EZEKIEL
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
Chapter 19
Ezek | UrduGeoR | 19:2 | ‘Terī māṅ kitnī zabardast shernī thī. Jawān sherbabaroṅ ke darmiyān hī apnā ghar banā kar us ne apne bachchoṅ ko pāl liyā. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:3 | Ek bachche ko us ne ḳhās tarbiyat dī. Jab baṛā huā to jānwaroṅ ko phāṛnā sīkh liyā, balki insān bhī us kī ḳhurāk ban gae. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:4 | Is kī ḳhabar dīgar aqwām tak pahuṅchī to unhoṅ ne use apne gaṛhe meṅ pakaṛ liyā. Wuh us kī nāk meṅ kāṅṭe ḍāl kar use Misr meṅ ghasīṭ le gae. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:5 | Jab shernī ke is bachche par se ummīd jātī rahī to us ne dīgar bachchoṅ meṅ se ek ko chun kar use ḳhās tarbiyat dī. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:6 | Yih bhī tāqatwar ho kar dīgar sheroṅ meṅ ghūmne phirne lagā. Us ne jānwaroṅ ko phāṛnā sīkh liyā, balki insān bhī us kī ḳhurāk ban gae. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:7 | Un ke qiloṅ ko girā kar us ne un ke shahroṅ ko ḳhāk meṅ milā diyā. Us kī dahāṛtī āwāz se mulk bāshindoṅ samet ḳhaufzadā ho gayā. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:8 | Tab irdgird ke sūboṅ meṅ basne wālī aqwām us se laṛne āīṅ. Unhoṅ ne apnā jāl us par ḍāl diyā, use apne gaṛhe meṅ pakaṛ liyā. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:9 | Wuh us kī gardan meṅ paṭṭā aur nāk meṅ kāṅṭe ḍāl kar use Shāh-e-Bābal ke pās ghasīṭ le gae. Wahāṅ use qaid meṅ ḍālā gayā tāki āindā Isrāīl ke pahāṛoṅ par us kī garajtī āwāz sunāī na de. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:10 | Terī māṅ pānī ke kināre lagāī gaī angūr kī-sī bel thī. Bel kasrat ke pānī ke bāis phaldār aur shāḳhdār thī. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:11 | Us kī shāḳheṅ itnī mazbūt thīṅ ki un se shāhī asā ban sakte the. Wuh bāqī paudoṅ se kahīṅ zyādā ūṅchī thī balki us kī shāḳheṅ dūr dūr tak nazar ātī thīṅ. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:12 | Lekin āḳhirkār logoṅ ne taish meṅ ā kar use ukhāṛ kar phaiṅk diyā. Mashriqī lū ne us kā phal murjhāne diyā. Sab kuchh utārā gayā, lihāzā wuh sūkh gayā aur us kā mazbūt tanā nazar-e-ātish huā. | |
Ezek | UrduGeoR | 19:13 | Ab bel ko registān meṅ lagāyā gayā hai, wahāṅ jahāṅ ḳhushk aur pyāsī zamīn hotī hai. | |