Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
I CHRONICLES
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 27
I Ch UrduGeoR 27:1  Darj-e-zail un ḳhāndānī sarparastoṅ, hazār hazār aur sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsaroṅ aur sarkārī afsaroṅ kī fahrist hai jo bādshāh ke mulāzim the. Fauj 12 gurohoṅ par mushtamil thī, aur har guroh ke 24,000 afrād the. Har guroh kī ḍyūṭī sāl meṅ ek māh ke lie lagtī thī.
I Ch UrduGeoR 27:2  Jo afsar in gurohoṅ par muqarrar the wuh yih the: Pahlā māh: Yasūbiyām bin Zabdiyel.
I Ch UrduGeoR 27:3  Wuh Fāras ke ḳhāndān kā thā aur us guroh par muqarrar thā jis kī ḍyūṭī pahle mahīne meṅ hotī thī.
I Ch UrduGeoR 27:4  Dūsrā māh: Dodī Aḳhūhī. Us ke guroh ke ālā afsar kā nām Miqlot thā.
I Ch UrduGeoR 27:5  Tīsrā māh: Yahoyadā Imām kā beṭā Bināyāh.
I Ch UrduGeoR 27:6  Yih Dāūd ke behtarīn daste banām ‘Tīs’ par muqarrar thā aur ḳhud zabardast faujī thā. Us ke guroh kā ālā afsar us kā beṭā ammīzabad thā.
I Ch UrduGeoR 27:7  Chauthā māh: Yoāb kā bhāī Asāhel. Us kī maut ke bād Asāhel kā beṭā Zabadiyāh us kī jagah muqarrar huā.
I Ch UrduGeoR 27:11  Āṭhwāṅ māh: Zārah ke ḳhāndān kā Sibbakī Hūsātī.
I Ch UrduGeoR 27:12  Nawāṅ māh: Binyamīn ke qabīle kā Abiyazar Anatotī.
I Ch UrduGeoR 27:13  Daswāṅ māh: Zārah ke ḳhāndān kā Mahrī Natūfātī.
I Ch UrduGeoR 27:14  Gyārhwāṅ māh: Ifrāīm ke qabīle kā Bināyāh Fir'ātonī.
I Ch UrduGeoR 27:15  Bārhwāṅ māh: Ġhutniyel ke ḳhāndān kā Ḳhaldī Natūfātī.
I Ch UrduGeoR 27:16  Zail ke ādmī Isrāīlī qabīloṅ ke sarparast the: Rūbin kā qabīlā: Iliyazar bin Zikrī. Shamāūn kā qabīlā: Safatiyāh bin Mākā.
I Ch UrduGeoR 27:17  Lāwī kā qabīlā: Hasbiyāh bin Qamuel. Hārūn ke ḳhāndān kā sarparast Sadoq thā.
I Ch UrduGeoR 27:18  Yahūdāh kā qabīlā: Dāūd kā bhāī Ilīhū. Ishkār kā qabīlā: Umrī bin Mīkāel.
I Ch UrduGeoR 27:19  Zabūlūn kā qabīlā: Ismāyāh bin Abadiyāh. Naftālī kā qabīlā: Yarīmot bin Azriyel.
I Ch UrduGeoR 27:20  Ifrāīm kā qabīlā: Hosea bin Azaziyāh. Maġhribī Manassī kā qabīlā: Yoel bin Fidāyāh.
I Ch UrduGeoR 27:21  Mashriqī Manassī kā qabīlā jo Jiliyād meṅ thā: Yiddū bin Zakariyāh. Binyamīn kā qabīlā: Yāsiyel bin Abinair.
I Ch UrduGeoR 27:22  Dān kā qabīlā: Azarel bin Yarohām. Yih bārah log Isrāīlī qabīloṅ ke sarbarāh the.
I Ch UrduGeoR 27:23  Jitne Isrāīlī mardoṅ kī umr 20 sāl yā is se kam thī unheṅ Dāūd ne shumār nahīṅ kiyā, kyoṅki Rab ne us se wādā kiyā thā ki maiṅ Isrāīliyoṅ ko āsmān par ke sitāroṅ jaisā beshumār banā dūṅgā.
I Ch UrduGeoR 27:24  Nīz, Yoāb bin Zarūyāh ne mardumshumārī ko shurū to kiyā lekin use iḳhtitām tak nahīṅ pahuṅchāyā thā, kyoṅki Allāh kā ġhazab mardumshumārī ke bāis Isrāīl par nāzil huā thā. Natīje meṅ Dāūd Bādshāh kī tārīḳhī kitāb meṅ Isrāīliyoṅ kī kul tādād kabhī nahīṅ darj huī.
I Ch UrduGeoR 27:25  Azmāwat bin Adiyel Yarūshalam ke shāhī godāmoṅ kā inchārj thā. Jo godām dehī ilāqe, bāqī shahroṅ, gāṅwoṅ aur qiloṅ meṅ the un ko Yūnatan bin Uzziyāh saṅbhāltā thā.
I Ch UrduGeoR 27:26  Azrī bin Kalūb shāhī zamīnoṅ kī kāshtkārī karne wāloṅ par muqarrar thā.
I Ch UrduGeoR 27:27  Simaī Rāmātī angūr ke bāġhoṅ kī nigarānī kartā jabki Zabdī Shifmī in bāġhoṅ kī mai ke godāmoṅ kā inchārj thā.
I Ch UrduGeoR 27:28  Bāl-hanān Jadīrī zaitūn aur anjīr-tūt ke un bāġhoṅ par muqarrar thā jo maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe meṅ the. Yuās zaitūn ke tel ke godāmoṅ kī nigarānī kartā thā.
I Ch UrduGeoR 27:29  Shārūn ke maidān meṅ charne wāle gāy-bail Sitrī Shārūnī ke zer-e-nigarānī the jabki Sāfat bin Adlī wādiyoṅ meṅ charne wāle gāy-bailoṅ ko saṅbhāltā thā.
I Ch UrduGeoR 27:30  Obil Ismāīlī ūṅṭoṅ par muqarrar thā, Yahadiyāh Marūnotī gadhiyoṅ par
I Ch UrduGeoR 27:31  aur Yāzīz Hājirī bheṛ-bakriyoṅ par. Yih sab shāhī milkiyat ke nigarān the.
I Ch UrduGeoR 27:32  Dāūd kā samajhdār aur ālim chachā Yūnatan bādshāh kā mushīr thā. Yihiyel bin Hakmūnī bādshāh ke beṭoṅ kī tarbiyat ke lie zimmedār thā.
I Ch UrduGeoR 27:33  Aḳhītufal Dāūd kā mushīr jabki Hūsī Arkī Dāūd kā dost thā.
I Ch UrduGeoR 27:34  Aḳhītufal ke bād Yahoyadā bin Bināyāh aur Abiyātar bādshāh ke mushīr ban gae. Yoāb shāhī fauj kā kamānḍar thā.