Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ISAIAH
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 25
Isai UrduGeoR 25:1  Ai Rab, tū merā Ḳhudā hai, maiṅ terī tāzīm aur tere nām kī tārīf karūṅga. Kyoṅki tū ne baṛī wafādārī se anokhā kām karke qadīm zamāne meṅ bandhe hue mansūboṅ ko pūrā kiyā hai.
Isai UrduGeoR 25:2  Tū ne shahr ko malbe kā ḍher banā kar hamloṅ se mahfūz ābādī ko khanḍarāt meṅ tabdīl kar diyā. Ġhairmulkiyoṅ kā qilāband mahal yoṅ ḳhāk meṅ milāyā gayā ki āindā kabhī shahr nahīṅ kahlāegā, kabhī az sar-e-nau tāmīr nahīṅ hogā.
Isai UrduGeoR 25:3  Yih dekh kar ek zorāwar qaum terī tāzīm karegī, zabardast aqwām ke shahr terā ḳhauf māneṅge.
Isai UrduGeoR 25:4  Kyoṅki tū pasthāloṅ ke lie qilā aur musībatzadā ġharīboṅ ke lie panāhgāh sābit huā hai. Terī āṛ meṅ insān tūfān aur garmī kī shiddat se mahfūz rahtā hai. Go zabardastoṅ kī phūṅkeṅ bārish kī bauchhāṛ
Isai UrduGeoR 25:5  yā registān meṅ tapish jaisī kyoṅ na hoṅ, tāham tū ġhairmulkiyoṅ kī garaj ko rok detā hai. Jis tarah bādal ke sāy se jhulastī garmī jātī rahtī hai, usī tarah zabardastoṅ kī sheḳhī ko tū band kar detā hai.
Isai UrduGeoR 25:6  Yihīṅ Koh-e-Siyyūn par Rabbul-afwāj tamām aqwām kī zabardast ziyāfat karegā. Behtarīn qism kī qadīm aur sāf-shaffāf mai pī jāegī, umdā aur lazīztarīn khānā khāyā jāegā.
Isai UrduGeoR 25:7  Isī pahāṛ par wuh tamām ummatoṅ par kā niqāb utāregā aur tamām aqwām par kā pardā haṭā degā.
Isai UrduGeoR 25:8  Maut ilāhī fatah kā luqmā ho kar abad tak nest-o-nābūd rahegī. Tab Rab Qādir-e-mutlaq har chehre ke āṅsū poṅchh kar tamām duniyā meṅ se apnī qaum kī ruswāī dūr karegā. Rab hī ne yih sab kuchh farmāyā hai.
Isai UrduGeoR 25:9  Us din log kaheṅge, “Yihī hamārā Ḳhudā hai jis kī najāt ke intazār meṅ ham rahe. Yihī hai Rab jis se ham ummīd rakhte rahe. Āo, ham shādiyānā bajā kar us kī najāt kī ḳhushī manāeṅ.”
Isai UrduGeoR 25:10  Rab kā hāth is pahāṛ par ṭhahrā rahegā. Lekin Moāb ko wuh yoṅ raundegā jis tarah bhūsā gobar meṅ milāne ke lie raundā jātā hai.
Isai UrduGeoR 25:11  Aur go Moāb hāth phailā kar us meṅ tairne kī koshish kare to bhī Rab us kā ġhurūr gobar meṅ dabāe rakhegā, chāhe wuh kitnī mahārat se hāth-pāṅw mārne kī koshish kyoṅ na kare.
Isai UrduGeoR 25:12  Ai Moāb, wuh terī buland aur qilāband dīwāroṅ ko girāegā, unheṅ ḍhā kar ḳhāk meṅ milāegā.