Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
EPHESIANS
1 2 3 4 5 6
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 3
Ephe UrduGeoR 3:1  Is wajah se maiṅ Paulus jo āp Ġhairyahūdiyoṅ kī ḳhātir Masīh Īsā kā qaidī hūṅ Allāh se duā kartā hūṅ.
Ephe UrduGeoR 3:2  Āp ne to sun liyā hai ki mujhe āp meṅ Allāh ke fazl kā intazām chalāne kī ḳhās zimmedārī dī gaī hai.
Ephe UrduGeoR 3:3  Jis tarah maiṅ ne pahle hī muḳhtasar taur par likhā hai, Allāh ne ḳhud mujh par yih rāz zāhir kar diyā.
Ephe UrduGeoR 3:4  Jab āp wuh paṛheṅge jo maiṅ ne likhā to āp jān leṅge ki mujhe Masīh ke rāz ke bāre meṅ kyā kyā samajh āī hai.
Ephe UrduGeoR 3:5  Guzare zamānoṅ meṅ Allāh ne yih bāt zāhir nahīṅ kī, lekin ab us ne ise Rūhul-quds ke zariye apne muqaddas rasūloṅ aur nabiyoṅ par zāhir kar diyā.
Ephe UrduGeoR 3:6  Aur Allāh kā rāz yih hai ki us kī ḳhushḳhabrī ke zariye Ġhairyahūdī Isrāīl ke sāth āsmānī bādshāhī ke wāris, ek hī badan ke āzā aur usī wāde meṅ sharīk haiṅ jo Allāh ne Masīh Īsā meṅ kiyā hai.
Ephe UrduGeoR 3:7  Maiṅ Allāh ke muft fazl aur us kī qudrat ke izhār se ḳhushḳhabrī kā ḳhādim ban gayā.
Ephe UrduGeoR 3:8  Agarche maiṅ Allāh ke tamām muqaddasīn se kamtar hūṅ to bhī us ne mujhe yih fazl baḳhshā ki maiṅ Ġhairyahūdiyoṅ ko us lā-mahdūd daulat kī ḳhushḳhabrī sunāūṅ jo Masīh meṅ dastyāb hai.
Ephe UrduGeoR 3:9  Yihī merī zimmedārī ban gaī ki maiṅ sab par us rāz kā intazām zāhir karūṅ jo guzare zamānoṅ meṅ sab chīzoṅ ke Ḳhāliq Ḳhudā meṅ poshīdā rahā.
Ephe UrduGeoR 3:10  Kyoṅki Allāh chāhtā thā ki ab Masīh kī jamāt hī āsmānī hukmrānoṅ aur kuwwatoṅ ko Allāh kī wasī hikmat ke bāre meṅ ilm pahuṅchāe.
Ephe UrduGeoR 3:11  Yihī us kā azlī mansūbā thā jo us ne hamāre Ḳhudāwand Masīh Īsā ke wasīle se takmīl tak pahuṅchāyā.
Ephe UrduGeoR 3:12  Us meṅ aur us par īmān rakh kar ham pūrī āzādī aur etamād ke sāth Allāh ke huzūr ā sakte haiṅ.
Ephe UrduGeoR 3:13  Is lie merī āp se guzārish hai ki āp merī musībateṅ dekh kar bedil na ho jāeṅ. Yih maiṅ āp kī ḳhātir bardāsht kar rahā hūṅ, aur yih āp kī izzat kā bāis haiṅ.
Ephe UrduGeoR 3:14  Is wajah se maiṅ Bāp ke huzūr apne ghuṭne ṭektā hūṅ,
Ephe UrduGeoR 3:15  us Bāp ke sāmne jis se āsmān-o-zamīn kā har ḳhāndān nāmzad hai.
Ephe UrduGeoR 3:16  Merī duā hai ki wuh apne jalāl kī daulat ke muwāfiq yih baḳhshe ki āp us ke Rūh ke wasīle se bātinī taur par zabardast taqwiyat pāeṅ,
Ephe UrduGeoR 3:17  ki Masīh īmān ke zariye āp ke diloṅ meṅ sukūnat kare. Hāṅ, merī duā hai ki āp muhabbat meṅ jaṛ pakaṛeṅ aur is buniyād par zindagī yoṅ guzāreṅ
Ephe UrduGeoR 3:18  ki āp bāqī tamām muqaddasīn ke sāth yih samajhne ke qābil ban jāeṅ ki Masīh kī muhabbat kitnī chauṛī, kitnī lambī, kitnī ūṅchī aur kitnī gahrī hai.
Ephe UrduGeoR 3:19  Ḳhudā kare ki āp Masīh kī yih muhabbat jān leṅ jo har ilm se kahīṅ afzal hai aur yoṅ Allāh kī pūrī māmūrī se bhar jāeṅ.
Ephe UrduGeoR 3:20  Allāh kī tamjīd ho jo apnī us qudrat ke muwāfiq jo ham meṅ kām kar rahī hai aisā zabardast kām kar saktā hai jo hamārī har soch aur duā se kahīṅ bāhar hai.
Ephe UrduGeoR 3:21  Hāṅ, Masīh Īsā aur us kī jamāt meṅ Allāh kī tamjīd pusht-dar-pusht aur azal se abad tak hotī rahe. Āmīn.