Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
II CHRONICLES
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 21
II C UrduGeoR 21:1  Jab Yahūsafat mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafn kiyā gayā. Phir us kā beṭā Yahūrām taḳhtnashīn huā.
II C UrduGeoR 21:2  Yahūsafat ke bāqī beṭe Azariyāh, Yihiyel, Zakariyāh, Azariyāhū, Mīkāel aur Safatiyāh the.
II C UrduGeoR 21:3  Yahūsafat ne unheṅ bahut sonā-chāṅdī aur dīgar qīmtī chīzeṅ de kar Yahūdāh ke qilāband shahroṅ par muqarrar kiyā thā. Lekin Yahūrām ko us ne pahlauṭhā hone ke bāis apnā jānashīn banāyā thā.
II C UrduGeoR 21:4  Bādshāh banane ke bād jab Yahūdāh kī hukūmat mazbūtī se us ke hāth meṅ thī to Yahūrām ne apne tamām bhāiyoṅ ko Yahūdāh ke kuchh rāhnumāoṅ samet qatl kar diyā.
II C UrduGeoR 21:5  Yahūrām 32 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur wuh Yarūshalam meṅ rah kar 8 sāl tak hukūmat kartā rahā.
II C UrduGeoR 21:6  Us kī shādī Isrāīl ke bādshāh Aḳhiyab kī beṭī se huī thī, aur wuh Isrāīl ke bādshāhoṅ aur ḳhāskar Aḳhiyab ke ḳhāndān ke bure namūne par chaltā rahā. Us kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā.
II C UrduGeoR 21:7  To bhī wuh Dāūd ke gharāne ko tabāh nahīṅ karnā chāhtā thā, kyoṅki us ne Dāūd se ahd bāndh kar wādā kiyā thā ki terā aur terī aulād kā charāġh hameshā tak jaltā rahegā.
II C UrduGeoR 21:8  Yahūrām kī hukūmat ke daurān Adomiyoṅ ne baġhāwat kī aur Yahūdāh kī hukūmat ko radd karke apnā bādshāh muqarrar kiyā.
II C UrduGeoR 21:9  Tab Yahūrām apne afsaroṅ aur tamām rathoṅ ko le kar un ke pās pahuṅchā. Jab jang chhiṛ gaī to Adomiyoṅ ne use aur us ke rathoṅ par muqarrar afsaroṅ ko gher liyā, lekin rāt ko bādshāh gherne wāloṅ kī safoṅ ko toṛne meṅ kāmyāb ho gayā.
II C UrduGeoR 21:10  To bhī Mulk-e-Adom āj tak dubārā Yahūdāh kī hukūmat ke taht nahīṅ āyā. Usī waqt Libnā Shahr bhī sarkash ho kar ḳhudmuḳhtār ho gayā. Yih sab kuchh is lie huā ki Yahūrām ne Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ko tark kar diyā thā,
II C UrduGeoR 21:11  yahāṅ tak ki us ne Yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ kaī ūṅchī jaghoṅ par mandir banwāe aur Yarūshalam ke bāshindoṅ ko Rab se bewafā ho jāne par uksāyā. Pūre Yahūdāh ko wuh butparastī kī ġhalat rāh par le āyā.
II C UrduGeoR 21:12  Tab Yahūrām ko Iliyās Nabī se ḳhat milā jis meṅ likhā thā, “Rab āp ke bāp Dāūd kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Tū apne bāp Yahūsafat aur apne dādā Āsā Bādshāh ke achchhe namūne par nahīṅ chalā
II C UrduGeoR 21:13  balki Isrāīl ke bādshāhoṅ kī ġhalat rāhoṅ par. Bilkul Aḳhiyab ke ḳhāndān kī tarah tū Yarūshalam aur pūre Yahūdāh ke bāshindoṅ ko butparastī kī rāh par lāyā hai. Aur yih tere lie kāfī nahīṅ thā, balki tū ne apne sage bhāiyoṅ ko bhī jo tujh se behtar the qatl kar diyā.
II C UrduGeoR 21:14  Is lie Rab terī qaum, tere beṭoṅ aur terī bīwiyoṅ ko terī pūrī milkiyat samet baṛī musībat meṅ ḍālne ko hai.
II C UrduGeoR 21:15  Tū ḳhud bīmār ho jāegā. Lā'ilāj marz kī zad meṅ ā kar tujhe baṛī der tak taklīf hogī. Āḳhirkār terī antaṛiyāṅ jism se nikleṅgī.’”
II C UrduGeoR 21:16  Un dinoṅ meṅ Rab ne Filistiyoṅ aur Ethopiyā ke paṛos meṅ rahne wāle Arab qabīloṅ ko Yahūrām par hamlā karne kī tahrīk dī.
II C UrduGeoR 21:17  Yahūdāh meṅ ghus kar wuh Yarūshalam tak pahuṅch gae aur bādshāh ke mahal ko lūṭne meṅ kāmyāb hue. Tamām māl-o-asbāb ke alāwā unhoṅ ne bādshāh ke beṭoṅ aur bīwiyoṅ ko bhī chhīn liyā. Sirf sab se chhoṭā beṭā Yahuāḳhaz yānī Aḳhaziyāh bach niklā.
II C UrduGeoR 21:18  Is ke bād Rab kā ġhazab bādshāh par nāzil huā. Use lā'ilāj bīmārī lag gaī jis se us kī antaṛiyāṅ muta'assir huīṅ.
II C UrduGeoR 21:19  Bādshāh kī hālat bahut ḳharāb hotī gaī. Do sāl ke bād antaṛiyāṅ jism se nikal gaīṅ. Yahūrām shadīd dard kī hālat meṅ kūch kar gayā. Janāze par us kī qaum ne us ke ehtirām meṅ lakaṛī kā baṛā ḍher na jalāyā, go unhoṅ ne yih us ke bāpdādā ke lie kiyā thā.
II C UrduGeoR 21:20  Yahūrām 32 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ rah kar 8 sāl tak hukūmat kartā rahā thā. Jab faut huā to kisī ko bhī afsos na huā. Use Yarūshalam Shahr ke us hisse meṅ dafn to kiyā gayā jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai, lekin shāhī qabroṅ meṅ nahīṅ.