Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JEREMIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 10
Jere UrduGeoR 10:2  Rab farmātā hai, “Dīgar aqwām kī butparastī mat apnānā. Yih log ilm-e-nujūm se mustaqbil jān lene kī koshish karte karte pareshān ho jāte haiṅ, lekin tum un kī bātoṅ se pareshān na ho jāo.
Jere UrduGeoR 10:3  Kyoṅki dīgar qaumoṅ ke rasm-o-riwāj fuzūl hī haiṅ. Jangal meṅ daraḳht kaṭ jātā hai, phir kārīgar use apne auzār se tashkīl detā hai.
Jere UrduGeoR 10:4  Log use apnī sonā-chāṅdī se sajā kar kīloṅ se kahīṅ lagā dete haiṅ tāki hile na.
Jere UrduGeoR 10:5  But un putloṅ kī mānind haiṅ jo khīre ke khet meṅ khaṛe kie jāte haiṅ tāki parindoṅ ko bhagā deṅ. Na wuh bol sakte, na chal sakte haiṅ, is lie log unheṅ uṭhā kar apne sāth le jāte haiṅ. Un se mat ḍarnā, kyoṅki na wuh nuqsān kā bāis haiṅ, na bhalāī kā.”
Jere UrduGeoR 10:6  Ai Rab, tujh jaisā koī nahīṅ hai, tū azīm hai, tere nām kī azmat zordār tarīqe se zāhir huī hai.
Jere UrduGeoR 10:7  Ai aqwām ke Bādshāh, kaun terā ḳhauf nahīṅ mānegā? Kyoṅki tū is lāyq hai. Aqwām ke tamām dānishmandoṅ aur un ke tamām mamālik meṅ tujh jaisā koī nahīṅ hai.
Jere UrduGeoR 10:8  Sab ahmaq aur bewuqūf sābit hue haiṅ, kyoṅki un kī tarbiyat lakaṛī ke bekār butoṅ se hāsil huī hai.
Jere UrduGeoR 10:9  Tarsīs se chāṅdī kī chādareṅ aur ūfāz se sonā lāyā jātā hai. Un se kārīgar aur sunār but banā dete haiṅ jise qirmizī aur arġhawānī rang ke kapṛe pahnāe jāte haiṅ. Sab kuchh māhir ustādoṅ ke hāth se banāyā jātā hai.
Jere UrduGeoR 10:10  Lekin Rab hī haqīqī Ḳhudā hai. Wuhī zindā Ḳhudā aur abadī Bādshāh hai. Jab wuh nārāz ho jātā hai to zamīn larazne lagtī hai. Aqwām us kā qahr bardāsht nahīṅ kar saktīṅ.
Jere UrduGeoR 10:11  Butparastoṅ ko batāo ki dewatāoṅ ne na āsmān ko banāyā aur na zamīn ko, un kā nām-o-nishān to āsmān-o-zamīn se miṭ jāegā.
Jere UrduGeoR 10:12  Dekho, Allāh hī ne apnī qudrat se zamīn ko ḳhalaq kiyā, usī ne apnī hikmat se duniyā kī buniyād rakhī, aur usī ne apnī samajh ke mutābiq āsmān ko ḳhaime kī tarah tān liyā.
Jere UrduGeoR 10:13  Us ke hukm par āsmān par pānī ke zaḳhīre garajne lagte haiṅ. Wuh duniyā kī intahā se bādal chaṛhnī detā, bārish ke sāth bijlī kaṛakne detā aur apne godāmoṅ se hawā nikalne detā hai.
Jere UrduGeoR 10:14  Tamām insān ahmaq aur samajh se ḳhālī haiṅ. Har sunār apne butoṅ ke bāis sharmindā huā hai. Us ke but dhokā hī haiṅ, un meṅ dam nahīṅ.
Jere UrduGeoR 10:15  Wuh fuzūl aur mazhakāḳhez haiṅ. Adālat ke waqt wuh nest ho jāeṅge.
Jere UrduGeoR 10:16  Allāh jo Yāqūb kā maurūsī hissā hai in kī mānind nahīṅ hai. Wuh sab kā Ḳhāliq hai, aur Isrāīlī qaum us kā maurūsī hissā hai. Rabbul-afwāj hī us kā nām hai.
Jere UrduGeoR 10:17  Ai muhāsarāshudā shahr, apnā sāmān sameṭ kar mulk se nikalne kī taiyāriyāṅ kar le.
Jere UrduGeoR 10:18  Kyoṅki Rab farmātā hai, “Is bār maiṅ mulk ke bāshindoṅ ko bāhar phaiṅk dūṅgā. Maiṅ unheṅ tang karūṅga tāki unheṅ pakaṛā jāe.”
Jere UrduGeoR 10:19  Hāy, merā beṛā ġharq ho gayā hai! Hāy, merā zaḳhm bhar nahīṅ saktā. Pahle maiṅ ne sochā ki yih aisī bīmārī hai jise mujhe bardāsht hī karnā hai.
Jere UrduGeoR 10:20  Lekin ab merā ḳhaimā tabāh ho gayā hai, us ke tamām rasse ṭūṭ gae haiṅ. Mere beṭe mere pās se chale gae haiṅ, ek bhī nahīṅ rahā. Koī nahīṅ hai jo merā ḳhaimā dubārā lagāe, jo us ke parde nae sire se laṭkāe.
Jere UrduGeoR 10:21  Kyoṅki qaum ke gallābān ahmaq ho gae haiṅ, unhoṅ ne Rab ko talāsh nahīṅ kiyā. Is lie wuh kāmyāb nahīṅ rahe, aur un kā pūrā rewaṛ titar-bitar ho gayā hai.
Jere UrduGeoR 10:22  Suno! Ek ḳhabar pahuṅch rahī hai, shimālī mulk se shor-o-ġhauġhā sunāī de rahā hai. Yahūdāh ke shahr us kī zad meṅ ā kar barbād ho jāeṅge. Āindā gīdaṛ hī un meṅ baseṅge.
Jere UrduGeoR 10:23  Ai Rab, maiṅ ne jān liyā hai ki insān kī rāh us ke apne hāth meṅ nahīṅ hotī. Apnī marzī se na wuh chaltā, na qadam uṭhātā hai.
Jere UrduGeoR 10:24  Ai Rab, merī tambīh kar, lekin munāsib had tak. Taish meṅ ā kar merī tambīh na kar, warnā maiṅ bhasm ho jāūṅgā.
Jere UrduGeoR 10:25  Apnā ġhazab un aqwām par nāzil kar jo tujhe nahīṅ jāntīṅ, un ummatoṅ par jo terā nām le kar tujhe nahīṅ pukārtīṅ. Kyoṅki unhoṅ ne Yāqūb ko haṛap kar liyā hai. Unhoṅ ne use mukammal taur par nigal kar us kī charāgāh ko tabāh kar diyā hai.