Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
I CORINTHIANS
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 11
I Co UrduGeoR 11:1  Mere namūne par chaleṅ jis tarah maiṅ Masīh ke namūne par chaltā hūṅ.
I Co UrduGeoR 11:2  Shābāsh ki āp har tarah se mujhe yād rakhte haiṅ. Āp ne riwāyāt ko yoṅ mahfūz rakhā hai jis tarah maiṅ ne unheṅ āp ke sapurd kiyā thā.
I Co UrduGeoR 11:3  Lekin maiṅ āp ko ek aur bāt se āgāh karnā chāhtā hūṅ. Har mard kā sar Masīh hai jabki aurat kā sar mard aur Masīh kā sar Allāh hai.
I Co UrduGeoR 11:4  Agar koī mard sar ḍhāṅk kar duā yā nabuwwat kare to wuh apne sar kī be'izzatī kartā hai.
I Co UrduGeoR 11:5  Aur agar koī ḳhātūn nange sar duā yā nabuwwat kare to wuh apne sar kī be'izzatī kartī hai, goyā wuh sar munḍī hai.
I Co UrduGeoR 11:6  Jo aurat apne sar par dopaṭṭā nahīṅ letī wuh ṭinḍ karwāe. Lekin agar ṭinḍ karwānā yā sar munḍwānā us ke lie be'izzatī kā bāis hai to phir wuh apne sar ko zarūr ḍhāṅke.
I Co UrduGeoR 11:7  Lekin mard ke lie lāzim hai ki wuh apne sar ko na ḍhāṅke kyoṅki wuh Allāh kī sūrat aur jalāl ko mun'akis kartā hai. Lekin aurat mard kā jalāl mun'akis kartī hai,
I Co UrduGeoR 11:8  kyoṅki pahlā mard aurat se nahīṅ niklā balki aurat mard se niklī hai.
I Co UrduGeoR 11:9  Mard ko aurat ke lie ḳhalaq nahīṅ kiyā gayā balki aurat ko mard ke lie.
I Co UrduGeoR 11:10  Is wajah se aurat farishtoṅ ko pesh-e-nazar rakh kar apne sar par dopaṭṭā le jo us par iḳhtiyār kā nishān hai.
I Co UrduGeoR 11:11  Lekin yād rahe ki Ḳhudāwand meṅ na aurat mard ke baġhair kuchh hai aur na mard aurat ke baġhair.
I Co UrduGeoR 11:12  Kyoṅki agarche ibtidā meṅ aurat mard se niklī, lekin ab mard aurat hī se paidā hotā hai. Aur har shai Allāh se nikaltī hai.
I Co UrduGeoR 11:13  Āp ḳhud faislā kareṅ. Kyā munāsib hai ki koī aurat Allāh ke sāmne nange sar duā kare?
I Co UrduGeoR 11:14  Kyā fitrat bhī yih nahīṅ sikhātī ki lambe bāl mard kī be'izzatī kā bāis haiṅ
I Co UrduGeoR 11:15  jabki aurat ke lambe bāl us kī izzat kā mūjib haiṅ? Kyoṅki bāl use ḍhāṅpne ke lie die gae haiṅ.
I Co UrduGeoR 11:16  Lekin is silsile meṅ agar koī jhagaṛne kā shauq rakhe to jān le ki na hamārā yih dastūr hai, na Allāh kī jamātoṅ kā.
I Co UrduGeoR 11:17  Maiṅ āp ko ek aur hidāyat detā hūṅ. Lekin is silsile meṅ mere pās āp ke lie tārīfī alfāz nahīṅ, kyoṅki āp kā jamā honā āp kī behtarī kā bāis nahīṅ hotā balki nuqsān kā bāis.
I Co UrduGeoR 11:18  Awwal to maiṅ suntā hūṅ ki jab āp jamāt kī sūrat meṅ ikaṭṭhe hote haiṅ to āp ke darmiyān pārṭībāzī nazar ātī hai. Aur kisī had tak mujhe is kā yaqīn bhī hai.
I Co UrduGeoR 11:19  Lāzim hai ki āp ke darmiyān muḳhtalif pārṭiyāṅ nazar āeṅ tāki āp meṅ se wuh zāhir ho jāeṅ jo āzmāne ke bād bhī sachche nikleṅ.
I Co UrduGeoR 11:20  Jab āp jamā hote haiṅ to jo khānā āp khāte haiṅ us kā Ashā-e-Rabbānī se koī tālluq nahīṅ rahā.
I Co UrduGeoR 11:21  Kyoṅki har shaḳhs dūsroṅ kā intazār kie baġhair apnā khānā khāne lagtā hai. Natīje meṅ ek bhūkā rahtā hai jabki dūsre ko nashā ho jātā hai.
I Co UrduGeoR 11:22  Tājjub hai! Kyā khāne-pīne ke lie āp ke ghar nahīṅ? Yā kyā āp Allāh kī jamāt ko haqīr jān kar un ko jo ḳhālī hāth āe haiṅ sharmindā karnā chāhte haiṅ? Maiṅ kyā kahūṅ? Kyā āp ko shābāsh dūṅ? Is meṅ maiṅ āp ko shābāsh nahīṅ de saktā.
I Co UrduGeoR 11:23  Kyoṅki jo kuchh maiṅ ne āp ke sapurd kiyā hai wuh mujhe Ḳhudāwand hī se milā hai. Jis rāt Ḳhudāwand Īsā ko dushman ke hawāle kar diyā gayā us ne roṭī le kar
I Co UrduGeoR 11:24  shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke kahā, “Yih merā badan hai jo tumhāre lie diyā jātā hai. Mujhe yād karne ke lie yihī kiyā karo.”
I Co UrduGeoR 11:25  Isī tarah us ne khāne ke bād pyālā le kar kahā, “Mai kā yih pyālā wuh nayā ahd hai jo mere ḳhūn ke zariye qāym kiyā jātā hai. Jab kabhī ise piyo to mujhe yād karne ke lie piyo.”
I Co UrduGeoR 11:26  Kyoṅki jab bhī āp yih roṭī khāte aur yih pyālā pīte haiṅ to Ḳhudāwand kī maut kā elān karte haiṅ, jab tak wuh wāpas na āe.
I Co UrduGeoR 11:27  Chunāṅche jo nālāyq taur par Ḳhudāwand kī roṭī khāe aur us kā pyālā pie wuh Ḳhudāwand ke badan aur ḳhūn kā gunāh kartā hai aur qusūrwār ṭhahregā.
I Co UrduGeoR 11:28  Har shaḳhs apne āp ko parakh kar hī is roṭī meṅ se khāe aur pyāle meṅ se pie.
I Co UrduGeoR 11:29  Jo roṭī khāte aur pyālā pīte waqt Ḳhudāwand ke badan kā ehtirām nahīṅ kartā wuh apne āp par Allāh kī adālat lātā hai.
I Co UrduGeoR 11:30  Isī lie āp ke darmiyān bahutere kamzor aur bīmār haiṅ balki bahut-se maut kī nīnd so chuke haiṅ.
I Co UrduGeoR 11:31  Agar ham apne āp ko jāṅchte to Allāh kī adālat se bache rahte.
I Co UrduGeoR 11:32  Lekin Ḳhudāwand hamārī adālat karne se hamārī tarbiyat kartā hai tāki ham duniyā ke sāth mujrim na ṭhahreṅ.
I Co UrduGeoR 11:33  Ġharz mere bhāiyo, jab āp khāne ke lie jamā hote haiṅ to ek dūsre kā intazār kareṅ.
I Co UrduGeoR 11:34  Agar kisī ko bhūk lagī ho to wuh apne ghar meṅ hī khānā khā le tāki āp kā jamā honā āp kī adālat kā bāis na ṭhahre. Dīgar hidāyāt maiṅ āp ko us waqt dūṅgā jab āp ke pās āūṅgā.