ISAIAH
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
Chapter 50
Isai | UrduGeoR | 50:1 | Rab farmātā hai, “Āo, mujhe wuh talāqnāmā dikhāo jo maiṅ ne de kar tumhārī māṅ ko chhoṛ diyā thā. Wuh kahāṅ hai? Yā mujhe wuh qarzḳhāh dikhāo jis ke hawāle maiṅ ne tumheṅ apnā qarz utārne ke lie kiyā. Wuh kahāṅ hai? Dekho, tumheṅ apne hī gunāhoṅ ke sabab se faroḳht kiyā gayā, tumhāre apne hī gunāhoṅ ke sabab se tumhārī māṅ ko fāriġh kar diyā gayā. | |
Isai | UrduGeoR | 50:2 | Jab maiṅ āyā to koī nahīṅ thā. Kyā wajah? Jab maiṅ ne āwāz dī to jawāb dene wālā koī nahīṅ thā. Kyoṅ ? Kyā maiṅ fidyā de kar tumheṅ chhuṛāne ke qābil na thā? Kyā merī itnī tāqat nahīṅ ki tumheṅ bachā sakūṅ? Merī to ek hī dhamkī se samundar ḳhushk ho jātā aur dariyā registān ban jāte haiṅ. Tab un kī machhliyāṅ pānī se mahrūm ho kar gal jātī haiṅ, aur un kī badbū chāroṅ taraf phail jātī hai. | |
Isai | UrduGeoR | 50:3 | Maiṅ hī āsmān ko tārīkī kā jāmā pahnātā, maiṅ hī use ṭāṭ ke mātamī libās meṅ lapeṭ detā hūṅ.” | |
Isai | UrduGeoR | 50:4 | Rab Qādir-e-mutlaq ne mujhe shāgird kī-sī zabān atā kī tāki maiṅ wuh kalām jān lūṅ jis se thakāmāṅdā taqwiyat pāe. Subah basubah wuh mere kān ko jagā detā hai tāki maiṅ shāgird kī tarah sun sakūṅ. | |
Isai | UrduGeoR | 50:5 | Rab Qādir-e-mutlaq ne mere kān ko khol diyā, aur na maiṅ sarkash huā, na pīchhe haṭ gayā. | |
Isai | UrduGeoR | 50:6 | Maiṅ ne mārne wāloṅ ko apnī pīṭh aur bāl nochne wāloṅ ko apne gāl pesh kie. Maiṅ ne apnā chehrā un kī gāliyoṅ aur thūk se na chhupāyā. | |
Isai | UrduGeoR | 50:7 | Lekin Rab Qādir-e-mutlaq merī madad kartā hai, is lie merī ruswāī nahīṅ hogī. Chunāṅche maiṅ ne apnā muṅh chaqmāq kī tarah saḳht kar liyā hai, kyoṅki maiṅ jāntā hūṅ ki maiṅ sharmindā nahīṅ ho jāūṅgā. | |
Isai | UrduGeoR | 50:8 | Jo mujhe rāst ṭhahrātā hai wuh qarīb hī hai. To phir kaun mere sāth jhagaṛegā? Āo, ham mil kar adālat meṅ khaṛe ho jāeṅ. Kaun mujh par ilzām lagāne kī jurrat karegā? Wuh ā kar merā sāmnā kare! | |
Isai | UrduGeoR | 50:9 | Rab Qādir-e-mutlaq hī merī madad kartā hai. To phir kaun mujhe mujrim ṭhahrāegā? Yih to sab purāne kapṛe kī tarah ghis kar phaṭeṅge, kīṛe unheṅ khā jāeṅge. | |
Isai | UrduGeoR | 50:10 | Tum meṅ se kaun Rab kā ḳhauf māntā aur us ke ḳhādim kī suntā hai? Jab use raushnī ke baġhair andhere meṅ chalnā paṛe to wuh Rab ke nām par bharosā rakhe aur apne Ḳhudā par inhisār kare. | |