DEUTERONOMY
Chapter 7
Deut | UrduGeoR | 7:1 | Rab terā Ḳhudā tujhe us mulk meṅ le jāegā jis par tū jā kar qabzā karegā. Wuh tere sāmne se bahut-sī qaumeṅ bhagā degā. Go yih sāt qaumeṅ yānī Hittī, Jirjāsī, Amorī, Kanānī, Farizzī, Hiwwī aur Yabūsī tādād aur tāqat ke lihāz se tujh se baṛī hoṅgī | |
Deut | UrduGeoR | 7:2 | to bhī Rab terā Ḳhudā unheṅ tere hawāle karegā. Jab tū unheṅ shikast degā to un sab ko us ke lie maḳhsūs karke halāk kar denā hai. Na un ke sāth ahd bāndhnā aur na un par rahm karnā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:3 | Un meṅ se kisī se shādī na karnā. Na apnī beṭiyoṅ kā rishtā un ke beṭoṅ ko denā, na apne beṭoṅ kā rishtā un kī beṭiyoṅ se karnā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:4 | Warnā wuh tumhāre bachchoṅ ko merī pairawī se dūr kareṅge aur wuh merī nahīṅ balki un ke dewatāoṅ kī ḳhidmat kareṅge. Tab Rab kā ġhazab tum par nāzil ho kar jaldī se tumheṅ halāk kar degā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:5 | Is lie un kī qurbāngāheṅ ḍhā denā. Jin pattharoṅ kī wuh pūjā karte haiṅ unheṅ chaknāchūr kar denā, un ke Yasīrat Dewī ke khambe kāṭ ḍālnā aur un ke but jalā denā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:6 | Kyoṅki tū Rab apne Ḳhudā ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai. Us ne duniyā kī tamām qaumoṅ meṅ se tujhe chun kar apnī qaum aur ḳhās milkiyat banāyā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:7 | Rab ne kyoṅ tumhāre sāth tālluq qāym kiyā aur tumheṅ chun liyā? Kyā is wajah se ki tum tādād meṅ dīgar qaumoṅ kī nisbat zyādā the? Hargiz nahīṅ! Tum to bahut kam the. | |
Deut | UrduGeoR | 7:8 | Balki wajah yih thī ki Rab ne tumheṅ pyār kiyā aur wuh wādā pūrā kiyā jo us ne qasam khā kar tumhāre bāpdādā ke sāth kiyā thā. Isī lie wuh fidyā de kar tumheṅ baṛī qudrat se Misr kī ġhulāmī aur us mulk ke bādshāh ke hāth se bachā lāyā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:9 | Chunāṅche jān le ki sirf Rab terā Ḳhudā hī Ḳhudā hai. Wuh wafādār Ḳhudā hai. Jo us se muhabbat rakhte aur us ke ahkām par amal karte haiṅ un ke sāth wuh apnā ahd qāym rakhegā aur un par hazār pushtoṅ tak mehrbānī karegā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:10 | Lekin us se nafrat karne wāloṅ ko wuh un ke rūbarū munāsib sazā de kar barbād karegā. Hāṅ, jo us se nafrat karte haiṅ, un ke rūbarū wuh munāsib sazā degā aur jhijkegā nahīṅ. | |
Deut | UrduGeoR | 7:11 | Chunāṅche dhyān se un tamām ahkām par amal kar jo maiṅ āj tujhe de rahā hūṅ tāki tū un ke mutābiq zindagī guzāre. | |
Deut | UrduGeoR | 7:12 | Agar tū un par tawajjuh de aur ehtiyāt se un par chale to phir Rab terā Ḳhudā tere sāth apnā ahd qāym rakhegā aur tujh par mehrbānī karegā, bilkul us wāde ke mutābiq jo us ne qasam khā kar tere bāpdādā se kiyā thā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:13 | Wuh tujhe pyār karegā aur tujhe us mulk meṅ barkat degā jo tujhe dene kā wādā us ne qasam khā kar tere bāpdādā se kiyā thā. Tujhe bahut aulād baḳhshne ke alāwā wuh tere khetoṅ ko barkat degā, aur tujhe kasrat kā anāj, angūr aur zaitūn hāsil hogā. Wuh tere rewaṛoṅ ko bhī barkat degā, aur tere gāy-bailoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ kī tādād baṛhtī jāegī. | |
Deut | UrduGeoR | 7:14 | Tujhe dīgar tamām qaumoṅ kī nisbat kahīṅ zyādā barkat milegī. Na tujh meṅ aur na tere maweshiyoṅ meṅ bāṅjhpan pāyā jāegā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:15 | Rab har bīmārī ko tujh se dūr rakhegā. Wuh tujh meṅ wuh ḳhatarnāk wabāeṅ phailne nahīṅ degā jin se tū Misr meṅ wāqif huā balki unheṅ un meṅ phailāegā jo tujh se nafrat rakhte haiṅ. | |
Deut | UrduGeoR | 7:16 | Jo bhī qaumeṅ Rab terā Ḳhudā tere hāth meṅ kar degā unheṅ tabāh karnā lāzim hai. Un par rahm kī nigāh se na deḳhnā, na un ke dewatāoṅ kī ḳhidmat karnā, warnā tū phaṅs jāegā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:17 | Go terā dil kahe, “Yih qaumeṅ ham se tāqatwar haiṅ. Ham kis tarah inheṅ nikāl sakte haiṅ?” | |
Deut | UrduGeoR | 7:18 | To bhī un se na ḍar. Wuhī kuchh zahan meṅ rakh jo Rab tere Ḳhudā ne Firaun aur pūre Misr ke sāth kiyā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:19 | Kyoṅki tū ne apnī āṅkhoṅ se Rab apne Ḳhudā kī wuh baṛī āzmāne wālī musībateṅ aur mojize, us kā wuh azīm iḳhtiyār aur qudrat dekhī jis se wuh tujhe wahāṅ se nikāl lāyā. Wuhī kuchh Rab terā Ḳhudā un qaumoṅ ke sāth bhī karegā jin se tū is waqt ḍartā hai. | |
Deut | UrduGeoR | 7:20 | Na sirf yih balki Rab terā Ḳhudā un ke darmiyān zambūr bhī bhejegā tāki wuh bhī tabāh ho jāeṅ jo pahle hamloṅ se bach kar chhup gae haiṅ. | |
Deut | UrduGeoR | 7:21 | Un se dahshat na khā, kyoṅki Rab terā Ḳhudā tere darmiyān hai. Wuh azīm Ḳhudā hai jis se sab ḳhauf khāte haiṅ. | |
Deut | UrduGeoR | 7:22 | Wuh raftā raftā un qaumoṅ ko tere āge se bhagā degā. Tū unheṅ ek dam ḳhatm nahīṅ kar sakegā, warnā janglī jānwar tezī se baṛh kar tujhe nuqsān pahuchāeṅge. | |
Deut | UrduGeoR | 7:23 | Rab terā Ḳhudā unheṅ tere hawāle kar degā. Wuh un meṅ itnī saḳht afrā-tafrī paidā karegā ki wuh barbād ho jāeṅge. | |
Deut | UrduGeoR | 7:24 | Wuh un ke bādshāhoṅ ko bhī tere qābū meṅ kar degā, aur tū un kā nām-o-nishān miṭā degā. Koī bhī terā sāmnā nahīṅ kar sakegā balki tū un sab ko barbād kar degā. | |
Deut | UrduGeoR | 7:25 | Un ke dewatāoṅ ke mujassame jalā denā. Jo chāṅdī aur sonā un par chaṛhāyā huā hai us kā lālach na karnā. Use na lenā warnā tū phaṅs jāegā. Kyoṅki in chīzoṅ se Rab tere Ḳhudā ko ghin ātī hai. | |