Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JEREMIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 1
Jere UrduGeoR 1:1  Zail meṅ Yarmiyāh bin Ḳhilqiyāh ke paiġhāmāt qalamband kie gae haiṅ. (Binyamīn ke qabāylī ilāqe ke shahr Anatot meṅ kuchh imām rahte the, aur Yarmiyāh kā wālid un meṅ se thā.)
Jere UrduGeoR 1:2  Rab kā farmān pahlī bār Yahūdāh ke bādshāh Yūsiyāh bin Amūn kī hukūmat ke 13weṅ sāl meṅ Yarmiyāh par nāzil huā,
Jere UrduGeoR 1:3  aur Yarmiyāh ko yih paiġhāmāt Yahūyaqīm bin Yūsiyāh ke daur-e-hukūmat se le kar Sidqiyāh bin Yūsiyāh kī hukūmat ke 11weṅ sāl ke pāṅchweṅ mahīne tak milte rahe. Us waqt Yarūshalam ke bāshindoṅ ko jilāwatan kar diyā gayā.
Jere UrduGeoR 1:5  “Maiṅ tujhe māṅ ke peṭ meṅ tashkīl dene se pahle hī jāntā thā, terī paidāish se pahle hī maiṅ ne tujhe maḳhsūs-o-muqaddas karke aqwām ke lie nabī muqarrar kiyā.”
Jere UrduGeoR 1:6  Maiṅ ne etarāz kiyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, afsos! Maiṅ terā kalām sunāne kā sahīh ilm nahīṅ rakhtā, maiṅ to bachchā hī hūṅ.”
Jere UrduGeoR 1:7  Lekin Rab ne mujh se farmāyā, “Mat kah ‘Maiṅ bachchā hī hūṅ.’ Kyoṅki jin ke pās bhī maiṅ tujhe bhejūṅgā un ke pās tū jāegā, aur jo kuchh bhī maiṅ tujhe sunāne ko kahūṅgā use tū sunāegā.
Jere UrduGeoR 1:8  Logoṅ se mat ḍarnā, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ, maiṅ tujhe bachāe rakhūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai.
Jere UrduGeoR 1:9  Phir Rab ne apnā hāth baṛhā kar mere hoṅṭoṅ ko chhū diyā aur farmāyā, “Dekh, maiṅ ne apne alfāz ko tere muṅh meṅ ḍāl diyā hai.
Jere UrduGeoR 1:10  Āj maiṅ tujhe qaumoṅ aur saltanatoṅ par muqarrar kar detā hūṅ. Kahīṅ tujhe unheṅ jaṛ se ukhāṛ kar girā denā, kahīṅ barbād karke ḍhā denā aur kahīṅ tāmīr karke paude kī tarah lagā denā hai.”
Jere UrduGeoR 1:11  Rab kā kalām mujh par nāzil huā, “Ai Yarmiyāh, tujhe kyā nazar ā rahā hai?” Maiṅ ne jawāb diyā, “Bādām kī ek shāḳh, us daraḳht kī jo ‘Deḳhne Wālā’ kahlātā hai.”
Jere UrduGeoR 1:12  Rab ne farmāyā, “Tū ne sahīh dekhā hai. Is kā matlab hai ki maiṅ apne kalām kī dekh-bhāl kar rahā hūṅ, maiṅ dhyān de rahā hūṅ ki wuh pūrā ho jāe.”
Jere UrduGeoR 1:13  Phir Rab kā kalām dubārā mujh par nāzil huā, “Tujhe kyā nazar ā rahā hai?” Maiṅ ne jawāb diyā, “Shimāl meṅ deg dikhāī de rahī hai. Jo kuchh us meṅ hai wuh ubal rahā hai, aur us kā muṅh hamārī taraf jhukā huā hai.”
Jere UrduGeoR 1:14  Tab Rab ne mujh se kahā, “Isī tarah shimāl se mulk ke tamām bāshindoṅ par āfat ṭūṭ paṛegī.”
Jere UrduGeoR 1:15  Kyoṅki Rab farmātā hai, “Maiṅ shimālī mamālik ke tamām gharānoṅ ko bulā lūṅgā, aur har ek ā kar apnā taḳht Yarūshalam ke darwāzoṅ ke sāmne hī khaṛā karegā. Hāṅ, wuh us kī pūrī fasīl ko gher kar us par balki Yahūdāh ke tamām shahroṅ par chhāpā māreṅge.
Jere UrduGeoR 1:16  Yoṅ maiṅ apnī qaum par faisle sādir karke un ke ġhalat kāmoṅ kī sazā dūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne mujhe tark karke ajnabī mābūdoṅ ke lie baḳhūr jalāyā aur apne hāthoṅ se bane hue butoṅ ko sijdā kiyā hai.
Jere UrduGeoR 1:17  Chunāṅche kamarbastā ho jā! Uṭh kar unheṅ sab kuchh sunā de jo maiṅ farmāūṅgā. Un se dahshat mat khānā, warnā maiṅ tujhe un ke sāmne hī dahshatzadā kar dūṅgā.
Jere UrduGeoR 1:18  Dekh, āj maiṅ ne tujhe qilāband shahr, lohe ke satūn aur pītal kī chārdīwārī jaisā mazbūt banā diyā hai tāki tū pūre mulk kā sāmnā kar sake, ḳhāh Yahūdāh ke bādshāh, afsar, imām yā awām tujh par hamlā kyoṅ na kareṅ.
Jere UrduGeoR 1:19  Tujh se laṛne ke bāwujūd wuh tujh par ġhālib nahīṅ āeṅge, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ, maiṅ hī tujhe bachāe rakhūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai.