Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ACTS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 21
Acts UrduGeoR 21:1  Mushkil se Ifisus ke buzurgoṅ se alag ho kar ham rawānā hue aur sīdhe Jazīrā-e-Kos pahuṅch gae. Agle din ham rudus āe aur wahāṅ se Patarā pahuṅche.
Acts UrduGeoR 21:2  Patarā meṅ Fenīke ke lie jahāz mil gayā to ham us par sawār ho kar rawānā hue.
Acts UrduGeoR 21:3  Jab Qubrus dūr se nazar āyā to ham us ke junūb meṅ se guzar kar Shām ke shahr Sūr pahuṅch gae jahāṅ jahāz ko apnā sāmān utārnā thā.
Acts UrduGeoR 21:4  Jahāz se utar kar ham ne maqāmī shāgirdoṅ ko talāsh kiyā aur sāt din un ke sāth ṭhahre. Un īmāndāroṅ ne Rūhul-quds kī hidāyat se Paulus ko samjhāne kī koshish kī ki wuh Yarūshalam na jāe.
Acts UrduGeoR 21:5  Jab ham ek hafte ke bād jahāz par wāpas chale gae to pūrī jamāt bāl-bachchoṅ samet hamāre sāth shahr se nikal kar sāhil tak āī. Wahīṅ ham ne ghuṭne ṭek kar duā kī
Acts UrduGeoR 21:6  aur ek dūsre ko alwidā kahā. Phir ham dubārā jahāz par sawār hue jabki wuh apne gharoṅ ko lauṭ gae.
Acts UrduGeoR 21:7  Sūr se apnā safr jārī rakh kar ham Patulimayis pahuṅche jahāṅ ham ne maqāmī īmāndāroṅ ko salām kiyā aur ek din un ke sāth guzārā.
Acts UrduGeoR 21:8  Agle din ham rawānā ho kar Qaisariyā pahuṅch gae. Wahāṅ ham Filippus ke ghar ṭhahre. Yih wuhī Filippus thā jo Allāh kī ḳhushḳhabrī kā munād thā aur jise ibtidāī dinoṅ meṅ Yarūshalam meṅ khānā taqsīm karne ke lie chhih aur ādmiyoṅ ke sāth muqarrar kiyā gayā thā.
Acts UrduGeoR 21:9  Us kī chār ġhairshādīshudā beṭiyāṅ thīṅ jo nabuwwat kī nemat rakhtī thīṅ.
Acts UrduGeoR 21:10  Kaī din guzar gae to Yahūdiyā se ek nabī āyā jis kā nām Agabus thā.
Acts UrduGeoR 21:11  Jab wuh ham se milne āyā to us ne Paulus kī peṭī le kar apne pāṅwoṅ aur hāthoṅ ko bāndh liyā aur kahā, “Rūhul-quds farmātā hai ki Yarūshalam meṅ Yahūdī is peṭī ke mālik ko yoṅ bāndh kar Ġhairyahūdiyoṅ ke hawāle kareṅge.”
Acts UrduGeoR 21:12  Yih sun kar ham ne maqāmī īmāndāroṅ samet Paulus ko samjhāne kī ḳhūb koshish kī ki wuh Yarūshalam na jāe.
Acts UrduGeoR 21:13  Lekin us ne jawāb diyā, “Āp kyoṅ rote aur merā dil toṛte haiṅ? Dekheṅ, maiṅ Ḳhudāwand Īsā ke nām kī ḳhātir Yarūshalam meṅ na sirf bāndhe jāne balki us ke lie apnī jān tak dene ko taiyār hūṅ.”
Acts UrduGeoR 21:14  Ham use qāyl na kar sake, is lie ham yih kahte hue ḳhāmosh ho gae ki “Ḳhudāwand kī marzī pūrī ho.”
Acts UrduGeoR 21:15  Is ke bād ham taiyāriyāṅ karke Yarūshalam chale gae.
Acts UrduGeoR 21:16  Qaisariyā ke kuchh shāgird bhī hamāre sāth chale aur hameṅ Manāson ke ghar pahuṅchā diyā jahāṅ hameṅ ṭhaharnā thā. Manāson Qubrus kā thā aur jamāt ke ibtidāī dinoṅ meṅ īmān lāyā thā.
Acts UrduGeoR 21:17  Jab ham Yarūshalam pahuṅche to maqāmī bhāiyoṅ ne garmjoshī se hamārā istiqbāl kiyā.
Acts UrduGeoR 21:18  Agle din Paulus hamāre sāth Yāqūb se milne gayā. Tamām maqāmī buzurg bhī hāzir hue.
Acts UrduGeoR 21:19  Unheṅ salām karke Paulus ne tafsīl se bayān kiyā ki Allāh ne us kī ḳhidmat kī mārifat Ġhairyahūdiyoṅ meṅ kyā kiyā thā.
Acts UrduGeoR 21:20  Yih sun kar unhoṅ ne Allāh kī tamjīd kī. Phir unhoṅ ne kahā, “Bhāī, āp ko mālūm hai ki hazāroṅ Yahūdī īmān lāe haiṅ. Aur sab baṛī sargarmī se sharīat par amal karte haiṅ.
Acts UrduGeoR 21:21  Unheṅ āp ke bāre meṅ ḳhabar dī gaī hai ki āp Ġhairyahūdiyoṅ ke darmiyān rahne wāle Yahūdiyoṅ ko tālīm dete haiṅ ki wuh Mūsā kī sharīat ko chhoṛ kar na apne bachchoṅ kā ḳhatnā karwāeṅ aur na hamāre rasm-o-riwāj ke mutābiq zindagī guzāreṅ.
Acts UrduGeoR 21:22  Ab ham kyā kareṅ? Wuh to zarūr suneṅge ki āp yahāṅ ā gae haiṅ.
Acts UrduGeoR 21:23  Is lie ham chāhte haiṅ ki āp yih kareṅ: Hamāre pās chār mard haiṅ jinhoṅ ne mannat mān kar use pūrā kar liyā hai.
Acts UrduGeoR 21:24  Ab unheṅ sāth le kar un kī tahārat kī rusūmāt meṅ sharīk ho jāeṅ. Un ke aḳhrājāt bhī āp bardāsht kareṅ tāki wuh apne saroṅ ko munḍwā sakeṅ. Phir sab jān leṅge ki jo kuchh āp ke bāre meṅ kahā jātā hai wuh jhūṭ hai aur ki āp bhī sharīat ke mutābiq zindagī guzār rahe haiṅ.
Acts UrduGeoR 21:25  Jahāṅ tak Ġhairyahūdī īmāndāroṅ kī bāt hai ham unheṅ apnā faislā ḳhat ke zariye bhej chuke haiṅ ki wuh in chīzoṅ se parhez kareṅ: butoṅ ko pesh kiyā gayā khānā, ḳhūn, aise jānwaroṅ kā gosht jinheṅ galā ghūṅṭ kar mār diyā gayā ho aur zinākārī.”
Acts UrduGeoR 21:26  Chunāṅche agle din Paulus un ādmiyoṅ ko sāth le kar un kī tahārat kī rusūmāt meṅ sharīk huā. Phir wuh Baitul-muqaddas meṅ us din kā elān karne gayā jab tahārat ke din pūre ho jāeṅge aur un sab ke lie qurbānī pesh kī jāegī.
Acts UrduGeoR 21:27  Is rasm ke lie muqarrarā sāt din ḳhatm hone ko the ki sūbā Āsiyā ke kuchh Yahūdiyoṅ ne Paulus ko Baitul-muqaddas meṅ dekhā. Unhoṅ ne pūre hujūm meṅ halchal machā kar use pakaṛ liyā
Acts UrduGeoR 21:28  aur chīḳhne lage, “Isrāīl ke hazarāt, hamārī madad kareṅ! Yih wuhī ādmī hai jo har jagah tamām logoṅ ko hamārī qaum, hamārī sharīat aur is maqām ke ḳhilāf tālīm detā hai. Na sirf yih balki is ne Baitul-muqaddas meṅ Ġhairyahūdiyoṅ ko lā kar is muqaddas jagah kī behurmatī bhī kī hai.”
Acts UrduGeoR 21:29  (Yih āḳhirī bāt unhoṅ ne is lie kī kyoṅki unhoṅ ne shahr meṅ Ifisus ke Ġhairyahūdī Trufimus ko Paulus ke sāth dekhā aur ḳhayāl kiyā thā ki wuh use Baitul-muqaddas meṅ lāyā hai.)
Acts UrduGeoR 21:30  Pūre shahr meṅ hangāmā barpā huā aur log chāroṅ taraf se dauṛ kar āe. Paulus ko pakaṛ kar unhoṅ ne use Baitul-muqaddas se bāhar ghasīṭ liyā. Jyoṅ hī wuh nikal gae Baitul-muqaddas ke sahan ke darwāzoṅ ko band kar diyā gayā.
Acts UrduGeoR 21:31  Wuh use mār ḍālne kī koshish kar rahe the ki Romī palṭan ke kamānḍar ko ḳhabar mil gaī, “Pūre Yarūshalam meṅ halchal mach gaī hai.”
Acts UrduGeoR 21:32  Yih sunte hī us ne apne faujiyoṅ aur afsaroṅ ko ikaṭṭhā kiyā aur dauṛ kar un ke sāth hujūm ke pās utar gayā. Jab hujūm ne kamānḍar aur us ke faujiyoṅ ko dekhā to wuh Paulus kī piṭāī karne se ruk gayā.
Acts UrduGeoR 21:33  Kamānḍar ne nazdīk ā kar use giriftār kiyā aur do zanjīroṅ se bāndhne kā hukm diyā. Phir us ne pūchhā, “Yih kaun hai? Is ne kyā kiyā hai?”
Acts UrduGeoR 21:34  Hujūm meṅ se bāz kuchh chillāe aur bāz kuchh. Kamānḍar koī yaqīnī bāt mālūm na kar sakā, kyoṅki afrā-tafrī aur shor-sharābā bahut thā. Is lie us ne hukm diyā ki Paulus ko qile meṅ le jāyā jāe.
Acts UrduGeoR 21:35  Wuh qile kī sīṛhī tak pahuṅch to gae. Lekin phir hujūm itnā beqābū ho gayā ki faujiyoṅ ko use apne kandhoṅ par uṭhā kar chalnā paṛā.
Acts UrduGeoR 21:36  Log un ke pīchhe pīchhe chalte aur chīḳhte-chillāte rahe, “Use mār ḍālo! Use mār ḍālo!”
Acts UrduGeoR 21:37  Wuh Paulus ko qile meṅ le jā rahe the ki us ne kamānḍar se pūchhā, “Kyā āp se ek bāt karne kī ijāzat hai?” Kamānḍar ne kahā, “Achchhā, āp Yūnānī bol lete haiṅ?
Acts UrduGeoR 21:38  To kyā āp wuhī Misrī nahīṅ haiṅ jo kuchh der pahle hukūmat ke ḳhilāf uṭh kar chār hazār dahshatgardoṅ ko registān meṅ lāyā thā?”
Acts UrduGeoR 21:39  Paulus ne jawāb diyā, “Maiṅ Yahūdī aur Kilikiyā ke markazī shahr Tarsus kā shahrī hūṅ. Mehrbānī karke mujhe logoṅ se bāt karne deṅ.”
Acts UrduGeoR 21:40  Kamānḍar mān gayā aur Paulus ne sīṛhī par khaṛe ho kar hāth se ishārā kiyā. Jab sab ḳhāmosh ho gae to Paulus Arāmī zabān meṅ un se muḳhātib huā,