Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
JEREMIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 35
Jere UrduGeoR 35:1  Jab Yahūyaqīm bin Yūsiyāh abhī Yahūdāh kā bādshāh thā to Rab mujh se hamkalām huā,
Jere UrduGeoR 35:2  “Raikābī ḳhāndān ke pās jā kar unheṅ Rab ke ghar ke sahan ke kisī kamre meṅ āne kī dāwat de. Jab wuh āeṅ to unheṅ mai pilā de.”
Jere UrduGeoR 35:3  Chunāṅche maiṅ Yāzaniyāh bin Yarmiyāh bin Habassiniyāh ke pās gayā aur use us ke bhāiyoṅ aur tamām beṭoṅ yānī Raikābiyoṅ ke pūre gharāne samet
Jere UrduGeoR 35:4  Rab ke ghar meṅ lāyā. Ham Hanān ke beṭoṅ ke kamre meṅ baiṭh gae. Hanān mard-e-Ḳhudā Yijdaliyāh kā beṭā thā. Yih kamrā buzurgoṅ ke kamre se mulhiq aur Rab ke ghar ke darbān Māsiyāh bin Sallūm ke kamre ke ūpar thā.
Jere UrduGeoR 35:5  Wahāṅ maiṅ ne mai ke jām aur pyāle Raikābī ādmiyoṅ ko pesh karke un se kahā, “Āeṅ, kuchh mai pī leṅ.”
Jere UrduGeoR 35:6  Lekin unhoṅ ne inkār karke kahā, “Ham mai nahīṅ pīte, kyoṅki hamāre bāp Yūnadab bin Raikāb ne hameṅ aur hamārī aulād ko mai pīne se manā kiyā hai.
Jere UrduGeoR 35:7  Us ne hameṅ yih hidāyat bhī dī, ‘Na makān tāmīr karnā, na bīj bonā aur na angūr kā bāġh lagānā. Yih chīzeṅ kabhī bhī tumhārī milkiyat meṅ shāmil na hoṅ, kyoṅki lāzim hai ki tum hameshā ḳhaimoṅ meṅ zindagī guzāro. Phir tum lambe arse tak us mulk meṅ rahoge jis meṅ tum mehmān ho.’
Jere UrduGeoR 35:8  Chunāṅche ham apne bāp Yūnadab bin Raikāb kī in tamām hidāyāt ke tābe rahte haiṅ. Na ham aur na hamārī bīwiyāṅ yā bachche kabhī mai pīte haiṅ.
Jere UrduGeoR 35:9  Ham apnī rihāish ke lie makān nahīṅ banāte, aur na angūr ke bāġh, na khet yā fasleṅ hamārī milkiyat meṅ hotī haiṅ.
Jere UrduGeoR 35:10  Is ke bajāe ham āj tak ḳhaimoṅ meṅ rahte haiṅ. Jo bhī hidāyat hamāre bāp Yūnadab ne hameṅ dī us par ham pūre utre haiṅ.
Jere UrduGeoR 35:11  Ham sirf ārizī taur par shahr meṅ ṭhahre hue haiṅ. Kyoṅki jab Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar is mulk meṅ ghus āyā to ham bole, ‘Āeṅ, ham Yarūshalam Shahr meṅ jāeṅ tāki Bābal aur Shām kī faujoṅ se bach jāeṅ.’ Ham sirf isī lie Yarūshalam meṅ ṭhahre hue haiṅ.”
Jere UrduGeoR 35:13  “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki Yahūdāh aur Yarūshalam ke bāshindoṅ ke pās jā kar kah, ‘Tum merī tarbiyat kyoṅ qabūl nahīṅ karte? Tum merī kyoṅ nahīṅ sunte?
Jere UrduGeoR 35:14  Yūnadab bin Raikāb par ġhaur karo. Us ne apnī aulād ko mai pīne se manā kiyā, is lie us kā gharānā āj tak mai nahīṅ pītā. Yih log apne bāp kī hidāyāt ke tābe rahte haiṅ. Is ke muqābale meṅ tum log kyā kar rahe ho? Go maiṅ bār bār tum se hamkalām huā to bhī tum ne merī nahīṅ sunī.
Jere UrduGeoR 35:15  Bār bār maiṅ apne nabiyoṅ ko tumhāre pās bhejtā rahā tāki mere ḳhādim tumheṅ āgāh karte raheṅ ki har ek apnī burī rāh tark karke wāpas āe! Apnā chāl-chalan durust karo aur ajnabī mābūdoṅ kī pairawī karke un kī ḳhidmat mat karo! Phir tum us mulk meṅ rahoge jo maiṅ ne tumheṅ aur tumhāre bāpdādā ko baḳhsh diyā thā. Lekin tum ne na tawajjuh dī, na merī sunī.
Jere UrduGeoR 35:16  Yūnadab bin Raikāb kī aulād apne bāp kī hidāyāt par pūrī utrī hai, lekin is qaum ne merī nahīṅ sunī.’
Jere UrduGeoR 35:17  Is lie Rab jo lashkaroṅ kā aur Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Suno! Maiṅ Yahūdāh par aur Yarūshalam ke har bāshinde par wuh tamām āfat nāzil karūṅga jis kā elān maiṅ ne kiyā hai. Go maiṅ un se hamkalām huā to bhī unhoṅ ne na sunī. Maiṅ ne unheṅ bulāyā, lekin unhoṅ ne jawāb na diyā.’”
Jere UrduGeoR 35:18  Lekin Raikābiyoṅ se Yarmiyāh ne kahā, “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Tum apne bāp Yūnadab ke hukm par pūre utar kar us kī har hidāyat aur har hukm par amal karte ho.’
Jere UrduGeoR 35:19  Is lie Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Yūnadab bin Raikāb kī aulād meṅ se hameshā koī na koī hogā jo mere huzūr ḳhidmat karegā.’”