I CHRONICLES
Chapter 2
I Ch | UrduGeoR | 2:3 | Yahūdāh kī shādī Kanānī aurat se huī jo Sua kī beṭī thī. Un ke tīn beṭe Er, Onān aur Selā paidā hue. Yahūdāh kā pahlauṭhā Er Rab ke nazdīk sharīr thā, is lie us ne use marne diyā. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:4 | Yahūdāh ke mazīd do beṭe us kī bahū Tamr se paidā hue. Un ke nām Fāras aur Zārah the. Yoṅ Yahūdāh ke kul pāṅch beṭe the. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:7 | Karmī bin Zimrī kā beṭā wuhī Akar yānī Akan thā jis ne us lūṭe hue māl meṅ se kuchh liyā jo Rab ke lie maḳhsūs thā. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:10 | Rām ke hāṅ Ammīnadāb aur Ammīnadāb ke hāṅ Yahūdāh ke qabīle kā sardār Nahson paidā huā. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:16 | Un kī do bahneṅ Zarūyāh aur Abījel thīṅ. Zarūyāh ke tīn beṭe Abīshai, Yoāb aur Asāhel the. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:18 | Kālib bin Hasron kī bīwī Azūbā ke hāṅ beṭī banām Yarīot paidā huī. Yarīot ke beṭe Yashar, Sobāb aur Ardūn the. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:21 | 60 sāl kī umr meṅ Kālib ke bāp Hasron ne dubārā shādī kī. Bīwī Jiliyād ke bāp Makīr kī beṭī thī. Is rishte se beṭā Sajūb paidā huā. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:22 | Sajūb kā beṭā wuh Yāīr thā jis kī Jiliyād ke ilāqe meṅ 23 bastiyāṅ banām ‘Yāīr kī Bastiyāṅ’ thīṅ. Lekin bād meṅ Jasūr aur Shām ke faujiyoṅ ne un par qabzā kar liyā. Us waqt unheṅ Qanāt bhī gird-o-nawāh ke ilāqe samet hāsil huā. Un dinoṅ meṅ kul 60 ābādiyāṅ un ke hāth meṅ ā gaīṅ. In ke tamām bāshinde Jiliyād ke bāp Makīr kī aulād the. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:23 | Sajūb kā beṭā wuh Yāīr thā jis kī Jiliyād ke ilāqe meṅ 23 bastiyāṅ banām ‘Yāīr kī Bastiyāṅ’ thīṅ. Lekin bād meṅ Jasūr aur Shām ke faujiyoṅ ne un par qabzā kar liyā. Us waqt unheṅ Qanāt bhī gird-o-nawāh ke ilāqe samet hāsil huā. Un dinoṅ meṅ kul 60 ābādiyāṅ un ke hāth meṅ ā gaīṅ. In ke tamām bāshinde Jiliyād ke bāp Makīr kī aulād the. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:24 | Hasron jis kī bīwī Abiyāh thī faut huā to Kālib aur Ifrātā ke hāṅ beṭā Ashhūr paidā huā. Bād meṅ Ashhūr Taqua Shahr kā bānī ban gayā. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:25 | Hasron ke pahlauṭhe Yarahmiyel ke beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Rām, Būnā, Oran, Ozam aur Aḳhiyāh the. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:31 | lekin Affāym ke hāṅ beṭā Yisaī paidā huā. Yisaī Sīsān kā aur Sīsān Aḳhlī kā bāp thā. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:34 | Sīsān ke beṭe nahīṅ the balki beṭiyāṅ. Ek beṭī kī shādī us ne apne Misrī ġhulām Yarḳhā se karwāī. Un ke beṭā Attī paidā huā. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:35 | Sīsān ke beṭe nahīṅ the balki beṭiyāṅ. Ek beṭī kī shādī us ne apne Misrī ġhulām Yarḳhā se karwāī. Un ke beṭā Attī paidā huā. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:42 | Zail meṅ Yarahmiyel ke bhāī Kālib kī aulād hai: Us kā pahlauṭhā Mesā Zīf kā bāp thā aur dūsrā beṭā Maresā Habrūn kā bāp. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:46 | Kālib kī dāshtā Aifā ke beṭe Hārān, Mauzā aur Jāziz paidā hue. Hārān ke beṭe kā nām Jāziz thā. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:49 | Shāf (Madmannā kā bāp) aur Siwā (Makbenā aur Jibiyā kā bāp) paidā hue. Kālib kī ek beṭī bhī thī jis kā nām Aksā thā. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:50 | Sab Kālib kī aulād the. Ifrātā ke pahlauṭhe Hūr ke beṭe Qiriyat-yārīm kā bāp Sobal, | |
I Ch | UrduGeoR | 2:53 | aur Qiriyat-yārīm ke ḳhāndān Uttarī, Fūtī, Sumātī aur Misrāī. In se Sur'ātī aur Istālī nikle haiṅ. | |
I Ch | UrduGeoR | 2:54 | Salmā se zail ke gharāne nikle: Bait-laham ke bāshinde, Natūfātī, Atarāt-bait-yoāb, Mānahat kā ādhā hissā, Sur'ī | |