I CHRONICLES
Chapter 3
I Ch | UrduGeoR | 3:1 | Habrūn meṅ Dāūd Bādshāh ke darj-e-zail beṭe paidā hue: Pahlauṭhā Amnon thā jis kī māṅ Aḳhīnūsam Yazraelī thī. Dūsrā Dānyāl thā jis kī māṅ Abījel Karmilī thī. | |
I Ch | UrduGeoR | 3:2 | Tīsrā Abīsalūm thā. Us kī māṅ Mākā thī jo Jasūr ke bādshāh Talmī kī beṭī thī. Chauthā Adūniyāh thā jis kī māṅ Hajjīt thī. | |
I Ch | UrduGeoR | 3:3 | Pāṅchwāṅ Safatiyāh thā jis kī māṅ Abītāl thī. Chhaṭā Itriyām thā jis kī māṅ Ijlā thī. | |
I Ch | UrduGeoR | 3:4 | Dāūd ke yih chhih beṭe un sāṛhe sāt sāloṅ ke daurān paidā hue jab Habrūn us kā dārul-hukūmat thā. Is ke bād wuh Yarūshalam meṅ muntaqil huā aur wahāṅ mazīd 33 sāl hukūmat kartā rahā. | |
I Ch | UrduGeoR | 3:5 | Us daurān us kī bīwī Bat-sabā bint Ammiyel ke chār beṭe Simā, Sobāb, Nātan aur Sulemān paidā hue. | |
I Ch | UrduGeoR | 3:10 | Sulemān ke hāṅ Rahubiyām paidā huā, Rahubiyām ke Abiyāh, Abiyāh ke Āsā, Āsā ke Yahūsafat, | |
I Ch | UrduGeoR | 3:15 | Yūsiyāh ke chār beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Yūhanān, Yahūyaqīm, Sidqiyāh aur Sallūm the. | |
I Ch | UrduGeoR | 3:19 | Fidāyāh ke do beṭe Zarubbābal aur Simaī the. Zarubbābal ke do beṭe Masullām aur Hananiyāh the. Ek beṭī banām Salūmīt bhī paidā huī. | |
I Ch | UrduGeoR | 3:21 | Hananiyāh ke do beṭe Falatiyāh aur Yasāyāh the. Yasāyāh Rifāyāh kā bāp thā, Rifāyāh Arnān kā, Arnān Abadiyāh kā aur Abadiyāh Sakaniyāh kā. | |
I Ch | UrduGeoR | 3:22 | Sakaniyāh ke beṭe kā nām Samāyāh thā. Samāyāh ke chhih beṭe Hattūsh, Ijāl, Barīh, Na'ariyāh aur Sāfat the. | |