NUMBERS
Chapter 1
Numb | UrduGeoR | 1:1 | Isrāīliyoṅ ko Misr se nikle hue ek sāl se zyādā arsā guzar gayā thā. Ab tak wuh Dasht-e-Sīnā meṅ the. Dūsre sāl ke dūsre mahīne ke pahle din Rab mulāqāt ke ḳhaime meṅ Mūsā se hamkalām huā. Us ne kahā, | |
Numb | UrduGeoR | 1:2 | “Tū aur Hārūn tamām Isrāīliyoṅ kī mardumshumārī kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq karnā. Un tamām mardoṅ kī fahrist banānā | |
Numb | UrduGeoR | 1:10 | Yūsuf ke beṭe Ifrāīm ke qabīle se Ilīsamā bin Ammīhūd, Yūsuf ke beṭe Manassī ke qabīle se Jamliyel bin Fadāhsūr, | |
Numb | UrduGeoR | 1:16 | Yihī mard jamāt se is kām ke lie bulāe gae. Wuh apne qabīloṅ ke rāhnumā aur kunboṅ ke sarparast the. | |
Numb | UrduGeoR | 1:18 | usī din pūrī jamāt ko ikaṭṭhā kiyā. Har Isrāīlī mard jo kam az kam 20 sāl kā thā rajisṭar meṅ darj kiyā gayā. Rajisṭar kī tartīb un ke kunboṅ aur ābāī gharānoṅ ke mutābiq thī. | |
Numb | UrduGeoR | 1:19 | Sab kuchh waisā hī kiyā gayā jaisā Rab ne hukm diyā thā. Mūsā ne Sīnā ke registān meṅ logoṅ kī mardumshumārī kī. Natījā yih niklā: | |
Numb | UrduGeoR | 1:50 | Is ke bajāe unheṅ sharīat kī sukūnatgāh aur us kā sārā sāmān saṅbhālne kī zimmedārī denā. Wuh safr karte waqt yih ḳhaimā aur us kā sārā sāmān uṭhā kar le jāeṅ, us kī ḳhidmat ke lie hāzir raheṅ aur rukte waqt use apne ḳhaimoṅ se ghere rakheṅ. | |
Numb | UrduGeoR | 1:51 | Rawānā hote waqt wuhī ḳhaime ko sameṭeṅ aur rukte waqt wuhī use lagāeṅ. Agar koī aur us ke qarīb āe to use sazā-e-maut dī jāegī. | |
Numb | UrduGeoR | 1:52 | Bāqī Isrāīlī ḳhaimāgāh meṅ apne apne daste ke mutābiq aur apne apne alam ke irdgird apne ḳhaime lagāeṅ. | |
Numb | UrduGeoR | 1:53 | Lekin Lāwī apne ḳhaimoṅ se sharīat kī sukūnatgāh ko gher leṅ tāki merā ġhazab kisī ġhalat shaḳhs ke nazdīk āne se Isrāīliyoṅ kī jamāt par nāzil na ho jāe. Yoṅ Lāwiyoṅ ko sharīat kī sukūnatgāh ko saṅbhālnā hai.” | |