Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
AMOS
1 2 3 4 5 6 7 8 9
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 3
Amos UrduGeoR 3:1  Ai Isrāīliyo, wuh kalām suno jo Rab tumhāre ḳhilāf farmātā hai, us pūrī qaum ke ḳhilāf jise maiṅ Misr se nikāl lāyā thā.
Amos UrduGeoR 3:2  “Duniyā kī tamām qaumoṅ meṅ se maiṅ ne sirf tumhīṅ ko jān liyā, is lie maiṅ tumhīṅ ko tumhāre tamām gunāhoṅ kī sazā dūṅgā.”
Amos UrduGeoR 3:3  Kyā do afrād mil kar safr kar sakte haiṅ agar wuh muttafiq na hoṅ?
Amos UrduGeoR 3:4  Kyā sherbabar dahāṛtā hai agar use shikār na milā ho? Kyā jawān sher apnī mānd meṅ garajtā hai agar us ne kuchh pakaṛā na ho?
Amos UrduGeoR 3:5  Kyā parindā phande meṅ phaṅs jātā hai agar phande ko lagāyā na gayā ho? Yā phandā kuchh phaṅsā saktā hai agar shikār na ho?
Amos UrduGeoR 3:6  Jab shahr meṅ narsingā phūṅkā jātā hai tāki logoṅ ko kisī ḳhatre se āgāh kare to kyā wuh nahīṅ ghabrāte? Jab āfat shahr par ātī hai to kyā Rab kī taraf se nahīṅ hotī?
Amos UrduGeoR 3:7  Yaqīnan jo bhī mansūbā Rab Qādir-e-mutlaq bāndhe us par amal karne se pahle wuh use apne ḳhādimoṅ yānī nabiyoṅ par zāhir kartā hai.
Amos UrduGeoR 3:8  Sherbabar dahāṛ uṭhā hai to kaun hai jo ḍar na jāe? Rab Qādir-e-mutlaq bol uṭhā hai to kaun hai jo nabuwwat na kare?
Amos UrduGeoR 3:9  Ashdūd aur Misr ke mahaloṅ ko ittalā do, “Sāmariya ke pahāṛoṅ par jamā ho kar us par nazar ḍālo jo kuchh shahr meṅ ho rahā hai. Kitnī baṛī halchal mach gaī hai, kitnā zulm ho rahā hai.”
Amos UrduGeoR 3:10  Rab farmātā hai, “Yih log sahīh kām karnā jānte hī nahīṅ balki zālim aur tabāhkun tarīqoṅ se apne mahaloṅ meṅ ḳhazāne jamā karte haiṅ.”
Amos UrduGeoR 3:11  Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Dushman mulk ko gher kar terī qilābandiyoṅ ko ḍhā degā aur tere mahaloṅ ko lūṭ legā.”
Amos UrduGeoR 3:12  Rab farmātā hai, “Agar charwāhā apnī bheṛ ko sherbabar ke muṅh se nikālne kī koshish kare to shāyad do pinḍliyāṅ yā kān kā ṭukṛā bach jāe. Sāmariya ke Isrāīlī bhī isī tarah hī bach jāeṅge, ḳhāh wuh is waqt apne shāndār sofoṅ aur ḳhūbsūrat gaddiyoṅ par ārām kyoṅ na kareṅ.”
Amos UrduGeoR 3:13  Rab Qādir-e-mutlaq jo āsmānī lashkaroṅ kā Ḳhudā hai farmātā hai, “Suno, Yāqūb ke gharāne ke ḳhilāf gawāhī do!
Amos UrduGeoR 3:14  Jis din maiṅ Isrāīl ko us ke gunāhoṅ kī sazā dūṅgā us din maiṅ Baitel kī qurbāngāhoṅ ko mismār karūṅga. Tab qurbāngāh ke konoṅ par lage sīṅg ṭūṭ kar zamīn par gir jāeṅge.
Amos UrduGeoR 3:15  Maiṅ sardiyoṅ aur garmiyoṅ ke mausam ke lie tāmīr kie gae gharoṅ ko ḍhā dūṅgā. Hāthīdāṅt se ārāstā imārateṅ ḳhāk meṅ milāī jāeṅgī, aur jahāṅ is waqt muta'addid makān nazar āte haiṅ wahāṅ kuchh nahīṅ rahegā.” Yih Rab kā farmān hai.