Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
EZEKIEL
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 37
Ezek UrduGeoR 37:1  Ek din Rab kā hāth mujh par ā ṭhahrā. Rab ne mujhe apne Rūh se bāhar le jā kar ek khulī wādī ke bīch meṅ khaṛā kiyā. Wādī haḍḍiyoṅ se bharī thī.
Ezek UrduGeoR 37:2  Us ne mujhe un meṅ se guzarne diyā to maiṅ ne dekhā ki wādī kī zamīn par beshumār haḍḍiyāṅ bikhrī paṛī haiṅ. Yih haḍḍiyāṅ sarāsar sūkhī huī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 37:3  Rab ne mujh se pūchhā, “Ai ādamzād, kyā yih haḍḍiyāṅ dubārā zindā ho saktī haiṅ?” Maiṅ ne jawāb diyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū hī jāntā hai.”
Ezek UrduGeoR 37:4  Tab us ne farmāyā, “Nabuwwat karke haḍḍiyoṅ ko batā, ‘Ai sūkhī huī haḍḍiyo, Rab kā kalām suno!
Ezek UrduGeoR 37:5  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tum meṅ dam ḍālūṅgā to tum dubārā zindā ho jāogī.
Ezek UrduGeoR 37:6  Maiṅ tum par naseṅ aur gosht chaṛhā kar sab kuchh jild se ḍhāṅp dūṅgā. Maiṅ tum meṅ dam ḍāl dūṅgā, aur tum zindā ho jāogī. Tab tum jān logī ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Ezek UrduGeoR 37:7  Maiṅ ne aisā hī kiyā. Aur jyoṅ hī maiṅ nabuwwat karne lagā to shor mach gayā. Haḍḍiyāṅ khaṛkhaṛāte hue ek dūsrī ke sāth juṛ gaīṅ, aur hote hote pūre ḍhāṅche ban gae.
Ezek UrduGeoR 37:8  Mere deḳhte deḳhte naseṅ aur gosht ḍhāṅchoṅ par chaṛh gayā aur sab kuchh jild se ḍhāṅpā gayā. Lekin ab tak jismoṅ meṅ dam nahīṅ thā.
Ezek UrduGeoR 37:9  Phir Rab ne farmāyā, “Ai ādamzād, nabuwwat karke dam se muḳhātib ho jā, ‘Ai dam, Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki chāroṅ taraf se ā kar maqtūloṅ par phūṅk mār tāki dubārā zindā ho jāeṅ.’”
Ezek UrduGeoR 37:10  Maiṅ ne aisā hī kiyā to maqtūloṅ meṅ dam ā gayā, aur wuh zindā ho kar apne pāṅwoṅ par khaṛe ho gae. Ek nihāyat baṛī fauj wujūd meṅ ā gaī thī!
Ezek UrduGeoR 37:11  Tab Rab ne farmāyā, “Ai ādamzād, yih haḍḍiyāṅ Isrāīlī qaum ke tamām afrād haiṅ. Wuh kahte haiṅ, ‘Hamārī haḍḍiyāṅ sūkh gaī haiṅ, hamārī ummīd jātī rahī hai. Ham ḳhatm hī ho gae haiṅ!’
Ezek UrduGeoR 37:12  Chunāṅche nabuwwat karke unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai merī qaum, maiṅ tumhārī qabroṅ ko khol dūṅgā aur tumheṅ un meṅ se nikāl kar Mulk-e-Isrāīl meṅ wāpas lāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 37:13  Ai merī qaum, jab maiṅ tumhārī qabroṅ ko khol dūṅgā aur tumheṅ un meṅ se nikāl lāūṅgā tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 37:14  Maiṅ apnā Rūh tum meṅ ḍāl dūṅgā to tum zindā ho jāoge. Phir maiṅ tumheṅ tumhāre apne mulk meṅ basā dūṅgā. Tab tum jān loge ki yih merā, Rab kā farmān hai aur maiṅ yih karūṅga bhī.’”
Ezek UrduGeoR 37:16  “Ai ādamzād, lakaṛī kā ṭukṛā le kar us par likh de, ‘Junūbī qabīlā Yahūdāh aur jitne Isrāīlī qabīle us ke sāth muttahid haiṅ.’ Phir lakaṛī kā ek aur ṭukṛā le kar us par likh de, ‘Shimālī qabīlā Yūsuf yānī Ifrāīm aur jitne Isrāīlī qabīle us ke sāth muttahid haiṅ.’
Ezek UrduGeoR 37:17  Ab lakaṛī ke donoṅ ṭukṛe ek dūsre ke sāth yoṅ joṛ de ki tere hāth meṅ ek ho jāeṅ.
Ezek UrduGeoR 37:18  Tere hamwatan tujh se pūchheṅge, ‘Kyā āp hameṅ is kā matlab nahīṅ batāeṅge?’
Ezek UrduGeoR 37:19  Tab unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Yūsuf yānī lakaṛī ke mālik Ifrāīm aur us ke sāth muttahid Isrāīlī qabīloṅ ko le kar Yahūdāh kī lakaṛī ke sāth joṛ dūṅgā. Mere hāth meṅ wuh lakaṛī kā ek hī ṭukṛā ban jāeṅge.’
Ezek UrduGeoR 37:20  Apne hamwatanoṅ kī maujūdagī meṅ lakaṛī ke mazkūrā ṭukṛe hāth meṅ thāme rakh
Ezek UrduGeoR 37:21  aur sāth sāth unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Isrāīliyoṅ ko un qaumoṅ meṅ se nikāl lāūṅgā jahāṅ wuh jā base haiṅ. Maiṅ unheṅ jamā karke un ke apne mulk meṅ wāpas lāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 37:22  Wahīṅ Isrāīl ke pahāṛoṅ par maiṅ unheṅ muttahid karke ek hī qaum banā dūṅgā. Un par ek hī bādshāh hukūmat karegā. Āindā wuh na kabhī do qaumoṅ meṅ taqsīm ho jāeṅge, na do saltanatoṅ meṅ.
Ezek UrduGeoR 37:23  Āindā wuh apne āp ko na apne butoṅ yā bāqī makrūh chīzoṅ se nāpāk kareṅge, na un gunāhoṅ se jo ab tak karte āe haiṅ. Maiṅ unheṅ un tamām maqāmoṅ se nikāl kar chhuṛāūṅgā jin meṅ unhoṅ ne gunāh kiyā hai. Maiṅ unheṅ pāk-sāf karūṅga. Yoṅ wuh merī qaum hoṅge aur maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā.
Ezek UrduGeoR 37:24  Merā ḳhādim Dāūd un kā bādshāh hogā, un kā ek hī gallābān hogā. Tab wuh merī hidāyāt ke mutābiq zindagī guzāreṅge aur dhyān se mere ahkām par amal kareṅge.
Ezek UrduGeoR 37:25  Jo mulk maiṅ ne apne ḳhādim Yāqūb ko diyā thā aur jis meṅ tumhāre bāpdādā rahte the us meṅ Isrāīlī dubārā baseṅge. Hāṅ, wuh aur un kī aulād hameshā tak us meṅ ābād raheṅge, aur merā ḳhādim Dāūd abad tak un par hukūmat karegā.
Ezek UrduGeoR 37:26  Tab maiṅ un ke sāth salāmatī kā ahd bāndhūṅgā, ek aisā ahd jo hameshā tak qāym rahegā. Maiṅ unheṅ qāym karke un kī tādād baṛhātā jāūṅgā, aur merā maqdis abad tak un ke darmiyān rahegā.
Ezek UrduGeoR 37:27  Wuh merī sukūnatgāh ke sāy meṅ baseṅge. Maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā, aur wuh merī qaum hoṅge.
Ezek UrduGeoR 37:28  Jab merā maqdis abad tak un ke darmiyān hogā to dīgar aqwām jān leṅgī ki maiṅ hī Rab hūṅ, ki Isrāīl ko muqaddas karne wālā maiṅ hī hūṅ.’”