Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
NUMBERS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 18
Numb UrduGeoR 18:1  Rab ne Hārūn se kahā, “Maqdis terī, tere beṭoṅ aur Lāwī ke qabīle kī zimmedārī hai. Agar is meṅ koī ġhaltī ho jāe to tum qusūrwār ṭhahroge. Isī tarah imāmoṅ kī ḳhidmat sirf terī aur tere beṭoṅ kī zimmedārī hai. Agar is meṅ koī ġhaltī ho jāe to tū aur tere beṭe qusūrwār ṭhahreṅge.
Numb UrduGeoR 18:2  Apne qabīle Lāwī ke bāqī ādmiyoṅ ko bhī mere qarīb āne de. Wuh tere sāth mil kar yoṅ hissā leṅ ki wuh terī aur tere beṭoṅ kī ḳhidmat kareṅ jab tum ḳhaime ke sāmne apnī zimmedāriyāṅ nibhāoge.
Numb UrduGeoR 18:3  Terī ḳhidmat aur ḳhaime meṅ ḳhidmat un kī zimmedārī hai. Lekin wuh ḳhaime ke maḳhsūs-o-muqaddas sāmān aur qurbāngāh ke qarīb na jāeṅ, warnā na sirf wuh balki tū bhī halāk ho jāegā.
Numb UrduGeoR 18:4  Yoṅ wuh tere sāth mil kar mulāqāt ke ḳhaime ke pūre kām meṅ hissā leṅ. Lekin kisī aur ko aisā karne kī ijāzat nahīṅ hai.
Numb UrduGeoR 18:5  Sirf tū aur tere beṭe maqdis aur qurbāngāh kī dekh-bhāl kareṅ tāki merā ġhazab dubārā Isrāīliyoṅ par na bhaṛke.
Numb UrduGeoR 18:6  Maiṅ hī ne Isrāīliyoṅ meṅ se tere bhāiyoṅ yānī Lāwiyoṅ ko chun kar tujhe tohfe ke taur par diyā hai. Wuh Rab ke lie maḳhsūs haiṅ tāki ḳhaime meṅ ḳhidmat kareṅ.
Numb UrduGeoR 18:7  Lekin sirf tū aur tere beṭe imām kī ḳhidmat saranjām deṅ. Maiṅ tumheṅ imām kā ohdā tohfe ke taur par detā hūṅ. Koī aur qurbāngāh aur muqaddas chīzoṅ ke nazdīk na āe, warnā use sazā-e-maut dī jāe.”
Numb UrduGeoR 18:8  Rab ne Hārūn se kahā, “Maiṅ ne ḳhud muqarrar kiyā hai ki tamām uṭhāne wālī qurbāniyāṅ terā hissā hoṅ. Yih hameshā tak qurbāniyoṅ meṅ se terā aur terī aulād kā hissā haiṅ.
Numb UrduGeoR 18:9  Tumheṅ muqaddastarīn qurbāniyoṅ kā wuh hissā milnā hai jo jalāyā nahīṅ jātā. Hāṅ, tujhe aur tere beṭoṅ ko wuhī hissā milnā hai, ḳhāh wuh mujhe ġhallā kī nazareṅ, gunāh kī qurbāniyāṅ yā qusūr kī qurbāniyāṅ pesh kareṅ.
Numb UrduGeoR 18:10  Use muqaddas jagah par khānā. Har mard use khā saktā hai. Ḳhayāl rakh ki wuh maḳhsūs-o-muqaddas hai.
Numb UrduGeoR 18:11  Maiṅ ne muqarrar kiyā hai ki tamām hilāne wālī qurbāniyoṅ kā uṭhāyā huā hissā terā hai. Yih hameshā ke lie tere aur tere beṭe-beṭiyoṅ kā hissā hai. Tere gharāne kā har fard use khā saktā hai. Shart yih hai ki wuh pāk ho.
Numb UrduGeoR 18:12  Jab log Rab ko apnī fasloṅ kā pahlā phal pesh kareṅge to wuh terā hī hissā hogā. Maiṅ tujhe zaitūn ke tel, naī mai aur anāj kā behtarīn hissā detā hūṅ.
Numb UrduGeoR 18:13  Fasloṅ kā jo bhī pahlā phal wuh Rab ko pesh kareṅge wuh terā hī hogā. Tere gharāne kā har pāk fard use khā saktā hai.
Numb UrduGeoR 18:14  Isrāīl meṅ jo bhī chīz Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kī gaī hai wuh terī hogī.
Numb UrduGeoR 18:15  Har insān aur har haiwān kā jo pahlauṭhā Rab ko pesh kiyā jātā hai wuh terā hī hai. Lekin lāzim hai ki tū har insān aur har nāpāk jānwar ke pahlauṭhe kā fidyā de kar use chhuṛāe.
Numb UrduGeoR 18:16  Jab wuh ek māh ke haiṅ to un ke ewaz chāṅdī ke pāṅch sikke denā. (Har sikke kā wazn maqdis ke bāṭoṅ ke mutābiq 11 grām ho.)
Numb UrduGeoR 18:17  Lekin gāy-bailoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ ke pahle bachchoṅ kā fidyā yānī muāwazā na denā. Wuh maḳhsūs-o-muqaddas haiṅ. Un kā ḳhūn qurbāngāh par chhiṛak denā aur un kī charbī jalā denā. Aisī qurbānī Rab ko pasand hogī.
Numb UrduGeoR 18:18  Un kā gosht waise hī tumhāre lie ho, jaise hilāne wālī qurbānī kā Sīnā aur dahnī rān bhī tumhāre lie haiṅ.
Numb UrduGeoR 18:19  Muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se tamām uṭhāne wālī qurbāniyāṅ terā aur tere beṭe-beṭiyoṅ kā hissā haiṅ. Maiṅ ne use hameshā ke lie tujhe diyā hai. Yih namak kā dāymī ahd hai jo maiṅ ne tere aur terī aulād ke sāth qāym kiyā hai.”
Numb UrduGeoR 18:20  Rab ne Hārūn se kahā, “Tū mīrās meṅ zamīn nahīṅ pāegā. Isrāīl meṅ tujhe koī hissā nahīṅ diyā jāegā, kyoṅki Isrāīliyoṅ ke darmiyān maiṅ hī terā hissā aur terī mīrās hūṅ.
Numb UrduGeoR 18:21  Apnī paidāwār kā jo daswāṅ hissā Isrāīlī mujhe dete haiṅ wuh maiṅ Lāwiyoṅ ko detā hūṅ. Yih un kī wirāsat hai, jo unheṅ mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karne ke badle meṅ miltī hai.
Numb UrduGeoR 18:22  Ab se Isrāīlī mulāqāt ke ḳhaime ke qarīb na āeṅ, warnā unheṅ apnī ḳhatā kā natījā bardāsht karnā paṛegā aur wuh halāk ho jāeṅge.
Numb UrduGeoR 18:23  Sirf Lāwī mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat kareṅ. Agar is meṅ koī ġhaltī ho jāe to wuhī qusūrwār ṭhahreṅge. Yih ek dāymī usūl hai. Unheṅ Isrāīl meṅ mīrās meṅ zamīn nahīṅ milegī.
Numb UrduGeoR 18:24  Kyoṅki maiṅ ne unheṅ wuhī daswāṅ hissā mīrās ke taur par diyā hai jo Isrāīlī mujhe uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh karte haiṅ. Is wajah se maiṅ ne un ke bāre meṅ kahā ki unheṅ bāqī Isrāīliyoṅ ke sāth mīrās meṅ zamīn nahīṅ milegī.”
Numb UrduGeoR 18:26  “Lāwiyoṅ ko batānā ki tumheṅ Isrāīliyoṅ kī paidāwār kā daswāṅ hissā milegā. Yih Rab kī taraf se tumhārī wirāsat hogī. Lāzim hai ki tum is kā daswāṅ hissā Rab ko uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh karo.
Numb UrduGeoR 18:27  Tumhārī yih qurbānī nae anāj yā nae angūr ke ras kī qurbānī ke barābar qarār dī jāegī.
Numb UrduGeoR 18:28  Is tarah tum bhī Rab ko Isrāīliyoṅ kī paidāwār ke dasweṅ hisse meṅ se uṭhāne wālī qurbānī pesh karoge. Rab ke lie yih qurbānī Hārūn Imām ko denā.
Numb UrduGeoR 18:29  Jo bhī tumheṅ milā hai us meṅ se sab se achchhā aur muqaddas hissā Rab ko denā.
Numb UrduGeoR 18:30  Jab tum is kā sab se achchhā hissā pesh karoge to use nae anāj yā nae angūr ke ras kī qurbānī ke barābar qarār diyā jāegā.
Numb UrduGeoR 18:31  Tum apne gharānoṅ samet is kā bāqī hissā kahīṅ bhī khā sakte ho, kyoṅki yih mulāqāt ke ḳhaime meṅ tumhārī ḳhidmat kā ajr hai.
Numb UrduGeoR 18:32  Agar tum ne pahle is kā behtarīn hissā pesh kiyā ho to phir ise khāne meṅ tumhārā koī qusūr nahīṅ hogā. Phir Isrāīliyoṅ kī maḳhsūs-o-muqaddas qurbāniyāṅ tum se nāpāk nahīṅ ho jāeṅgī aur tum nahīṅ maroge.”