāhnumāoṅ ko chun liyā hai. Apne sone-chāṅdī se apne lie but banā kar wuh apnī tabāhī apne sar par lāe haiṅ.
Hose UrduGeoR 8:5  Ai Sāmariya, maiṅ ne tere bachhṛe ko radd kar diyā hai! Merā ġhazab tere bāshindoṅ par nāzil hone wālā hai, kyoṅki wuh pāk-sāf ho jāne ke qābil hī nahīṅ! Yih hālat kab tak jārī rahegī?
Hose UrduGeoR 8:6  Ai Isrāīl, jis bachhṛe kī pūjā tū kartā hai use dastkār hī ne banāyā hai. Sāmariya kā bachhṛā Ḳhudā nahīṅ hai balki pāsh pāsh ho jāegā.
Hose UrduGeoR 8:7  Wuh hawā kā bīj bo rahe haiṅ aur āṅdhī kī fasal kāṭeṅge. Anāj kī fasal taiyār hai, lekin bāliyāṅ kahīṅ nazar nahīṅ ātīṅ. Is se āṭā milne kā imkān hī nahīṅ. Aur agar thoṛā-bahut gandum mile bhī to ġhairmulkī use haṛap kar leṅge.
Hose UrduGeoR 8:8  Hāṅ, tamām Isrāīl ko haṛap kar liyā gayā hai. Ab wuh qaumoṅ meṅ aisā bartan ban gayā hai jo koī pasand nahīṅ kartā.
Hose UrduGeoR 8:9  Kyoṅki us ke log Asūr ke pās chale gae haiṅ. Janglī gadhā to akelā rahtā hai, lekin Isrāīl apne āshiq ko tohfe de kar ḳhush rakhne par tulā rahtā hai.
Hose UrduGeoR 8:10  Lekin ḳhāh wuh dīgar qaumoṅ meṅ kitne tohfe kyoṅ na taqsīm kareṅ ab maiṅ unheṅ sazā dene ke lie jamā karūṅga. Jald hī wuh shahanshāh ke bojh tale pech-o-tāb khāne lageṅge.
Hose UrduGeoR 8:11  Go Isrāīl ne gunāhoṅ ko dūr karne ke lie muta'addid qurbāngāheṅ tāmīr kīṅ, lekin wuh us ke lie gunāh kā bāis ban gaī haiṅ.
Hose UrduGeoR 8:12  Ḳhāh maiṅ apne ahkām ko Isrāīliyoṅ ke lie hazāroṅ dafā kyoṅ na qalamband kartā, to bhī farq na paṛtā, wuh samajhte ki yih ahkām ajnabī haiṅ, yih ham par lāgū nahīṅ hote.
Hose UrduGeoR 8:13  Go wuh mujhe qurbāniyāṅ pesh karke un kā gosht khāte haiṅ, lekin maiṅ, Rab in se ḳhush nahīṅ hotā balki un ke gunāhoṅ ko yād karke unheṅ sazā dūṅgā. Tab unheṅ dubārā Misr jānā paṛegā.
Hose UrduGeoR 8:14  Isrāīl ne apne Ḳhāliq ko bhūl kar baṛe mahal banā lie haiṅ, aur Yahūdāh ne muta'addid shahroṅ ko qilāband banā liyā hai. Lekin maiṅ un ke shahroṅ par āg nāzil karke un ke mahaloṅ ko bhasm kar dūṅgā.”