Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
NUMBERS
Prev Up Next
Chapter 3
Numb UrduGeoR 3:1  Yih Hārūn aur Mūsā ke ḳhāndān kā bayān hai. Us waqt kā zikr hai jab Rab ne Sīnā Pahāṛ par Mūsā se bāt kī.
Numb UrduGeoR 3:2  Hārūn ke chār beṭe the. Baṛā beṭā Nadab thā, phir Abīhū, Iliyazar aur Itamar.
Numb UrduGeoR 3:3  Yih imām the jin ko masah karke is ḳhidmat kā iḳhtiyār diyā gayā thā.
Numb UrduGeoR 3:4  Lekin Nadab aur Abīhū us waqt mar gae jab unhoṅ ne Dasht-e-Sīnā meṅ Rab ke huzūr nājāyz āg pesh kī. Chūṅki wuh beaulād the is lie Hārūn ke jīte-jī sirf Iliyazar aur Itamar imām kī ḳhidmat saranjām dete the.
Numb UrduGeoR 3:6  “Lāwī ke qabīle ko lā kar Hārūn kī ḳhidmat karne kī zimmedārī de.
Numb UrduGeoR 3:7  Unheṅ us ke lie aur pūrī jamāt ke lie mulāqāt ke ḳhaime kī ḳhidmāt saṅbhālnā hai.
Numb UrduGeoR 3:8  Wuh mulāqāt ke ḳhaime kā sāmān saṅbhāleṅ aur tamām Isrāīliyoṅ ke lie maqdis ke farāyz adā kareṅ.
Numb UrduGeoR 3:9  Tamām Isrāīliyoṅ meṅ se sirf Lāwiyoṅ ko Hārūn aur us ke beṭoṅ kī ḳhidmat ke lie muqarrar kar.
Numb UrduGeoR 3:10  Lekin sirf Hārūn aur us ke beṭoṅ ko imām kī haisiyat hāsil hai. Jo bhī bāqiyoṅ meṅ se un kī zimmedāriyāṅ uṭhāne kī koshish karegā use sazā-e-maut dī jāegī.”
Numb UrduGeoR 3:12  “Maiṅ ne Isrāīliyoṅ meṅ se Lāwiyoṅ ko chun liyā hai. Wuh tamām Isrāīlī pahlauṭhoṅ ke ewaz mere lie maḳhsūs haiṅ,
Numb UrduGeoR 3:13  kyoṅki tamām pahlauṭhe mere hī haiṅ. Jis din maiṅ ne Misr meṅ tamām pahlauṭhoṅ ko mār diyā us din maiṅ ne Isrāīl ke pahlauṭhoṅ ko apne lie maḳhsūs kiyā, ḳhāh wuh insān ke the yā haiwān ke. Wuh mere hī haiṅ. Maiṅ Rab hūṅ.”
Numb UrduGeoR 3:14  Rab ne Sīnā ke registān meṅ Mūsā se kahā,
Numb UrduGeoR 3:15  “Lāwiyoṅ ko gin kar un ke ābāī gharānoṅ aur kunboṅ ke mutābiq rajisṭar meṅ darj karnā. Har beṭe ko ginanā hai jo ek māh yā is se zāyd kā hai.”
Numb UrduGeoR 3:17  Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the.
Numb UrduGeoR 3:18  Jairson ke do kunbe us ke beṭoṅ Libnī aur Simaī ke nām rakhte the.
Numb UrduGeoR 3:19  Qihāt ke chār kunbe us ke beṭoṅ Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel ke nām rakhte the.
Numb UrduGeoR 3:20  Mirārī ke do kunbe us ke beṭoṅ Mahlī aur Mūshī ke nām rakhte the. Ġharz Lāwī ke qabīle ke kunbe us ke potoṅ ke nām rakhte the.
Numb UrduGeoR 3:22  ke 7,500 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the.
Numb UrduGeoR 3:23  Unheṅ apne ḳhaime maġhrib meṅ maqdis ke pīchhe lagāne the.
Numb UrduGeoR 3:25  aur wuh ḳhaime ko saṅbhālte the yānī us kī poshisheṅ, ḳhaime ke darwāze kā pardā,
Numb UrduGeoR 3:26  ḳhaime aur qurbāngāh kī chārdīwārī ke parde, chārdīwārī ke darwāze kā pardā aur tamām rasse. In chīzoṅ se mutālliq sārī ḳhidmat un kī zimmedārī thī.
Numb UrduGeoR 3:27  Qihāt ke chār kunboṅ banām Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel
Numb UrduGeoR 3:28  ke 8,600 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the aur jin ko maqdis kī ḳhidmat karnī thī.
Numb UrduGeoR 3:29  Unheṅ apne ḍere maqdis ke junūb meṅ ḍālne the.
Numb UrduGeoR 3:31  aur wuh yih chīzeṅ saṅbhālte the: ahd kā sandūq, mez, shamādān, qurbāngāheṅ, wuh bartan aur sāz-o-sāmān jo maqdis meṅ istemāl hotā thā aur Muqaddastarīn Kamre kā pardā. In chīzoṅ se mutālliq sārī ḳhidmat un kī zimmedārī thī.
Numb UrduGeoR 3:32  Hārūn Imām kā beṭā Iliyazar Lāwiyoṅ ke tamām rāhnumāoṅ par muqarrar thā. Wuh un tamām logoṅ kā inchārj thā jo maqdis kī dekh-bhāl karte the.
Numb UrduGeoR 3:33  Mirārī ke do kunboṅ banām Mahlī aur Mūshī
Numb UrduGeoR 3:34  ke 6,200 mard the jo ek māh yā is se zāyd ke the.
Numb UrduGeoR 3:35  Un kā rāhnumā Sūriyel bin Abīḳhail thā. Unheṅ apne ḍere maqdis ke shimāl meṅ ḍālne the,
Numb UrduGeoR 3:36  aur wuh yih chīzeṅ saṅbhālte the: ḳhaime ke taḳhte, us ke shahtīr, khambe, pāe aur is tarah kā sārā sāmān. In chīzoṅ se mutālliq sārī ḳhidmat un kī zimmedārī thī.
Numb UrduGeoR 3:37  Wuh chārdīwārī ke khambe, pāe, meḳheṅ aur rasse bhī saṅbhālte the.
Numb UrduGeoR 3:38  Mūsā, Hārūn aur un ke beṭoṅ ko apne ḍere mashriq meṅ maqdis ke sāmne ḍālne the. Un kī zimmedārī maqdis meṅ banī Isrāīl ke lie ḳhidmat karnā thī. Un ke alāwā jo bhī maqdis meṅ dāḳhil hone kī koshish kartā use sazā-e-maut denī thī.
Numb UrduGeoR 3:39  Un Lāwī mardoṅ kī kul tādād jo ek māh yā is se zāyd ke the 22,000 thī. Rab ke kahne par Mūsā aur Hārūn ne unheṅ kunboṅ ke mutābiq gin kar rajisṭar meṅ darj kiyā.
Numb UrduGeoR 3:40  Rab ne Mūsā se kahā, “Tamām Isrāīlī pahlauṭhoṅ ko ginanā jo ek māh yā is se zāyd ke haiṅ aur un ke nām rajisṭar meṅ darj karnā.
Numb UrduGeoR 3:41  Un tamām pahlauṭhoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ko mere lie maḳhsūs karnā. Isī tarah Isrāīliyoṅ ke maweshiyoṅ ke pahlauṭhoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ke maweshī mere lie maḳhsūs karnā. Maiṅ Rab hūṅ.”
Numb UrduGeoR 3:42  Mūsā ne aisā hī kiyā jaisā Rab ne use hukm diyā. Us ne tamām Isrāīlī pahlauṭhe
Numb UrduGeoR 3:43  jo ek māh yā is se zāyd ke the gin lie. Un kī kul tādād 22,273 thī.
Numb UrduGeoR 3:45  “Mujhe tamām Isrāīlī pahlauṭhoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ko pesh karnā. Isī tarah mujhe Isrāīliyoṅ ke maweshiyoṅ kī jagah Lāwiyoṅ ke maweshī pesh karnā. Lāwī mere hī haiṅ. Maiṅ Rab hūṅ.
Numb UrduGeoR 3:46  Lāwiyoṅ kī nisbat bāqī Isrāīliyoṅ ke 273 pahlauṭhe zyādā haiṅ. Un meṅ se
Numb UrduGeoR 3:47  har ek ke ewaz chāṅdī ke pāṅch sikke le jo maqdis ke wazn ke mutābiq hoṅ (fī sikkā taqrīban 11 grām).
Numb UrduGeoR 3:48  Yih paise Hārūn aur us ke beṭoṅ ko denā.”
Numb UrduGeoR 3:50  Yoṅ us ne chāṅdī ke 1,365 sikke (taqrīban 16 kilogrām) jamā karke
Numb UrduGeoR 3:51  Hārūn aur us ke beṭoṅ ko die, jis tarah Rab ne use hukm diyā thā.