Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
GALATIANS
1 2 3 4 5 6
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 6
Gala UrduGeoR 6:1  Bhāiyo, agar koī kisī gunāh meṅ phaṅs jāe to āp jo ruhānī haiṅ use narmdilī se bahāl kareṅ. Lekin apnā bhī ḳhayāl rakheṅ, aisā na ho ki āp bhī āzmāish meṅ phaṅs jāeṅ.
Gala UrduGeoR 6:2  Bojh uṭhāne meṅ ek dūsre kī madad kareṅ, kyoṅki is tarah āp Masīh kī sharīat pūrī kareṅge.
Gala UrduGeoR 6:3  Jo samajhtā hai ki maiṅ kuchh hūṅ agarche wuh haqīqat meṅ kuchh bhī nahīṅ hai to wuh apne āp ko fareb de rahā hai.
Gala UrduGeoR 6:4  Har ek apnā zātī amal parkhe. Phir hī use apne āp par faḳhr kā mauqā hogā aur use kisī dūsre se apnā muwāzanā karne kī zarūrat na hogī.
Gala UrduGeoR 6:5  Kyoṅki har ek ko apnā zātī bojh uṭhānā hotā hai.
Gala UrduGeoR 6:6  Jise kalām-e-muqaddas kī tālīm dī jātī hai us kā farz hai ki wuh apne ustād ko apnī tamām achchhī chīzoṅ meṅ sharīk kare.
Gala UrduGeoR 6:7  Fareb mat khānā, Allāh insān ko apnā mazāq uṛāne nahīṅ detā. Jo kuchh bhī insān botā hai usī kī fasal wuh kāṭegā.
Gala UrduGeoR 6:8  Jo apnī purānī fitrat ke khet meṅ bīj boe wuh halākat kī fasal kāṭegā. Aur jo Rūhul-quds ke khet meṅ bīj boe wuh abadī zindagī kī fasal kāṭegā.
Gala UrduGeoR 6:9  Chunāṅche ham nek kām karne meṅ bedil na ho jāeṅ, kyoṅki ham muqarrarā waqt par zarūr fasal kī kaṭāī kareṅge. Shart sirf yih hai ki ham hathiyār na ḍāleṅ.
Gala UrduGeoR 6:10  Is lie āeṅ, jitnā waqt rah gayā hai sab ke sāth nekī kareṅ, ḳhāskar un ke sāth jo īmān meṅ hamāre bhāī aur bahneṅ haiṅ.
Gala UrduGeoR 6:11  Dekheṅ, maiṅ baṛe baṛe hurūf ke sāth apne hāth se āp ko likh rahā hūṅ.
Gala UrduGeoR 6:12  Yih log jo duniyā ke sāmne izzat hāsil karnā chāhte haiṅ āp ko ḳhatnā karwāne par majbūr karnā chāhte haiṅ. Maqsad un kā sirf ek hī hai, ki wuh us īzārasānī se bache raheṅ jo tab paidā hotī hai jab ham Masīh kī salībī maut kī tālīm dete haiṅ.
Gala UrduGeoR 6:13  Bāt yih hai ki jo apnā ḳhatnā karāte haiṅ wuh ḳhud sharīat kī pairawī nahīṅ karte. To bhī yih chāhte haiṅ ki āp apnā ḳhatnā karwāeṅ tāki āp ke jism kī hālat par wuh faḳhr kar sakeṅ.
Gala UrduGeoR 6:14  Lekin Ḳhudā kare ki maiṅ sirf hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kī salīb hī par faḳhr karūṅ. Kyoṅki us kī salīb se duniyā mere lie maslūb huī hai aur maiṅ duniyā ke lie.
Gala UrduGeoR 6:15  Ḳhatnā karwāne yā na karwāne se koī farq nahīṅ paṛtā balki farq us waqt paṛtā hai jab Allāh kisī ko nae sire se ḳhalaq kartā hai.
Gala UrduGeoR 6:16  Jo bhī is usūl par amal karte haiṅ unheṅ salāmatī aur rahm hāsil hotā rahe, unheṅ bhī aur Allāh kī qaum Isrāīl ko bhī.
Gala UrduGeoR 6:17  Āindā koī mujhe taklīf na de, kyoṅki mere jism par zaḳhmoṅ ke nishān zāhir karte haiṅ ki maiṅ Īsā kā ġhulām hūṅ.
Gala UrduGeoR 6:18  Bhāiyo, hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kā fazl āp kī rūh ke sāth hotā rahe. Āmīn.