Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ISAIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 11
Isai UrduGeoR 11:1  Yassī ke muḍh meṅ se koṅpal phūṭ niklegī, aur us kī bachī huī jaṛoṅ se shāḳh nikal kar phal lāegī.
Isai UrduGeoR 11:2  Rab kā Rūh us par ṭhahregā yānī hikmat aur samajh kā Rūh, mashwarat aur quwwat kā Rūh, irfān aur Rab ke ḳhauf kā Rūh.
Isai UrduGeoR 11:3  Rab kā ḳhauf use azīz hogā. Na wuh dikhāwe kī binā par faislā karegā, na sunī-sunāī bātoṅ kī binā par fatwā degā
Isai UrduGeoR 11:4  balki insāf se bebasoṅ kī adālat karegā aur ġhairjānibdārī se mulk ke musībatzadoṅ kā faislā karegā. Apne kalām kī lāṭhī se wuh zamīn ko māregā aur apne muṅh kī phūṅk se bedīn ko halāk karegā.
Isai UrduGeoR 11:5  Wuh rāstbāzī ke paṭke aur wafādārī ke zerjāme se mulabbas rahegā.
Isai UrduGeoR 11:6  Bheṛiyā us waqt bheṛ ke bachche ke pās ṭhahregā, aur chītā bheṛ ke bachche ke pās ārām karegā. Bachhṛā, jawān sherbabar aur moṭā-tāzā bail mil kar raheṅge, aur chhoṭā laṛkā unheṅ hāṅk kar saṅbhālegā.
Isai UrduGeoR 11:7  Gāy rīchh ke sāth charegī, aur un ke bachche ek dūsre ke sāth ārām kareṅge. Sherbabar bail kī tarah bhūsā khāegā.
Isai UrduGeoR 11:8  Shīrḳhār bachchā nāg kī bāṅbī ke qarīb khelegā, aur jawān bachchā apnā hāth zahrīle sāṅp ke bil meṅ ḍālegā.
Isai UrduGeoR 11:9  Mere tamām muqaddas pahāṛ par na ġhalat aur na tabāhkun kām kiyā jāegā. Kyoṅki mulk Rab ke irfān se yoṅ māmūr hogā jis tarah samundar pānī se bharā rahtā hai.
Isai UrduGeoR 11:10  Us din Yassī kī jaṛ se phūṭī huī koṅpal ummatoṅ ke lie jhanḍā hogā. Qaumeṅ us kī tālib hoṅgī, aur us kī sukūnatgāh jalālī hogī.
Isai UrduGeoR 11:11  Us din Rab ek bār phir apnā hāth baṛhāegā tāki apnī qaum kā wuh bachā-khuchā hissā dubārā hāsil kare jo Asūr, shimālī aur junūbī Misr, Ethopiyā, Ailām, Bābal, Hamāt aur sāhilī ilāqoṅ meṅ muntashir hogā.
Isai UrduGeoR 11:12  Wuh qaumoṅ ke lie jhanḍā gāṛ kar Isrāīl ke jilāwatanoṅ ko ikaṭṭhā karegā. Hāṅ, wuh Yahūdāh ke bikhre afrād ko duniyā ke chāroṅ konoṅ se lā kar jamā karegā.
Isai UrduGeoR 11:13  Tab Isrāīl kā hasad ḳhatm ho jāegā, aur Yahūdāh ke dushman nest-o-nābūd ho jāeṅge. Na Isrāīl Yahūdāh se hasad karegā, na Yahūdāh Isrāīl se dushmanī rakhegā.
Isai UrduGeoR 11:14  Phir donoṅ maġhrib meṅ Filistī mulk par jhapaṭ paṛeṅge aur mil kar mashriq ke bāshindoṅ ko lūṭ leṅge. Adom aur Moāb un ke qabze meṅ āeṅge, aur Ammon un ke tābe ho jāegā.
Isai UrduGeoR 11:15  Rab Bahr-e-Qulzum ko ḳhushk karegā aur sāth sāth Dariyā-e-Furāt ke ūpar hāth hilā kar us par zordār hawā chalāegā. Tab dariyā sāt aisī nahroṅ meṅ baṭ jāegā jo paidal hī pār kī jā sakeṅgī.
Isai UrduGeoR 11:16  Ek aisā rāstā banegā jo Rab ke bache hue afrād ko Asūr se Isrāīl tak pahuṅchāegā, bilkul us rāste kī tarah jis ne Isrāīliyoṅ ko Misr se nikalte waqt Isrāīl tak pahuṅchāyā thā.