Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
I CORINTHIANS
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 16
I Co UrduGeoR 16:1  Rahī chande kī bāt jo Yarūshalam ke muqaddasīn ke lie jamā kiyā jā rahā hai to usī hidāyat par amal kareṅ jo maiṅ Galatiyā kī jamātoṅ ko de chukā hūṅ.
I Co UrduGeoR 16:2  Har Itwār ko āp meṅ se har koī apne kamāe hue paisoṅ meṅ se kuchh is chande ke lie maḳhsūs karke apne pās rakh chhoṛe. Phir mere āne par hadiyājāt jamā karne kī zarūrat nahīṅ paṛegī.
I Co UrduGeoR 16:3  Jab maiṅ āūṅgā to aise afrād ko jo āp ke nazdīk qābil-e-etamād haiṅ ḳhutūt de kar Yarūshalam bhejūṅgā tāki wuh āp kā hadiyā wahāṅ tak pahuṅchā deṅ.
I Co UrduGeoR 16:4  Agar munāsib ho ki maiṅ bhī jāūṅ to wuh mere sāth jāeṅge.
I Co UrduGeoR 16:5  Maiṅ Makiduniyā se ho kar āp ke pās āūṅgā kyoṅki Makiduniyā meṅ se safr karne kā irādā rakhtā hūṅ.
I Co UrduGeoR 16:6  Shāyad āp ke pās thoṛe arse ke lie ṭhahrūṅ, lekin yih bhī mumkin hai ki sardiyoṅ kā mausam āp hī ke sāth kāṭūṅ tāki mere bād ke safr ke lie āp merī madad kar sakeṅ.
I Co UrduGeoR 16:7  Maiṅ nahīṅ chāhtā ki is dafā muḳhtasar mulāqāt ke bād chaltā banūṅ, balki merī ḳhāhish hai ki kuchh waqt āp ke sāth guzārūṅ. Shart yih hai ki Ḳhudāwand mujhe ijāzat de.
I Co UrduGeoR 16:8  Lekin Īd-e-Pantikust tak maiṅ Ifisus meṅ hī ṭhahrūṅga,
I Co UrduGeoR 16:9  kyoṅki yahāṅ mere sāmne muassir kām ke lie ek baṛā darwāzā khul gayā hai aur sāth hī bahut-se muḳhālif bhī paidā ho gae haiṅ.
I Co UrduGeoR 16:10  Agar Tīmuthiyus āe to is kā ḳhayāl rakheṅ ki wuh bilāḳhauf āp ke pās rah sake. Merī tarah wuh bhī Ḳhudāwand ke khet meṅ fasal kāṭ rahā hai.
I Co UrduGeoR 16:11  Is lie koī use haqīr na jāne. Use salāmatī se safr par rawānā kareṅ tāki wuh mujh tak pahuṅche, kyoṅki maiṅ aur dīgar bhāī us ke muntazir haiṅ.
I Co UrduGeoR 16:12  Bhāī Apullos kī maiṅ ne baṛī hauslā-afzāī kī hai ki wuh dīgar bhāiyoṅ ke sāth āp ke pās āe, lekin Allāh ko qat'an manzūr na thā. Tāham mauqā milne par wuh zarūr āegā.
I Co UrduGeoR 16:13  Jāgte raheṅ, īmān meṅ sābitqadam raheṅ, mardānagī dikhāeṅ, mazbūt bane raheṅ.
I Co UrduGeoR 16:15  Bhāiyo, maiṅ ek bāt meṅ āp ko nasīhat karnā chāhtā hūṅ. Āp jānte haiṅ ki Stifanās kā gharānā Aḳhayā kā pahlā phal hai aur ki unhoṅ ne apne āp ko muqaddasīn kī ḳhidmat ke lie waqf kar rakhā hai.
I Co UrduGeoR 16:16  Āp aise logoṅ ke tābe raheṅ aur sāth hī har us shaḳhs ke jo un ke sāth ḳhidmat ke kām meṅ jāṅfishānī kartā hai.
I Co UrduGeoR 16:17  Stifanās, Furtūnātus aur Aḳhīkus ke pahuṅchne par maiṅ bahut ḳhush huā, kyoṅki unhoṅ ne wuh kamī pūrī kar dī jo āp kī ġhairhāzirī se paidā huī thī.
I Co UrduGeoR 16:18  Unhoṅ ne merī rūh ko aur sāth hī āp kī rūh ko bhī tāzā kiyā hai. Aise logoṅ kī qadar kareṅ.
I Co UrduGeoR 16:19  Āsiyā kī jamāteṅ āp ko salām kahtī haiṅ. Akwilā aur Priskillā āp ko Ḳhudāwand meṅ purjosh salām kahte haiṅ aur un ke sāth wuh jamāt bhī jo un ke ghar meṅ jamā hotī hai.
I Co UrduGeoR 16:20  Tamām bhāī āp ko salām kahte haiṅ. Ek dūsre ko muqaddas bosā dete hue salām kaheṅ.
I Co UrduGeoR 16:21  Yih salām maiṅ yānī Paulus apne hāth se likhtā hūṅ.
I Co UrduGeoR 16:22  Lānat us shaḳhs par jo Ḳhudāwand se muhabbat nahīṅ rakhtā. Ai hamāre Ḳhudāwand, ā!