Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JEREMIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 47
Jere UrduGeoR 47:1  Firaun ke Ġhazzā Shahr par hamlā karne se pahle Yarmiyāh Nabī par Filistiyoṅ ke bāre meṅ Rab kā kalām nāzil huā,
Jere UrduGeoR 47:2  “Rab farmātā hai ki shimāl se pānī ā rahā hai jo sailāb ban kar pūre mulk ko ġharq kar degā. Pūrā mulk shahroṅ aur bāshindoṅ samet us meṅ ḍūb jāegā. Log chīḳh uṭheṅge, aur mulk ke tamām bāshinde āh-o-zārī kareṅge.
Jere UrduGeoR 47:3  Kyoṅki sarpā dauṛte hue ghoṛoṅ kī ṭāpeṅ sunāī deṅgī, dushman ke rathoṅ kā shor aur pahiyoṅ kī gaṛgaṛāhaṭ un ke kānoṅ tak pahuṅchegī. Bāp ḳhaufzadā ho kar yoṅ sākit ho jāeṅge ki wuh apne bachchoṅ kī madad karne ke lie pīchhe bhī dekh nahīṅ sakeṅge.
Jere UrduGeoR 47:4  Kyoṅki wuh din āne wālā hai jab tamām Filistiyoṅ ko nest-o-nābūd kiyā jāegā tāki Sūr aur Saidā ke āḳhirī madad karne wāle bhī ḳhatm ho jāeṅ. Kyoṅki Rab Filistiyoṅ ko safhā-e-hastī se miṭāne wālā hai, Jazīrā-e-Krete ke un bache huoṅ ko jo yahāṅ ā kar ābād hue haiṅ.
Jere UrduGeoR 47:5  Ġhazzā Beṭī mātam ke ālam meṅ apnā sar munḍwāegī, Askqalūn Shahr mismār ho jāegā. Ai maidānī ilāqe ke bache hue logo, tum kab tak apnī jild ko zaḳhmī karte rahoge?
Jere UrduGeoR 47:6  ‘Hāy, ai Rab kī talwār, kyā tū kabhī nahīṅ ārām karegī? Dubārā apne miyān meṅ chhup jā! Ḳhāmosh ho kar ārām kar!’
Jere UrduGeoR 47:7  Lekin wuh kis tarah ārām kar saktī hai jab Rab ne ḳhud use chalāyā hai, jab usī ne use Askqalūn aur sāhilī ilāqe par dhāwā bolne kā hukm diyā hai?”