Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
EPHESIANS
1 2 3 4 5 6
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 2
Ephe UrduGeoR 2:1  Āp bhī apnī ḳhatāoṅ aur gunāhoṅ kī wajah se ruhānī taur par murdā the.
Ephe UrduGeoR 2:2  Kyoṅki pahle āp in meṅ phaṅse hue is duniyā ke taur-tarīqoṅ ke mutābiq zindagī guzārte the. Āp hawā kī kuwwatoṅ ke sardār ke tābe the, us rūh ke jo is waqt un meṅ sargarm-e-amal hai jo Allāh ke nāfarmān haiṅ.
Ephe UrduGeoR 2:3  Pahle to ham bhī sab un meṅ zindagī guzārte the. Ham bhī apnī purānī fitrat kī shahwateṅ, marzī aur soch pūrī karne kī koshish karte rahe. Dūsroṅ kī tarah ham par bhī fitrī taur par Allāh kā ġhazab nāzil honā thā.
Ephe UrduGeoR 2:4  Lekin Allāh kā rahm itnā wasī hai aur wuh itnī shiddat se ham se muhabbat rakhtā hai
Ephe UrduGeoR 2:5  ki agarche ham apne gunāhoṅ meṅ murdā the to bhī us ne hameṅ Masīh ke sāth zindā kar diyā. Hāṅ, āp ko Allāh ke fazl hī se najāt milī hai.
Ephe UrduGeoR 2:6  Jab ham Masīh Īsā par īmān lāe to us ne hameṅ Masīh ke sāth zindā karke āsmān par biṭhā diyā.
Ephe UrduGeoR 2:7  Īsā Masīh meṅ ham par mehrbānī karne se Allāh āne wāle zamānoṅ meṅ apne fazl kī lā-mahdūd daulat dikhānā chāhtā thā.
Ephe UrduGeoR 2:8  Kyoṅki yih us kā fazl hī hai ki āp ko īmān lāne par najāt milī hai. Yih āp kī taraf se nahīṅ hai balki Allāh kī baḳhshish hai.
Ephe UrduGeoR 2:9  Aur yih najāt hameṅ apne kisī kām ke natīje meṅ nahīṅ milī, is lie koī apne āp par faḳhr nahīṅ kar saktā.
Ephe UrduGeoR 2:10  Hāṅ, ham usī kī maḳhlūq haiṅ jinheṅ us ne Masīh meṅ nek kām karne ke lie ḳhalaq kiyā hai. Aur yih kām us ne pahle se hamāre lie taiyār kar rakhe haiṅ, kyoṅki wuh chāhtā hai ki ham unheṅ saranjām dete hue zindagī guzāreṅ.
Ephe UrduGeoR 2:11  Yih bāt zahan meṅ rakheṅ ki māzī meṅ āp kyā the. Yahūdī sirf apne lie lafz maḳhtūn istemāl karte the agarche wuh apnā ḳhatnā sirf insānī hāthoṅ se karwāte haiṅ. Āp ko jo Ġhairyahūdī haiṅ wuh nāmaḳhtūn qarār dete the.
Ephe UrduGeoR 2:12  Us waqt āp Masīh ke baġhair hī chalte the. Āp Isrāīl qaum ke shahrī na ban sake aur jo wāde Allāh ne ahdoṅ ke zariye apnī qaum se kie the wuh āp ke lie nahīṅ the. Is duniyā meṅ āp kī koī ummīd nahīṅ thī, āp Allāh ke baġhair hī zindagī guzārte the.
Ephe UrduGeoR 2:13  Lekin ab āp Masīh meṅ haiṅ. Pahle āp dūr the, lekin ab āp ko Masīh ke ḳhūn ke wasīle se qarīb lāyā gayā hai.
Ephe UrduGeoR 2:14  Kyoṅki Masīh hamārī sulah hai aur usī ne Yahūdiyoṅ aur Ġhairyahūdiyoṅ ko milā kar ek qaum banā diyā hai. Apne jism ko qurbān karke us ne wuh dīwār girā dī jis ne unheṅ alag karke ek dūsre ke dushman banā rakhā thā.
Ephe UrduGeoR 2:15  Us ne sharīat ko us ke ahkām aur zawābit samet mansūḳh kar diyā tāki donoṅ gurohoṅ ko milā kar ek nayā insān ḳhalaq kare, aisā insān jo us meṅ ek ho aur sulah-salāmatī ke sāth zindagī guzāre.
Ephe UrduGeoR 2:16  Apnī salībī maut se us ne donoṅ gurohoṅ ko ek badan meṅ milā kar un kī Allāh ke sāth sulah karāī. Hāṅ, us ne apne āp meṅ yih dushmanī ḳhatm kar dī.
Ephe UrduGeoR 2:17  Us ne ā kar donoṅ gurohoṅ ko sulah-salāmatī kī ḳhushḳhabrī sunāī, āp Ġhairyahūdiyoṅ ko jo Allāh se dūr the aur āp Yahūdiyoṅ ko bhī jo us ke qarīb the.
Ephe UrduGeoR 2:18  Ab ham donoṅ Masīh ke zariye ek hī Rūh meṅ Bāp ke huzūr ā sakte haiṅ.
Ephe UrduGeoR 2:19  Natīje meṅ ab āp pardesī aur ajnabī nahīṅ rahe balki muqaddasīn ke hamwatan aur Allāh ke gharāne ke haiṅ.
Ephe UrduGeoR 2:20  Āp ko rasūloṅ aur nabiyoṅ kī buniyād par tāmīr kiyā gayā hai jis ke kone kā buniyādī patthar Masīh Īsā ḳhud hai.
Ephe UrduGeoR 2:21  Us meṅ pūrī imārat juṛ jātī aur baṛhtī baṛhtī Ḳhudāwand meṅ Allāh kā muqaddas ghar ban jātī hai.
Ephe UrduGeoR 2:22  Dūsroṅ ke sāth sāth us meṅ āp kī bhī tāmīr ho rahī hai tāki āp Rūh meṅ Allāh kī sukūnatgāh ban jāeṅ.