Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ISAIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 27
Isai UrduGeoR 27:1  Us din Rab us bhāgne aur pech-o-tāb khāne wāle sāṅp ko sazā degā jo Liwiyātān kahlātā hai. Apnī saḳht, azīm aur tāqatwar talwār se wuh samundar ke azhdahe ko mār ḍālegā.
Isai UrduGeoR 27:2  Us din kahā jāegā, “Angūr kā kitnā ḳhūbsūrat bāġh hai! Us kī tārīf meṅ gīt gāo!
Isai UrduGeoR 27:3  Maiṅ, Rab ḳhud hī use saṅbhāltā, use musalsal pānī detā rahtā hūṅ. Din rāt maiṅ us kī pahrādārī kartā hūṅ tāki koī use nuqsān na pahuṅchāe.
Isai UrduGeoR 27:4  Ab merā ġhussā ṭhanḍā ho gayā hai. Lekin agar bāġh meṅ ūṅṭkaṭāre aur ḳhārdār jhāṛiyāṅ mil jāeṅ to maiṅ un se nipaṭ lūṅgā, maiṅ un se jang karke sab ko jalā dūṅgā.
Isai UrduGeoR 27:5  Lekin agar wuh mān jāeṅ to mere pās ā kar panāh leṅ. Wuh mere sāth sulah kareṅ, hāṅ mere sāth sulah kareṅ.”
Isai UrduGeoR 27:6  Ek waqt āegā ki Yāqūb jaṛ pakaṛegā. Isrāīl ko phūl lag jāeṅge, us kī koṅpleṅ nikleṅgī aur duniyā us ke phal se bhar jāegī.
Isai UrduGeoR 27:7  Kyā Rab ne apnī qaum ko yoṅ mārā jis tarah us ne Isrāīl ko mārne wāloṅ ko mārā hai? Hargiz nahīṅ! Yā kyā Isrāīl ko yoṅ qatl kiyā gayā jis tarah us ke qātiloṅ ko qatl kiyā gayā hai?
Isai UrduGeoR 27:8  Nahīṅ, balki tū ne use ḍarā kar aur bhagā kar us se jawāb talab kiyā, tū ne us ke ḳhilāf mashriq se tez āṅdhī bhej kar use apne huzūr se nikāl diyā.
Isai UrduGeoR 27:9  Is tarah Yāqūb ke qusūr kā kaffārā diyā jāegā. Aur jab Isrāīl kā gunāh dūr ho jāegā to natīje meṅ wuh tamām ġhalat qurbāngāhoṅ ko chūne ke pattharoṅ kī tarah chaknāchūr karegā. Na Yasīrat Dewī ke khambe, na baḳhūr jalāne kī ġhalat qurbāngāheṅ khaṛī raheṅgī.
Isai UrduGeoR 27:10  Kyoṅki qilāband shahr tanhā rah gayā hai. Logoṅ ne use wīrān chhoṛ kar registān kī tarah tark kar diyā hai. Ab se us meṅ bachhṛe hī chareṅge. Wuhī us kī galiyoṅ meṅ ārām karke us kī ṭahniyoṅ ko chabā leṅge.
Isai UrduGeoR 27:11  Tab us kī shāḳheṅ sūkh jāeṅgī aur aurateṅ unheṅ toṛ toṛ kar jalāeṅgī. Kyoṅki yih qaum samajh se ḳhālī hai, lihāzā us kā Ḳhāliq us par tars nahīṅ khāegā, jis ne use tashkīl diyā wuh us par mehrbānī nahīṅ karegā.
Isai UrduGeoR 27:12  Us din tum Isrāīlī ġhallā jaise hoge, aur Rab tumhārī bāliyoṅ ko Dariyā-e-Furāt se le kar Misr kī shimālī sarhad par wāqe Wādī-e-Misr tak kāṭegā. Phir wuh tumheṅ gāh kar dānā badānā tamām ġhallā ikaṭṭhā karegā.
Isai UrduGeoR 27:13  Us din narsingā buland āwāz se bajegā. Tab Asūr meṅ tabāh hone wāle aur Misr meṅ bhagāe hue log wāpas ā kar Yarūshalam ke muqaddas pahāṛ par Rab ko sijdā kareṅge.