Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
MARK
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 16
Mark UrduGeoR 16:1  Hafte kī shām ko jab Sabat kā din guzar gayā to Mariyam Magdalīnī, Yāqūb kī māṅ Mariyam aur Salomī ne ḳhushbūdār masāle ḳharīd lie, kyoṅki wuh qabr ke pās jā kar unheṅ Īsā kī lāsh par lagānā chāhtī thīṅ.
Mark UrduGeoR 16:2  Chunāṅche wuh Itwār ko subah-sawere hī qabr par gaīṅ. Sūraj tulū ho rahā thā.
Mark UrduGeoR 16:3  Rāste meṅ wuh ek dūsre se pūchhne lagīṅ, “Kaun hamāre lie qabr ke muṅh se patthar ko luṛhkāegā?”
Mark UrduGeoR 16:4  Lekin jab wahāṅ pahuṅchīṅ aur nazar uṭhā kar qabr par ġhaur kiyā to dekhā ki patthar ko ek taraf luṛhkāyā jā chukā hai. Yih patthar bahut baṛā thā.
Mark UrduGeoR 16:5  Wuh qabr meṅ dāḳhil huīṅ. Wahāṅ ek jawān ādmī nazar āyā jo safed libās pahne hue dāīṅ taraf baiṭhā thā. Wuh ghabrā gaīṅ.
Mark UrduGeoR 16:6  Us ne kahā, “Mat ghabrāo. Tum Īsā Nāsarī ko ḍhūnḍ rahī ho jo maslūb huā thā. Wuh jī uṭhā hai, wuh yahāṅ nahīṅ hai. Us jagah ko ḳhud dekh lo jahāṅ use rakhā gayā thā.
Mark UrduGeoR 16:7  Ab jāo, us ke shāgirdoṅ aur Patras ko batā do ki wuh tumhāre āge āge Galīl pahuṅch jāegā. Wahīṅ tum use dekhoge, jis tarah us ne tum ko batāyā thā.”
Mark UrduGeoR 16:8  Ḳhawātīn laraztī aur uljhī huī hālat meṅ qabr se nikal kar bhāg gaīṅ. Unhoṅ ne kisī ko bhī kuchh na batāyā, kyoṅki wuh nihāyat sahmī huī thīṅ.
Mark UrduGeoR 16:9  Jab Īsā Itwār ko subah-sawere jī uṭhā to pahlā shaḳhs jis par wuh zāhir huā Mariyam Magdalīnī thī jis se us ne sāt badrūheṅ nikālī thīṅ.
Mark UrduGeoR 16:10  Mariyam Īsā ke sāthiyoṅ ke pās gaī jo mātam kar rahe aur ro rahe the. Us ne unheṅ jo kuchh huā thā batāyā.
Mark UrduGeoR 16:11  Lekin go unhoṅ ne sunā ki Īsā zindā hai aur ki Mariyam ne use dekhā hai to bhī unheṅ yaqīn na āyā.
Mark UrduGeoR 16:12  Is ke bād Īsā dūsrī sūrat meṅ un meṅ se do par zāhir huā jab wuh Yarūshalam se dehāt kī taraf paidal chal rahe the.
Mark UrduGeoR 16:13  Donoṅ ne wāpas jā kar yih bāt bāqī logoṅ ko batāī. Lekin unheṅ in kā bhī yaqīn na āyā.
Mark UrduGeoR 16:14  Āḳhir meṅ Īsā gyārah shāgirdoṅ par bhī zāhir huā. Us waqt wuh mez par baiṭhe khānā khā rahe the. Us ne unheṅ un kī be'etiqādī aur saḳhtdilī ke sabab se ḍānṭā, ki unhoṅ ne un kā yaqīn na kiyā jinhoṅ ne use zindā dekhā thā.
Mark UrduGeoR 16:15  Phir us ne un se kahā, “Pūrī duniyā meṅ jā kar tamām maḳhlūqāt ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāo.
Mark UrduGeoR 16:16  Jo bhī īmān lā kar baptismā le use najāt milegī. Lekin jo īmān na lāe use mujrim qarār diyā jāegā.
Mark UrduGeoR 16:17  Aur jahāṅ jahāṅ log īmān rakheṅge wahāṅ yih ilāhī nishān zāhir hoṅge: Wuh mere nām se badrūheṅ nikāl deṅge, naī naī zabāneṅ boleṅge
Mark UrduGeoR 16:18  aur sāṅpoṅ ko uṭhā kar mahfūz raheṅge. Mohlak zahr pīne se unheṅ nuqsān nahīṅ pahuṅchegā aur jab wuh apne hāth marīzoṅ par rakheṅge to shifā pāeṅge.”
Mark UrduGeoR 16:19  Un se bāt karne ke bād Ḳhudāwand Īsā ko āsmān par uṭhā liyā gayā aur wuh Allāh ke dahne hāth baiṭh gayā.
Mark UrduGeoR 16:20  Is par shāgirdoṅ ne nikal kar har jagah munādī kī. Aur Ḳhudāwand ne un kī himāyat karke ilāhī nishānoṅ se kalām kī tasdīq kī.