Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
I CHRONICLES
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 20
I Ch UrduGeoR 20:1  Bahār kā mausam ā gayā, wuh waqt jab bādshāh jang ke lie nikalte haiṅ. Tab Yoāb ne fauj le kar Ammoniyoṅ kā mulk tabāh kar diyā. Laṛte laṛte wuh Rabbā tak pahuṅch gayā aur us kā muhāsarā karne lagā. Lekin Dāūd ḳhud Yarūshalam meṅ rahā. Phir Yoāb ne Rabbā ko bhī shikast de kar ḳhāk meṅ milā diyā.
I Ch UrduGeoR 20:2  Dāūd ne Hanūn Bādshāh kā tāj us ke sar se utār kar apne sar par rakh liyā. Sone ke is tāj kā wazn 34 kilogrām thā, aur us meṅ ek beshqīmat jauhar jaṛā huā thā. Dāūd ne shahr se bahut-sā lūṭā huā māl le kar
I Ch UrduGeoR 20:3  us ke bāshindoṅ ko ġhulām banā liyā. Unheṅ patthar kāṭne kī āriyāṅ, lohe kī kudāleṅ aur kulhāṛiyāṅ dī gaīṅ tāki wuh mazdūrī kareṅ. Yihī sulūk bāqī Ammonī shahroṅ ke bāshindoṅ ke sāth bhī kiyā gayā. Jang ke iḳhtitām par Dāūd pūrī fauj ke sāth Yarūshalam lauṭ āyā.
I Ch UrduGeoR 20:4  Is ke bād Isrāīliyoṅ ko Jazar ke qarīb Filistiyoṅ se laṛnā paṛā. Wahāṅ Sibbakī Hūsātī ne dewqāmat mard Rafā kī aulād meṅ se ek ādmī ko mār ḍālā jis kā nām Saffī thā. Yoṅ Filistiyoṅ ko tābe kar liyā gayā.
I Ch UrduGeoR 20:5  Un se ek aur laṛāī ke daurān Ilhanān bin Yāīr ne Jātī Jālūt ke bhāī Lahmī ko maut ke ghāṭ utār diyā. Us kā nezā khaḍḍī ke shahtīr jaisā baṛā thā.
I Ch UrduGeoR 20:6  Ek aur dafā Jāt ke pās laṛāī huī. Filistiyoṅ kā ek faujī jo Rafā kī nasl kā thā bahut lambā thā. Us ke hāthoṅ aur pairoṅ kī chhih chhih ungliyāṅ yānī mil kar 24 ungliyāṅ thīṅ.
I Ch UrduGeoR 20:7  Jab wuh Isrāīliyoṅ kā mazāq uṛāne lagā to Dāūd ke bhāī Simā ke beṭe Yūnatan ne use mār ḍālā.
I Ch UrduGeoR 20:8  Jāt ke yih dewqāmat mard Rafā kī aulād the, aur wuh Dāūd aur us ke faujiyoṅ ke hāthoṅ halāk hue.