Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ISAIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 56
Isai UrduGeoR 56:1  Rab farmātā hai, “Insāf ko qāym rakho aur wuh kuchh kiyā karo jo rāst hai, kyoṅki merī najāt qarīb hī hai, aur merī rāstī zāhir hone ko hai.
Isai UrduGeoR 56:2  Mubārak hai wuh jo yoṅ rāstī se lipṭā rahe. Mubārak hai wuh jo Sabat ke din kī behurmatī na kare balki use manāe, jo har bure kām se gurez kare.”
Isai UrduGeoR 56:3  Jo pardesī Rab kā pairokār ho gayā hai wuh na kahe ki beshak Rab mujhe apnī qaum se alag kar rakhegā. Ḳhwājāsarā bhī na soche ki hāy, maiṅ sūkhā huā daraḳht hī hūṅ!
Isai UrduGeoR 56:4  Kyoṅki Rab farmātā hai, “Jo ḳhwājāsarā mere Sabat ke din manāeṅ, aise qadam uṭhāeṅ jo mujhe pasand hoṅ aur mere ahd ke sāth lipṭe raheṅ wuh befikr raheṅ.
Isai UrduGeoR 56:5  Kyoṅki maiṅ unheṅ apne ghar aur us kī chārdīwārī meṅ aisī yādgār aur aisā nām atā karūṅga jo beṭe-beṭiyāṅ milne se kahīṅ behtar hogā. Aur jo nām maiṅ unheṅ dūṅgā wuh abadī hogā, wuh kabhī nahīṅ miṭne kā.
Isai UrduGeoR 56:6  Wuh pardesī bhī befikr raheṅ jo Rab ke pairokār ban kar us kī ḳhidmat karnā chāhte, jo Rab kā nām azīz rakh kar us kī ibādat karte, jo Sabat ke din kī behurmatī nahīṅ karte balki use manāte aur jo mere ahd ke sāth lipṭe rahte haiṅ.
Isai UrduGeoR 56:7  Kyoṅki maiṅ unheṅ apne muqaddas pahāṛ ke pās lā kar apne duā ke ghar meṅ ḳhushī dilāūṅgā. Jab wuh merī qurbāngāh par apnī bhasm hone wālī aur zabah kī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅge to wuh mujhe pasand āeṅgī. Kyoṅki merā ghar tamām qaumoṅ ke lie duā kā ghar kahlāegā.”
Isai UrduGeoR 56:8  Rab Qādir-e-mutlaq jo Isrāīl kī bikhrī huī qaum jamā kar rahā hai farmātā hai, “Un meṅ jo ikaṭṭhe ho chuke haiṅ maiṅ aur bhī jamā kar dūṅgā.”
Isai UrduGeoR 56:9  Ai maidān ke tamām haiwāno, āo! Ai jangal ke tamām jānwaro, ā kar khāo!
Isai UrduGeoR 56:10  Isrāīl ke pahredār andhe haiṅ, sab ke sab kuchh bhī nahīṅ jānte. Sab ke sab bahre kutte haiṅ jo bhaunk hī nahīṅ sakte. Farsh par leṭe hue wuh achchhe achchhe ḳhāb deḳhte rahte haiṅ. Ūṅghnā unheṅ kitnā pasand hai!
Isai UrduGeoR 56:11  Lekin yih kutte lālchī bhī haiṅ aur kabhī ser nahīṅ hote, hālāṅki gallābān kahlāte haiṅ. Wuh samajh se ḳhālī haiṅ, aur har ek apnī apnī rāh par dhyān de kar apne hī nafā kī talāsh meṅ rahtā hai.
Isai UrduGeoR 56:12  Har ek āwāz detā hai, “Āo, maiṅ mai le ātā hūṅ! Āo, ham jī bhar kar sharāb pī leṅ. Aur kal bhī āj kī tarah ho balki is se bhī zyādā raunaq ho!”