Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
I SAMUEL
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 28
I Sa UrduGeoR 28:1  Un dinoṅ meṅ Filistī Isrāīl se laṛne ke lie apnī faujeṅ jamā karne lage. Akīs ne Dāūd se bhī bāt kī, “Tawaqqo hai ki āp apne faujiyoṅ samet mere sāth mil kar jang ke lie nikleṅge.”
I Sa UrduGeoR 28:2  Dāūd ne jawāb diyā, “Zarūr. Ab āp ḳhud dekheṅge ki āp kā ḳhādim kyā karne ke qābil hai!” Akīs bolā, “Ṭhīk hai. Pūrī jang ke daurān āp mere muhāfiz hoṅge.”
I Sa UrduGeoR 28:3  Us waqt Samuel intaqāl kar chukā thā, aur pūre Isrāīl ne us kā mātam karke use us ke ābāī shahr Rāmā meṅ dafnāyā thā. Un dinoṅ meṅ Isrāīl meṅ murdoṅ se rābitā karne wāle aur ġhaibdān nahīṅ the, kyoṅki Sāūl ne unheṅ pūre mulk se nikāl diyā thā.
I Sa UrduGeoR 28:4  Ab Filistiyoṅ ne apnī lashkargāh Shūnīm ke pās lagāī jabki Sāūl ne tamām Isrāīliyoṅ ko jamā karke Jilbua ke pās apnā kaimp lagāyā.
I Sa UrduGeoR 28:5  Filistiyoṅ kī baṛī fauj dekh kar wuh saḳht dahshat khāne lagā.
I Sa UrduGeoR 28:6  Us ne Rab se hidāyat hāsil karne kī koshish kī, lekin koī jawāb na milā, na ḳhāb, na muqaddas qurā ḍālne se aur na nabiyoṅ kī mārifat.
I Sa UrduGeoR 28:7  Tab Sāūl ne apne mulāzimoṅ ko hukm diyā, “Mere lie murdoṅ se rābitā karne wālī ḍhūnḍo tāki maiṅ jā kar us se mālūmāt hāsil kar lūṅ.” Mulāzimoṅ ne jawāb diyā, “Ain-dor meṅ aisī aurat hai.”
I Sa UrduGeoR 28:8  Sāūl bhes badal kar do ādmiyoṅ ke sāth Ain-dor ke lie rawānā huā. Rāt ke waqt wuh jādūgarnī ke pās pahuṅch gayā aur bolā, “Murdoṅ se rābitā karke us rūh ko Pātāl se bulā deṅ jis kā nām maiṅ āp ko batātā hūṅ.”
I Sa UrduGeoR 28:9  Jādūgarnī ne etarāz kiyā, “Kyā āp mujhe marwānā chāhte haiṅ? Āp ko patā hai ki Sāūl ne tamām ġhaibdānoṅ aur murdoṅ se rābitā karne wāloṅ ko mulk meṅ se miṭā diyā hai. Āp mujhe kyoṅ phaṅsānā chāhte haiṅ?”
I Sa UrduGeoR 28:10  Tab Sāūl ne kahā, “Rab kī hayāt kī qasam, āp ko yih karne ke lie sazā nahīṅ milegī.”
I Sa UrduGeoR 28:11  Aurat ne pūchhā, “Maiṅ kis ko bulāūṅ?” Sāūl ne jawāb diyā, “Samuel ko bulā deṅ.”
I Sa UrduGeoR 28:12  Jab Samuel aurat ko nazar āyā to wuh chīḳh uṭhī, “Āp ne mujhe kyoṅ dhokā diyā? Āp to Sāūl haiṅ!”
I Sa UrduGeoR 28:13  Sāūl ne use tasallī de kar kahā, “Ḍareṅ mat. Batāeṅ to sahī, kyā dekh rahī haiṅ?” Aurat ne jawāb diyā, “Mujhe ek rūh nazar ā rahī hai jo chaṛhtī chaṛhtī zamīn meṅ se nikal kar ā rahī hai.”
I Sa UrduGeoR 28:14  Sāūl ne pūchhā, “Us kī shakl-o-sūrat kaisī hai?” Jādūgarnī ne kahā, “Choġhe meṅ lipṭā huā būṛhā ādmī hai.” Yih sun kar Sāūl ne jān liyā ki Samuel hī hai. Wuh muṅh ke bal zamīn par jhuk gayā.
I Sa UrduGeoR 28:15  Samuel bolā, “Tū ne mujhe Pātāl se bulwā kar kyoṅ muztarib kar diyā hai?” Sāūl ne jawāb diyā, “Maiṅ baṛī musībat meṅ hūṅ. Filistī mujh se laṛ rahe haiṅ, aur Allāh ne mujhe tark kar diyā hai. Na wuh nabiyoṅ kī mārifat mujhe hidāyat detā hai, na ḳhāb ke zariye. Is lie maiṅ ne āp ko bulwāyā hai tāki āp mujhe batāeṅ ki maiṅ kyā karūṅ.”
I Sa UrduGeoR 28:16  Lekin Samuel ne kahā, “Rab ḳhud hī tujhe chhoṛ kar terā dushman ban gayā hai to phir mujh se dariyāft karne kā kyā fāydā hai?
I Sa UrduGeoR 28:17  Rab is waqt tere sāth wuh kuchh kar rahā hai jis kī peshgoī us ne merī mārifat kī thī. Us ne tere hāth se bādshāhī chhīn kar kisī aur yānī Dāūd ko de dī hai.
I Sa UrduGeoR 28:18  Jab Rab ne tujhe Amālīqiyoṅ par us kā saḳht ġhazab nāzil karne kā hukm diyā thā to tū ne us kī na sunī. Ab tujhe is kī sazā bhugatnī paṛegī.
I Sa UrduGeoR 28:19  Rab tujhe Isrāīl samet Filistiyoṅ ke hawāle kar degā. Kal hī tū aur tere beṭe yahāṅ mere pās pahuṅcheṅge. Rab terī pūrī fauj bhī Filistiyoṅ ke qabze meṅ kar degā.”
I Sa UrduGeoR 28:20  Yih sun kar Sāūl saḳht ghabrā gayā, aur wuh gir kar zamīn par darāz ho gayā. Jism kī pūrī tāqat ḳhatm ho gaī thī, kyoṅki us ne pichhle pūre din aur rāt rozā rakhā thā.
I Sa UrduGeoR 28:21  Jab jādūgarnī ne Sāūl ke pās jā kar dekhā ki us ke roṅgṭe khaṛe ho gae haiṅ to us ne kahā, “Janāb, maiṅ ne āp kā hukm mān kar apnī jān ḳhatre meṅ ḍāl dī.
I Sa UrduGeoR 28:22  Ab zarā merī bhī suneṅ. Mujhe ijāzat deṅ ki maiṅ āp ko kuchh khānā khilāūṅ tāki āp taqwiyat pā kar wāpas jā sakeṅ.”
I Sa UrduGeoR 28:23  Lekin Sāūl ne inkār kiyā, “Maiṅ kuchh nahīṅ khāūṅgā.” Tab us ke ādmiyoṅ ne aurat ke sāth mil kar use bahut samjhāyā, aur āḳhirkār us ne un kī sunī. Wuh zamīn se uṭh kar chārpāī par baiṭh gayā.
I Sa UrduGeoR 28:24  Jādūgarnī ke pās moṭā-tāzā bachhṛā thā. Use us ne jaldī se zabah karwā kar taiyār kiyā. Us ne kuchh āṭā bhī le kar gūṅdhā aur us se beḳhamīrī roṭī banāī.
I Sa UrduGeoR 28:25  Phir us ne khānā Sāūl aur us ke mulāzimoṅ ke sāmne rakh diyā, aur unhoṅ ne khāyā. Phir wuh usī rāt dubārā rawānā ho gae.