Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
I CHRONICLES
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 26
I Ch UrduGeoR 26:1  Rab ke ghar ke sahan ke darwāzoṅ par pahrādārī karne ke guroh bhī muqarrar kie gae. Un meṅ zail ke ādmī shāmil the: Qorah ke ḳhāndān kā fard Masalamiyāh bin Qore jo Āsaf kī aulād meṅ se thā.
I Ch UrduGeoR 26:2  Masalamiyāh ke sāt beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Zakariyāh, Yadiyael, Zabadiyāh, Yatniyel,
I Ch UrduGeoR 26:4  Obed-adom bhī darbān thā. Allāh ne use barkat de kar āṭh beṭe die the. Baṛe se le kar chhoṭe tak un ke nām Samāyāh, Yahūzabad, Yuāḳh, Sakār, Nataniyel, Ammiyel, Ishkār aur Fa'ūllatī the.
I Ch UrduGeoR 26:5  Obed-adom bhī darbān thā. Allāh ne use barkat de kar āṭh beṭe die the. Baṛe se le kar chhoṭe tak un ke nām Samāyāh, Yahūzabad, Yuāḳh, Sakār, Nataniyel, Ammiyel, Ishkār aur Fa'ūllatī the.
I Ch UrduGeoR 26:6  Samāyāh bin Obed-adom ke beṭe ḳhāndānī sarbarāh the, kyoṅki wuh kāfī asar-o-rasūḳh rakhte the.
I Ch UrduGeoR 26:7  Un ke nām utnī, rafāel, Obed aur Ilzabad the. Samāyāh ke rishtedār Ilīhū aur Samakiyāh bhī guroh meṅ shāmil the, kyoṅki wuh bhī ḳhās haisiyat rakhte the.
I Ch UrduGeoR 26:8  Obed-adom se nikle yih tamām ādmī lāyq the. Wuh apne beṭoṅ aur rishtedāroṅ samet kul 62 afrād the aur sab mahārat se apnī ḳhidmat saranjām dete the.
I Ch UrduGeoR 26:9  Masalamiyāh ke beṭe aur rishtedār kul 18 ādmī the. Sab lāyq the.
I Ch UrduGeoR 26:10  Mirārī ke ḳhāndān kā fard Hūsā ke chār beṭe Simrī, Ḳhilqiyāh, Tabaliyāh aur Zakariyāh the. Hūsā ne Simrī ko ḳhidmat ke guroh kā sarbarāh banā diyā thā agarche wuh pahlauṭhā nahīṅ thā.
I Ch UrduGeoR 26:11  Dūsre beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Ḳhilqiyāh, Tabaliyāh aur Zakariyāh the. Hūsā ke kul 13 beṭe aur rishtedār the.
I Ch UrduGeoR 26:12  Darbānoṅ ke in gurohoṅ meṅ ḳhāndānī sarparast aur tamām ādmī shāmil the. Bāqī Lāwiyoṅ kī tarah yih bhī Rab ke ghar meṅ apnī ḳhidmat saranjām dete the.
I Ch UrduGeoR 26:13  Qurā-andāzī se muqarrar kiyā gayā ki kaun-sā guroh sahan ke kis darwāze kī pahrādārī kare. Is silsile meṅ baṛe aur chhoṭe ḳhāndānoṅ meṅ imtiyāz na kiyā gayā.
I Ch UrduGeoR 26:14  Yoṅ jab qurā ḍālā gayā to Masalamiyāh ke ḳhāndān kā nām Mashriqī Darwāze kī pahrādārī karne ke lie niklā. Zakariyāh bin Masalamiyāh ke ḳhāndān kā nām Shimālī Darwāze kī pahrādārī karne ke lie niklā. Zakariyāh apne dānā mashwaroṅ ke lie mashhūr thā.
I Ch UrduGeoR 26:15  Jab qurā Junūbī Darwāze kī pahrādārī ke lie ḍālā gayā to Obed-adom kā nām niklā. Us ke beṭoṅ ko godām kī pahrādārī karne kī zimmedārī dī gaī.
I Ch UrduGeoR 26:16  Jab Maġhribī Darwāze aur Salakat Darwāze ke lie qurā ḍālā gayā to Suffīm aur Hūsā ke nām nikle. Salakat Darwāzā chaṛhnī wāle rāste par hai. Pahrādārī kī ḳhidmat yoṅ bāṅṭī gaī:
I Ch UrduGeoR 26:17  Rozānā Mashriqī Darwāze par chhih Lāwī pahrā dete the, Shimālī aur Junūbī Darwāzoṅ par chār chār afrād aur godām par do.
I Ch UrduGeoR 26:18  Rab ke ghar ke sahan ke Maġhribī Darwāze par chhih Lāwī pahrā dete the, chār rāste par aur do sahan meṅ.
I Ch UrduGeoR 26:19  Yih sab darbānoṅ ke guroh the. Sab Qorah aur Mirārī ke ḳhāndānoṅ kī aulād the.
I Ch UrduGeoR 26:20  Dūsre kuchh Lāwī Allāh ke ghar ke ḳhazānoṅ aur Rab ke lie maḳhsūs kī gaī chīzeṅ saṅbhālte the.
I Ch UrduGeoR 26:21  Do bhāī Zaitām aur Yoel Rab ke ghar ke ḳhazānoṅ kī pahrādārī karte the. Wuh Yihiyel ke ḳhāndān ke sarparast the aur yoṅ Lādān Jairsonī kī aulād the.
I Ch UrduGeoR 26:22  Do bhāī Zaitām aur Yoel Rab ke ghar ke ḳhazānoṅ kī pahrādārī karte the. Wuh Yihiyel ke ḳhāndān ke sarparast the aur yoṅ Lādān Jairsonī kī aulād the.
I Ch UrduGeoR 26:23  Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel ke ḳhāndānoṅ kī yih zimmedāriyāṅ thīṅ:
I Ch UrduGeoR 26:24  Sabuel bin Jairsom bin Mūsā ḳhazānoṅ kā nigarān thā.
I Ch UrduGeoR 26:25  Jairsom ke bhāī Iliyazar kā beṭā Rahabiyāh thā. Rahabiyāh kā beṭā Yasāyāh, Yasāyāh kā beṭā Yūrām, Yūrām kā beṭā Zikrī aur Zikrī kā beṭā Salūmīt thā.
I Ch UrduGeoR 26:26  Salūmīt apne bhāiyoṅ ke sāth un muqaddas chīzoṅ ko saṅbhāltā thā jo Dāūd Bādshāh, ḳhāndānī sarparastoṅ, hazār hazār aur sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsaroṅ aur dūsre ālā afsaroṅ ne Rab ke lie maḳhsūs kī thīṅ.
I Ch UrduGeoR 26:27  Yih chīzeṅ jangoṅ meṅ lūṭe hue māl meṅ se le kar Rab ke ghar ko mazbūt karne ke lie maḳhsūs kī gaī thīṅ.
I Ch UrduGeoR 26:28  In meṅ wuh sāmān bhī shāmil thā jo Samuel Ġhaibbīn, Sāūl bin Qīs, Abinair bin Nair aur Yoāb bin Zarūyāh ne maqdis ke lie maḳhsūs kiyā thā. Salūmīt aur us ke bhāī in tamām chīzoṅ ko saṅbhālte the.
I Ch UrduGeoR 26:29  Izhār ke ḳhāndān ke afrād yānī kananiyāh aur us ke beṭoṅ ko Rab ke ghar se bāhar kī zimmedāriyāṅ dī gaīṅ. Unheṅ nigarānoṅ aur qāziyoṅ kī haisiyat se Isrāīl par muqarrar kiyā gayā.
I Ch UrduGeoR 26:30  Habrūn ke ḳhāndān ke afrād yānī Hasbiyāh aur us ke bhāiyoṅ ko Dariyā-e-Yardan ke maġhrib ke ilāqe ko saṅbhālne kī zimmedārī dī gaī. Wahāṅ wuh Rab ke ghar se mutālliq kāmoṅ ke alāwā bādshāh kī ḳhidmat bhī saranjām dete the. In lāyq ādmiyoṅ kī kul tādād 1,700 thī.
I Ch UrduGeoR 26:31  Dāūd Bādshāh kī hukūmat ke 40weṅ sāl meṅ nasabnāme kī tahqīq kī gaī tāki Habrūn ke ḳhāndān ke bāre meṅ mālūmāt hāsil ho jāeṅ. Patā chalā ki us ke kaī lāyq rukn Jiliyād ke ilāqe ke shahr Yāzer meṅ ābād haiṅ. Yariyāh un kā sarparast thā.
I Ch UrduGeoR 26:32  Dāūd Bādshāh ne use Rūbin, Jad aur Manassī ke mashriqī ilāqe ko saṅbhālne kī zimmedārī dī. Yariyāh kī is ḳhidmat meṅ us ke ḳhāndān ke mazīd 2,700 afrād bhī shāmil the. Sab lāyq aur apne apne ḳhāndānoṅ ke sarparast the. Us ilāqe meṅ wuh Rab ke ghar se mutālliq kāmoṅ ke alāwā bādshāh kī ḳhidmat bhī saranjām dete the.