DEUTERONOMY
Chapter 14
Deut | UrduGeoR | 14:1 | Tum Rab apne Ḳhudā ke farzand ho. Apne āp ko murdoṅ ke sabab se na zaḳhmī karo, na apne sar ke sāmne wāle bāl munḍwāo. | |
Deut | UrduGeoR | 14:2 | Kyoṅki tū Rab apne Ḳhudā ke lie maḳhsūs-o-muqaddas qaum hai. Duniyā kī tamām qaumoṅ meṅ se Rab ne tujhe hī chun kar apnī milkiyat banā liyā hai. | |
Deut | UrduGeoR | 14:5 | hiran, ġhazāl, mrig, pahāṛī bakrī, mahāt, ġhazāl-e-Afrīqā aur pahāṛī bakrī khā sakte ho. | |
Deut | UrduGeoR | 14:6 | Jin ke khur yā pāṅw bilkul chire hue haiṅ aur jo jugālī karte haiṅ unheṅ khāne kī ijāzat hai. | |
Deut | UrduGeoR | 14:7 | Ūṅṭ, bijjū yā ḳhargosh khānā manā hai. Wuh tumhāre lie nāpāk haiṅ, kyoṅki wuh jugālī to karte haiṅ lekin un ke khur yā pāṅw chire hue nahīṅ haiṅ. | |
Deut | UrduGeoR | 14:8 | Suar na khānā. Wuh tumhāre lie nāpāk hai, kyoṅki us ke khur to chire hue haiṅ lekin wuh jugālī nahīṅ kartā. Na un kā gosht khānā, na un kī lāshoṅ ko chhūnā. | |
Deut | UrduGeoR | 14:9 | Pānī meṅ rahne wāle jānwar khāne ke lie jāyz haiṅ agar un ke par aur chhilke hoṅ. | |
Deut | UrduGeoR | 14:21 | Jo jānwar ḳhud baḳhud mar jāe use na khānā. Tū use apnī ābādī meṅ rahne wāle kisī pardesī ko de yā kisī ajnabī ko bech saktā hai aur wuh use khā saktā hai. Lekin tū use mat khānā, kyoṅki tū Rab apne Ḳhudā ke lie maḳhsūs-o-muqaddas qaum hai. Bakrī ke bachche ko us kī māṅ ke dūdh meṅ pakānā manā hai. | |
Deut | UrduGeoR | 14:22 | Lāzim hai ki tū har sāl apne khetoṅ kī paidāwār kā daswāṅ hissā Rab ke lie alag kare. | |
Deut | UrduGeoR | 14:23 | Is ke lie apnā anāj, angūr kā ras, zaitūn kā tel aur maweshī ke pahlauṭhe Rab apne Ḳhudā ke huzūr le ānā yānī us jagah jo wuh apne nām kī sukūnat ke lie chunegā. Wahāṅ yih chīzeṅ qurbān karke khā tāki tū umr-bhar Rab apne Ḳhudā kā ḳhauf mānanā sīkhe. | |
Deut | UrduGeoR | 14:24 | Lekin ho saktā hai ki jo jagah Rab terā Ḳhudā apne nām kī sukūnat ke lie chunegā wuh tere ghar se had se zyādā dūr ho aur Rab tere Ḳhudā kī barkat ke bāis mazkūrā daswāṅ hissā itnā zyādā ho ki tū use maqdis tak nahīṅ pahuṅchā saktā. | |
Deut | UrduGeoR | 14:25 | Is sūrat meṅ use bech kar us ke paise us jagah le jā jo Rab terā Ḳhudā apne nām kī sukūnat ke lie chunegā. | |
Deut | UrduGeoR | 14:26 | Wahāṅ pahuṅch kar un paisoṅ se jo jī chāhe ḳharīdnā, ḳhāh gāy-bail, bheṛ-bakrī, mai yā mai jaisī koī aur chīz kyoṅ na ho. Phir apne gharāne ke sāth mil kar Rab apne Ḳhudā ke huzūr yih chīzeṅ khānā aur ḳhushī manānā. | |
Deut | UrduGeoR | 14:27 | Aise mauqoṅ par un Lāwiyoṅ kā ḳhayāl rakhnā jo tere qabāylī ilāqe meṅ rahte haiṅ, kyoṅki unheṅ mīrās meṅ zamīn nahīṅ milegī. | |