Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
EZEKIEL
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 11
Ezek UrduGeoR 11:1  Tab Rūh mujhe uṭhā kar Rab ke ghar ke mashriqī darwāze ke pās le gayā. Wahāṅ darwāze par 25 mard khaṛe the. Maiṅ ne dekhā ki qaum ke do buzurg Yāzaniyāh bin Azzūr aur Falatiyāh bin Bināyāh bhī un meṅ shāmil haiṅ.
Ezek UrduGeoR 11:2  Rab ne farmāyā, “Ai ādamzād, yih wuhī mard haiṅ jo sharīr mansūbe bāndh rahe aur Yarūshalam meṅ bure mashware de rahe haiṅ.
Ezek UrduGeoR 11:3  Yih kahte haiṅ, ‘Āne wāle dinoṅ meṅ ghar tāmīr karne kī zarūrat nahīṅ. Hamārā shahr to deg hai jabki ham us meṅ pakne wālā behtarīn gosht haiṅ.’
Ezek UrduGeoR 11:4  Ādamzād, chūṅki wuh aisī bāteṅ karte haiṅ is lie nabuwwat kar! Un ke ḳhilāf nabuwwat kar!”
Ezek UrduGeoR 11:5  Tab Rab kā Rūh mujh par ā ṭhahrā, aur us ne mujhe yih pesh karne ko kahā, “Rab farmātā hai, ‘Ai Isrāīlī qaum, tum is qism kī bāteṅ karte ho. Maiṅ to un ḳhayālāt se ḳhūb wāqif hūṅ jo tumhāre diloṅ se ubharte rahte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 11:6  Tum ne is shahr meṅ muta'addid logoṅ ko qatl karke us kī galiyoṅ ko lāshoṅ se bhar diyā hai.’
Ezek UrduGeoR 11:7  Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Beshak shahr deg hai, lekin tum us meṅ pakne wālā achchhā gosht nahīṅ hoge balki wuhī jin ko tum ne us ke darmiyān qatl kiyā hai. Tumheṅ maiṅ is shahr se nikāl dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 11:8  Jis talwār se tum ḍarte ho, usī ko maiṅ tum par nāzil karūṅga.’ Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 11:9  ‘Maiṅ tumheṅ shahr se nikālūṅgā aur pardesiyoṅ ke hawāle karke tumhārī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 11:10  Tum talwār kī zad meṅ ā kar mar jāoge. Isrāīl kī hudūd par hī maiṅ tumhārī adālat karūṅga. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 11:11  Chunāṅche na Yarūshalam Shahr tumhāre lie deg hogā, na tum us meṅ behtarīn gosht hoge balki maiṅ Isrāīl kī hudūd hī par tumhārī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 11:12  Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ, jis ke ahkām ke mutābiq tum ne zindagī nahīṅ guzārī. Kyoṅki tum ne mere usūloṅ kī pairawī nahīṅ kī balki apnī paṛosī qaumoṅ ke usūloṅ kī.’”
Ezek UrduGeoR 11:13  Maiṅ abhī is peshgoī kā elān kar rahā thā ki Falatiyāh bin Bināyāh faut huā. Yih dekh kar maiṅ muṅh ke bal gir gayā aur buland āwāz se chīḳh uṭhā, “Hāy, hāy! Ai Rab Qādir-e-mutlaq, kyā tū Isrāīl ke bache-khuche hisse ko sarāsar miṭānā chāhtā hai?”
Ezek UrduGeoR 11:15  “Ai ādamzād, Yarūshalam ke bāshinde tere bhāiyoṅ, tere rishtedāroṅ aur Bābal meṅ jilāwatan hue tamām Isrāīliyoṅ ke bāre meṅ kah rahe haiṅ, ‘Yih log Rab se kahīṅ dūr ho gae haiṅ, ab Isrāīl hamāre hī qabze meṅ hai.’
Ezek UrduGeoR 11:16  Jo is qism kī bāteṅ karte haiṅ unheṅ jawāb de, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jī hāṅ, maiṅ ne unheṅ dūr dūr bhagā diyā, aur ab wuh dīgar qaumoṅ ke darmiyān hī rahte haiṅ. Maiṅ ne ḳhud unheṅ muḳhtalif mamālik meṅ muntashir kar diyā, aise ilāqoṅ meṅ jahāṅ unheṅ maqdis meṅ mere huzūr āne kā mauqā thoṛā hī miltā hai.
Ezek UrduGeoR 11:17  Lekin Rab Qādir-e-mutlaq yih bhī farmātā hai, maiṅ tumheṅ dīgar qaumoṅ meṅ se nikāl lūṅgā, tumheṅ un mulkoṅ se jamā karūṅga jahāṅ maiṅ ne tumheṅ muntashir kar diyā thā. Tab maiṅ tumheṅ Mulk-e-Isrāīl dubārā atā karūṅga.
Ezek UrduGeoR 11:18  Phir wuh yahāṅ ā kar tamām makrūh but aur ghinaunī chīzeṅ dūr kareṅge.
Ezek UrduGeoR 11:19  Us waqt maiṅ unheṅ nayā dil baḳhsh kar un meṅ naī rūh ḍālūṅgā. Maiṅ un kā sangīn dil nikāl kar unheṅ gosht-post kā narm dil atā karūṅga.
Ezek UrduGeoR 11:20  Tab wuh mere ahkām ke mutābiq zindagī guzāreṅge aur dhyān se merī hidāyāt par amal kareṅge. Wuh merī qaum hoṅge, aur maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā.
Ezek UrduGeoR 11:21  Lekin jin logoṅ ke dil un ke ghinaune butoṅ se lipṭe rahte haiṅ un ke sar par maiṅ un ke ġhalat kām kā munāsib ajr lāūṅgā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’”
Ezek UrduGeoR 11:22  Phir karūbī farishtoṅ ne apne paroṅ ko phailāyā, un ke pahie harkat meṅ ā gae aur Ḳhudā-e-Isrāīl kā jalāl jo un ke ūpar thā
Ezek UrduGeoR 11:23  uṭh kar shahr se nikal gayā. Chalte chalte wuh Yarūshalam ke mashriq meṅ wāqe pahāṛ par ṭhahar gayā.
Ezek UrduGeoR 11:24  Allāh ke Rūh kī atākardā is royā meṅ Rūh mujhe uṭhā kar Mulk-e-Bābal ke jilāwatanoṅ ke pās wāpas le gayā. Phir royā ḳhatm huī,
Ezek UrduGeoR 11:25  aur maiṅ ne jilāwatanoṅ ko sab kuchh sunāyā jo Rab ne mujhe dikhāyā thā.