Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
SONG OF SOLOMON
1 2 3 4 5 6 7 8
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 6
Song UrduGeoR 6:1  Ai tū jo auratoṅ meṅ sab se ḳhūbsūrat hai, terā mahbūb kidhar chalā gayā hai? Us ne kaun-sī simt iḳhtiyār kī tāki ham tere sāth us kā khoj lagāeṅ?
Song UrduGeoR 6:2  Merā mahbūb yahāṅ se utar kar apne bāġh meṅ chalā gayā hai, wuh balsān kī kyāriyoṅ ke pās gayā hai tāki bāġhoṅ meṅ chare aur sosan ke phūl chune.
Song UrduGeoR 6:3  Maiṅ apne mahbūb kī hī hūṅ, aur wuh merā hī hai, wuh jo sosanoṅ meṅ chartā hai.
Song UrduGeoR 6:4  Merī mahbūbā, tū Tirzā Shahr jaisī hasīn, Yarūshalam jaisī ḳhūbsūrat aur alambardār dastoṅ jaisī robdār hai.
Song UrduGeoR 6:5  Apnī nazaroṅ ko mujh se haṭā le, kyoṅki wuh mujh meṅ uljhan paidā kar rahī haiṅ. Tere bāl un bakriyoṅ kī mānind haiṅ jo uchhaltī-kūdtī Koh-e-Jiliyād se utartī haiṅ.
Song UrduGeoR 6:6  Tere dāṅt abhī abhī nahlāī huī bheṛoṅ jaise safed haiṅ. Har dāṅt kā juṛwāṅ hai, ek bhī gum nahīṅ huā.
Song UrduGeoR 6:7  Niqāb ke pīchhe tere gāloṅ kī jhalak anār ke ṭukṛoṅ kī mānind dikhāī detī hai.
Song UrduGeoR 6:8  Go bādshāh kī 60 bīwiyāṅ, 80 dāshtāeṅ aur beshumār kuṅwāriyāṅ hoṅ
Song UrduGeoR 6:9  lekin merī kabūtarī, merī kāmil sāthī lāsānī hai. Wuh apnī māṅ kī wāhid beṭī hai, jis ne use janm diyā us kī pāk lāḍlī hai. Beṭiyoṅ ne use dekh kar use mubārak kahā, rāniyoṅ aur dāshtāoṅ ne us kī tārīf kī,
Song UrduGeoR 6:10  “Yih kaun hai jo tulū-e-subah kī tarah chamak uṭhī, jo chāṅd jaisī ḳhūbsūrat, āftāb jaisī pāk aur alambardār dastoṅ jaisī robdār hai?”
Song UrduGeoR 6:11  Maiṅ aḳhroṭ ke bāġh meṅ utar āyā tāki wādī meṅ phūṭne wāle paudoṅ kā muāynā karūṅ. Maiṅ yih bhī mālūm karnā chāhtā thā ki kyā angūr kī koṅpleṅ nikal āī yā anār ke phūl lag gae haiṅ.
Song UrduGeoR 6:12  Lekin chalte chalte na jāne kyā huā, merī ārzū ne mujhe merī sharīf qaum ke rathoṅ ke pās pahuṅchāyā.
Song UrduGeoR 6:13  Ai shūlammīt, lauṭ ā, lauṭ ā! Muṛ kar lauṭ ā tāki ham tujh par nazar kareṅ. Tum shūlammīt ko kyoṅ deḳhnā chāhtī ho? Ham lashkargāh kā loknāch deḳhnā chāhtī haiṅ!