Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ISAIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 55
Isai UrduGeoR 55:1  “Kyā tum pyāse ho? Āo, sab pānī ke pās āo! Kyā tumhāre pās paise nahīṅ? Idhar āo, saudā ḳharīd kar khānā khāo. Yahāṅ kī mai aur dūdh muft hai. Āo, use paise die baġhair ḳharīdo.
Isai UrduGeoR 55:2  Us par paise kyoṅ ḳharch karte ho jo roṭī nahīṅ hai? Jo ser nahīṅ kartā us ke lie mehnat-mashaqqat kyoṅ karte ho? Suno, suno merī bāt! Phir tum achchhī ḳhurāk khāoge, behtarīn khāne se lutfandoz hoge.
Isai UrduGeoR 55:3  Kān lagā kar mere pās āo! Suno to jīte rahoge. Maiṅ tumhāre sāth abadī ahd bāndhūṅgā, tumheṅ un anmiṭ mehrbāniyoṅ se nawāzūṅgā jin kā wādā Dāūd se kiyā thā.
Isai UrduGeoR 55:4  Dekh, maiṅ ne muqarrar kiyā ki wuh aqwām ke sāmne merā gawāh ho, ki aqwām kā ra'īs aur hukmrān ho.
Isai UrduGeoR 55:5  Dekh, tū aisī qaum ko bulāegā jise tū nahīṅ jāntā, aur tujh se nāwāqif qaum Rab tere Ḳhudā kī ḳhātir tere pās dauṛī chalī āegī. Kyoṅki jo Isrāīl kā Quddūs hai us ne tujhe shān-o-shaukat atā kī hai.”
Isai UrduGeoR 55:6  Abhī Rab ko talāsh karo jabki use pāyā jā saktā hai. Abhī use pukāro jabki wuh qarīb hī hai.
Isai UrduGeoR 55:7  Bedīn apnī burī rāh aur sharīr apne bure ḳhayālāt chhoṛe. Wuh Rab ke pās wāpas āe to wuh us par rahm karegā. Wuh hamāre Ḳhudā ke pās wāpas āe, kyoṅki wuh farāḳhdilī se muāf kar detā hai.
Isai UrduGeoR 55:8  Kyoṅki Rab farmātā hai, “Mere ḳhayālāt aur tumhāre ḳhayālāt meṅ aur merī rāhoṅ aur tumhārī rāhoṅ meṅ baṛā farq hai.
Isai UrduGeoR 55:9  Jitnā āsmān zamīn se ūṅchā hai utnī hī merī rāheṅ tumhārī rāhoṅ aur mere ḳhayālāt tumhāre ḳhayālāt se buland haiṅ.
Isai UrduGeoR 55:10  Bārish aur barf par ġhaur karo! Zamīn par paṛne ke bād yih ḳhālī hāth wāpas nahīṅ ātī balki zamīn ko yoṅ serāb kartī hai ki paude phūṭne aur phalne-phūlne lagte haiṅ balki pakte pakte bīj bone wāle ko bīj aur bhūke ko roṭī muhaiyā karte haiṅ.
Isai UrduGeoR 55:11  Mere muṅh se niklā huā kalām bhī aisā hī hai. Wuh ḳhālī hāth wāpas nahīṅ āegā balki merī marzī pūrī karegā aur us meṅ kāmyāb hogā jis ke lie maiṅ ne use bhejā thā.
Isai UrduGeoR 55:12  Kyoṅki tum ḳhushī se nikloge, tumheṅ salāmatī se lāyā jāegā. Pahāṛ aur pahāṛiyāṅ tumhāre āne par bāġh bāġh ho kar shādiyānā bajāeṅgī, aur maidān ke tamām daraḳht tāliyāṅ bajāeṅge.
Isai UrduGeoR 55:13  Kāṅṭedār jhāṛī kī bajāe jūnīpar kā daraḳht ugegā, aur bichchhūbūṭī kī bajāe mehndī phale phūlegī. Yoṅ Rab ke nām ko jalāl milegā, aur us kī qudrat kā abadī aur anmiṭ nishān qāym hogā.”