Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
NUMBERS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 17
Numb UrduGeoR 17:2  “Isrāīliyoṅ se bāt karke un se 12 lāṭhiyāṅ mangwā le, har qabīle ke sardār se ek lāṭhī. Har lāṭhī par us ke mālik kā nām likhnā.
Numb UrduGeoR 17:3  Lāwī kī lāṭhī par Hārūn kā nām likhnā, kyoṅki har qabīle ke sardār ke lie ek lāṭhī hogī.
Numb UrduGeoR 17:4  Phir un ko mulāqāt ke ḳhaime meṅ ahd ke sandūq ke sāmne rakh jahāṅ merī tum se mulāqāt hotī hai.
Numb UrduGeoR 17:5  Jis ādmī ko maiṅ ne chun liyā hai us kī lāṭhī se koṅpleṅ phūṭ nikleṅgī. Is tarah maiṅ tumhāre ḳhilāf Isrāīliyoṅ kī buṛbuṛāhaṭ ḳhatm kar dūṅgā.”
Numb UrduGeoR 17:6  Chunāṅche Mūsā ne Isrāīliyoṅ se bāt kī, aur qabīloṅ ke har sardār ne use apnī lāṭhī dī. In 12 lāṭhiyoṅ meṅ Hārūn kī lāṭhī bhī shāmil thī.
Numb UrduGeoR 17:7  Mūsā ne unheṅ mulāqāt ke ḳhaime meṅ ahd ke sandūq ke sāmne rakhā.
Numb UrduGeoR 17:8  Agle din jab wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil huā to us ne dekhā ki Lāwī ke qabīle ke sardār Hārūn kī lāṭhī se na sirf koṅpleṅ phūṭ niklī haiṅ balki phūl aur pake hue bādām bhī lage haiṅ.
Numb UrduGeoR 17:9  Mūsā tamām lāṭhiyāṅ Rab ke sāmne se bāhar lā kar Isrāīliyoṅ ke pās le āyā, aur unhoṅ ne un kā muāynā kiyā. Phir har ek ne apnī apnī lāṭhī wāpas le lī.
Numb UrduGeoR 17:10  Rab ne Mūsā se kahā, “Hārūn kī lāṭhī ahd ke sandūq ke sāmne rakh de. Yih bāġhī Isrāīliyoṅ ko yād dilāegī ki wuh apnā buṛbuṛānā band kareṅ, warnā halāk ho jāeṅge.”
Numb UrduGeoR 17:12  Lekin Isrāīliyoṅ ne Mūsā se kahā, “Hāy, ham mar jāeṅge. Hāy, ham halāk ho jāeṅge, ham sab halāk ho jāeṅge.
Numb UrduGeoR 17:13  Jo bhī Rab ke maqdis ke qarīb āe wuh mar jāegā. Kyā ham sab hī halāk ho jāeṅge?”