I CHRONICLES
Chapter 6
I Ch | UrduGeoR | 6:3 | Amrām ke beṭe Hārūn aur Mūsā the. Beṭī kā nām Mariyam thā. Hārūn ke beṭe Nadab, Abīhū, Iliyazar aur Itamar the. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:10 | aur Yūhanān ke Azariyāh. Yihī Azariyāh Rab ke us ghar kā pahlā imām-e-āzam thā jo Sulemān ne Yarūshalam meṅ banwāyā thā. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:15 | Jab Rab ne Nabūkadnazzar ke hāth se Yarūshalam aur pūre Yahūdāh ke bāshindoṅ ko jilāwatan kar diyā to Yahūsadaq bhī un meṅ shāmil thā. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:19 | Mirārī ke do beṭe Mahlī aur Mūshī the. Zail meṅ Lāwī ke ḳhāndānoṅ kī fahrist un ke bāniyoṅ ke mutābiq darj hai. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:31 | Jab ahd kā sandūq Yarūshalam meṅ lāyā gayā tāki āindā wahāṅ rahe to Dāūd Bādshāh ne kuchh Lāwiyoṅ ko Rab ke ghar meṅ gīt gāne kī zimmedārī dī. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:32 | Is se pahle ki Sulemān ne Rab kā ghar banwāyā yih log apnī ḳhidmat mulāqāt ke ḳhaime ke sāmne saranjām dete the. Wuh sab kuchh muqarrarā hidāyāt ke mutābiq adā karte the. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:33 | Zail meṅ un ke nām un ke beṭoṅ ke nāmoṅ samet darj haiṅ. Qihāt ke ḳhāndān kā Haimān pahlā gulūkār thā. Us kā pūrā nām yih thā: Haimān bin Yoel bin Samuel | |
I Ch | UrduGeoR | 6:39 | Haimān ke dahne hāth Āsaf khaṛā hotā thā. Us kā pūrā nām yih thā: Āsaf bin Barakiyāh bin Simā | |
I Ch | UrduGeoR | 6:44 | Haimān ke bāeṅ hāth Aitān khaṛā hotā thā. Wuh Mirārī ke ḳhāndān kā fard thā. Us kā pūrā nām yih thā: Aitān bin Qīsī bin Abdī bin Mallūk | |
I Ch | UrduGeoR | 6:49 | Lekin sirf Hārūn aur us kī aulād bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh karte aur baḳhūr kī qurbāngāh par baḳhūr jalāte the. Wuhī Muqaddastarīn Kamre meṅ har ḳhidmat saranjām dete the. Isrāīl kā kaffārā denā unhīṅ kī zimmedārī thī. Wuh sab kuchh ain un hidāyāt ke mutābiq adā karte the jo Allāh ke ḳhādim Mūsā ne unheṅ dī thīṅ. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:54 | Zail meṅ wuh ābādiyāṅ aur charāgāheṅ darj haiṅ jo Lāwiyoṅ ko qurā ḍāl kar dī gaīṅ. Qurā ḍālte waqt pahle Hārūn ke beṭe Qihāt kī aulād ko jagheṅ mil gaīṅ. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:57 | Habrūn un shahroṅ meṅ shāmil thā jin meṅ har wuh panāh le saktā thā jis ke hāthoṅ ġhairirādī taur par koī halāk huā ho. Habrūn ke alāwā Hārūn kī aulād ko zail ke maqām un kī charāgāhoṅ samet die gae: Libnā, Yattīr, Istimua, | |
I Ch | UrduGeoR | 6:60 | Binyamīn ke qabīle se unheṅ Jibaūn, Jibā, Alamat aur Anatot un kī charāgāhoṅ samet die gae. Is tarah Hārūn ke ḳhāndān ko 13 shahr mil gae. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:62 | Jairsom kī aulād ko Ishkār, Āshar, Naftālī aur Manassī ke qabīloṅ ke 13 shahr die gae. Yih Manassī kā wuh ilāqā thā jo Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Mulk-e-Basan meṅ thā. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:64 | Yoṅ Isrāīliyoṅ ne qurā ḍāl kar Lāwiyoṅ ko mazkūrā shahr de die. Sab Yahūdāh, Shamāūn aur Binyamīn ke qabāylī ilāqoṅ meṅ the. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:65 | Yoṅ Isrāīliyoṅ ne qurā ḍāl kar Lāwiyoṅ ko mazkūrā shahr de die. Sab Yahūdāh, Shamāūn aur Binyamīn ke qabāylī ilāqoṅ meṅ the. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:66 | Qihāt ke chand ek ḳhāndānoṅ ko Ifrāīm ke qabīle se shahr un kī charāgāhoṅ samet mil gae. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:67 | In meṅ Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe kā shahr Sikam shāmil thā jis meṅ har wuh panāh le saktā thā jis se koī ġhairirādī taur par halāk huā hotā thā, phir Jazar, | |
I Ch | UrduGeoR | 6:70 | Qihāt ke bāqī kunboṅ ko Manassī ke maġhribī hisse ke do shahr Āner aur Bilām un kī charāgāhoṅ samet mil gae. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:71 | Jairsom kī aulād ko zail ke shahr bhī un kī charāgāhoṅ samet mil gae: Manassī ke mashriqī hisse se Jaulān jo Basan meṅ hai aur Astārāt. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:77 | Mirārī ke bāqī ḳhāndānoṅ ko zail ke shahr un kī charāgāhoṅ samet mil gae: Zabūlūn ke qabīle se Rimmon aur Tabūr. | |
I Ch | UrduGeoR | 6:78 | Rūbin ke qabīle se registān kā Basar, Yahaz, Qadīmāt aur Mifāt. (Yih shahr Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Yarīhū ke muqābil wāqe haiṅ.) | |
I Ch | UrduGeoR | 6:79 | Rūbin ke qabīle se registān kā Basar, Yahaz, Qadīmāt aur Mifāt. (Yih shahr Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Yarīhū ke muqābil wāqe haiṅ.) | |