Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ISAIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 13
Isai UrduGeoR 13:1  Darj-e-zail Bābal ke bāre meṅ wuh elān hai jo Yasāyāh bin Āmūs ne royā meṅ dekhā.
Isai UrduGeoR 13:2  Nange pahāṛ par jhanḍā gāṛ do. Unheṅ buland āwāz do, hāth hilā kar unheṅ shurafā ke darwāzoṅ meṅ dāḳhil hone kā hukm do.
Isai UrduGeoR 13:3  Maiṅ ne apne muqaddasīn ko kām par lagā diyā hai, maiṅ ne apne sūrmāoṅ ko jo merī azmat kī ḳhushī manāte haiṅ bulā liyā hai tāki mere ġhazab kā ālā-e-kār baneṅ.
Isai UrduGeoR 13:4  Suno! Pahāṛoṅ par baṛe hujūm kā shor mach rahā hai. Suno! Muta'addid mamālik aur jamā hone wālī qaumoṅ kā ġhul-ġhapāṛā sunāī de rahā hai. Rabbul-afwāj jang ke lie fauj jamā kar rahā hai.
Isai UrduGeoR 13:5  Us ke faujī dūr-darāz ilāqoṅ balki āsmān kī intahā se ā rahe haiṅ. Kyoṅki Rab apne ġhazab ke ālāt ke sāth ā rahā hai tāki tamām mulk ko barbād kar de.
Isai UrduGeoR 13:6  Wāwailā karo, kyoṅki Rab kā din qarīb hī hai, wuh din jab Qādir-e-mutlaq kī taraf se tabāhī machegī.
Isai UrduGeoR 13:7  Tab tamām hāth behis-o-harkat ho jāeṅge, aur har ek kā dil himmat hār degā.
Isai UrduGeoR 13:8  Dahshat un par chhā jāegī, aur wuh jāṅkanī aur dard-e-zah kī-sī girift meṅ ā kar janm dene wālī aurat kī tarah taṛpeṅge. Ek dūsre ko ḍar ke māre ghūr ghūr kar un ke chehre āg kī tarah tamtamā rahe hoṅge.
Isai UrduGeoR 13:9  Dekho, Rab kā berahm din ā rahā hai jab us kā qahr aur shadīd ġhazab nāzil hogā. Us waqt mulk tabāh ho jāegā aur gunāhgār ko us meṅ se miṭā diyā jāegā.
Isai UrduGeoR 13:10  Āsmān ke sitāre aur un ke jhurmaṭ nahīṅ chamkeṅge, sūraj tulū hote waqt tārīk hī rahegā, aur chāṅd kī raushnī ḳhatm hogī.
Isai UrduGeoR 13:11  Maiṅ duniyā ko us kī badkārī kā ajr aur bedīnoṅ ko un ke gunāhoṅ kī sazā dūṅgā, maiṅ shoḳhoṅ kā ghamanḍ ḳhatm kar dūṅgā aur zālimoṅ kā ġhurūr ḳhāk meṅ milā dūṅgā.
Isai UrduGeoR 13:12  Log ḳhālis sone se kahīṅ zyādā nāyāb hoṅge, insān Ofīr ke qīmtī sone kī nisbat kahīṅ zyādā kamyāb hogā.
Isai UrduGeoR 13:13  Kyoṅki āsmān Rabbul-afwāj ke qahr ke sāmne kāṅp uṭhegā, us ke shadīd ġhazab ke nāzil hone par zamīn laraz kar apnī jagah se khisak jāegī.
Isai UrduGeoR 13:14  Bābal ke tamām bāshinde shikārī ke sāmne dauṛne wāle ġhazāl aur charwāhe se mahrūm bheṛ-bakriyoṅ kī tarah idhar-udhar bhāg kar apne mulk aur apnī qaum meṅ wāpas āne kī koshish kareṅge.
Isai UrduGeoR 13:15  Jo bhī dushman ke qābū meṅ āegā use chhedā jāegā, jise bhī pakaṛā jāegā use talwār se mārā jāegā.
Isai UrduGeoR 13:16  Un ke deḳhte deḳhte dushman un ke bachchoṅ ko zamīn par paṭaḳh degā aur un ke gharoṅ ko lūṭ kar un kī auratoṅ kī ismatdarī karegā.
Isai UrduGeoR 13:17  Maiṅ Mādiyoṅ ko un par chaṛhā lāūṅgā, aise logoṅ ko jinheṅ rishwat se nahīṅ āzmāyā jā saktā, jo sone-chāṅdī kī parwā hī nahīṅ karte.
Isai UrduGeoR 13:18  Un ke tīr naujawānoṅ ko mār deṅge. Na wuh shīrḳhāroṅ par tars khāeṅge, na bachchoṅ par rahm kareṅge.
Isai UrduGeoR 13:19  Allāh Bābal ko jo tamām mamālik kā tāj aur Bābliyoṅ kā ḳhās faḳhr hai rū-e-zamīn par se miṭā ḍālegā. Us din wuh Sadūm aur Amūrā kī tarah tabāh ho jāegā.
Isai UrduGeoR 13:20  Āindā use kabhī dubārā basāyā nahīṅ jāegā, nasl-dar-nasl wuh wīrān hī rahegā. Na Baddū apnā tambū wahāṅ lagāegā, aur na gallābān apne rewaṛ us meṅ ṭhahrāegā.
Isai UrduGeoR 13:21  Sirf registān ke jānwar khanḍarāt meṅ jā baseṅge. Shahr ke ghar un kī āwāzoṅ se gūṅj uṭheṅge, uqābī ullū wahāṅ ṭhahreṅge, aur bakrānumā jin us meṅ raqs kareṅge.
Isai UrduGeoR 13:22  Janglī kutte us ke mahaloṅ meṅ roeṅge, aur gīdaṛ aish-o-ishrat ke qasroṅ meṅ apnī dard bharī āwāzeṅ nikāleṅge. Bābal kā ḳhātmā qarīb hī hai, ab der nahīṅ lagegī.