Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
II KINGS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 15
II K UrduGeoR 15:1  Uzziyāh bin Amasiyāh Isrāīl ke bādshāh Yarubiyām Duwum kī hukūmat ke 27weṅ sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā.
II K UrduGeoR 15:2  Us waqt us kī umr 16 sāl thī, aur wuh Yarūshalam meṅ rah kar 52 sāl hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Yakūliyāh Yarūshalam kī rahne wālī thī.
II K UrduGeoR 15:3  Apne bāp Amasiyāh kī tarah us kā chāl-chalan Rab ko pasand thā,
II K UrduGeoR 15:4  lekin ūṅchī jaghoṅ ko dūr na kiyā gayā, aur ām log wahāṅ apnī qurbāniyāṅ chaṛhāte aur baḳhūr jalāte rahe.
II K UrduGeoR 15:5  Ek din Rab ne bādshāh ko sazā dī ki use koṛh lag gayā. Uzziyāh jīte-jī is bīmārī se shifā na pā sakā, aur use alāhidā ghar meṅ rahnā paṛā. Us ke beṭe Yūtām ko mahal par muqarrar kiyā gayā, aur wuhī ummat par hukūmat karne lagā.
II K UrduGeoR 15:6  Bāqī jo kuchh Uzziyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai.
II K UrduGeoR 15:7  Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Yūtām taḳhtnashīn huā.
II K UrduGeoR 15:8  Zakariyāh bin Yarubiyām Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh kī hukūmat ke 38weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Us kā dārul-hukūmat bhī Sāmariya thā, lekin chhih māh ke bād us kī hukūmat ḳhatm ho gaī.
II K UrduGeoR 15:9  Apne bāpdādā kī tarah Zakariyāh kā chāl-chalan bhī Rab ko nāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par Yarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā.
II K UrduGeoR 15:10  Sallūm bin Yabīs ne us ke ḳhilāf sāzish karke use sab ke sāmne qatl kiyā. Phir wuh us kī jagah bādshāh ban gayā.
II K UrduGeoR 15:11  Bāqī jo kuchh Zakariyāh kī hukūmat ke daurān huā us kā zikr ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ kiyā gayā hai.
II K UrduGeoR 15:12  Yoṅ Rab kā wuh wādā pūrā huā jo us ne Yāhū se kiyā thā, “Terī aulād chauthī pusht tak Isrāīl par hukūmat kartī rahegī.”
II K UrduGeoR 15:13  Sallūm bin Yabīs Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh ke 39weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Wuh Sāmariya meṅ rah kar sirf ek māh tak taḳht par baiṭh sakā.
II K UrduGeoR 15:14  Phir Manāhim bin Jādī ne Tirzā se ā kar Sallūm ko Sāmariya meṅ qatl kar diyā. Is ke bād wuh ḳhud taḳht par baiṭh gayā.
II K UrduGeoR 15:15  Bāqī jo kuchh Sallūm kī hukūmat ke daurān huā aur jo sāzisheṅ us ne kīṅ wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai.
II K UrduGeoR 15:16  Us waqt Manāhim ne Tirzā se ā kar shahr Tifsah ko us ke tamām bāshindoṅ aur gird-o-nawāh ke ilāqe samet tabāh kiyā. Wajah yih thī ki us ke bāshinde apne darwāzoṅ ko khol kar us ke tābe ho jāne ke lie taiyār nahīṅ the. Jawāb meṅ Manāhim ne un ko mārā aur tamām hāmilā auratoṅ ke peṭ chīr ḍāle.
II K UrduGeoR 15:17  Manāhim bin Jādī Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh kī hukūmat ke 39weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Sāmariya us kā dārul-hukūmat thā, aur us kī hukūmat kā daurāniyā 10 sāl thā.
II K UrduGeoR 15:18  Us kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā, aur wuh zindagī bhar un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par Yarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā.
II K UrduGeoR 15:19  Manāhim ke daur-e-hukūmat meṅ Asūr kā bādshāh Pūl yānī Tiglat-pilesar mulk se laṛne āyā. Manāhim ne use 34,000 kilogrām chāṅdī de dī tāki wuh us kī hukūmat mazbūt karne meṅ madad kare. Tab Asūr kā bādshāh Isrāīl ko chhoṛ kar apne mulk wāpas chalā gayā. Chāṅdī ke yih paise Manāhim ne amīr Isrāīliyoṅ se jamā kie. Har ek ko chāṅdī ke 50 sikke adā karne paṛe.
II K UrduGeoR 15:20  Manāhim ke daur-e-hukūmat meṅ Asūr kā bādshāh Pūl yānī Tiglat-pilesar mulk se laṛne āyā. Manāhim ne use 34,000 kilogrām chāṅdī de dī tāki wuh us kī hukūmat mazbūt karne meṅ madad kare. Tab Asūr kā bādshāh Isrāīl ko chhoṛ kar apne mulk wāpas chalā gayā. Chāṅdī ke yih paise Manāhim ne amīr Isrāīliyoṅ se jamā kie. Har ek ko chāṅdī ke 50 sikke adā karne paṛe.
II K UrduGeoR 15:21  Bāqī jo kuchh Manāhim kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai.
II K UrduGeoR 15:22  Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to us kā beṭā Fiqahiyāh taḳht par baiṭh gayā.
II K UrduGeoR 15:23  Fiqahiyāh bin Manāhim Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh ke 50weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Sāmariya meṅ rah kar us kī hukūmat kā daurāniyā do sāl thā.
II K UrduGeoR 15:24  Fiqahiyāh kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par Yarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā.
II K UrduGeoR 15:25  Ek din fauj ke ālā afsar Fiqah bin Ramaliyāh ne us ke ḳhilāf sāzish kī. Jiliyād ke 50 ādmiyoṅ ko apne sāth le kar us ne Fiqahiyāh ko Sāmariya ke mahal ke burj meṅ mār ḍālā. Us waqt do aur afsar banām Arjūb aur Ariyā bhī us kī zad meṅ ā kar mar gae. Is ke bād Fiqah taḳht par baiṭh gayā.
II K UrduGeoR 15:26  Bāqī jo kuchh Fiqahiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai.
II K UrduGeoR 15:27  Fiqah bin Ramaliyāh Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh kī hukūmat ke 52weṅ sāl meṅ Isrāīl kā bādshāh banā. Sāmariya meṅ rah kar wuh 20 sāl tak hukūmat kartā rahā.
II K UrduGeoR 15:28  Fiqah kā chāl-chalan Rab ko nāpasand thā. Wuh un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par Yarubiyām bin Nabāt ne Isrāīl ko uksāyā thā.
II K UrduGeoR 15:29  Fiqah ke daur-e-hukūmat meṅ Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar ne Isrāīl par hamlā kiyā. Zail ke tamām shahr us ke qabze meṅ ā gae: Aiyyūn, Abīl-bait-mākā, Yānūh, Qādis aur Hasūr. Jiliyād aur Galīl ke ilāqe bhī Naftālī ke pūre qabāylī ilāqe samet us kī girift meṅ ā gae. Asūr kā bādshāh in tamām jaghoṅ meṅ ābād logoṅ ko giriftār karke apne mulk Asūr le gayā.
II K UrduGeoR 15:30  Ek din Hosea bin Ailā ne Fiqah ke ḳhilāf sāzish karke use maut ke ghāṭ utār diyā. Phir wuh ḳhud taḳht par baiṭh gayā. Yih Yahūdāh ke bādshāh Yūtām bin Uzziyāh kī hukūmat ke 20weṅ sāl meṅ huā.
II K UrduGeoR 15:31  Bāqī jo kuchh Fiqah kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai.
II K UrduGeoR 15:32  Uzziyāh kā beṭā Yūtām Isrāīl ke bādshāh Fiqah kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā.
II K UrduGeoR 15:33  Wuh 25 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur Yarūshalam meṅ rah kar 16 sāl hukūmat kartā rahā. Us kī māṅ Yarūsā bint Sadoq thī.
II K UrduGeoR 15:34  Wuh apne bāp Uzziyāh kī tarah wuh kuchh kartā rahā jo Rab ko pasand thā.
II K UrduGeoR 15:35  To bhī ūṅchī jaghoṅ ke mandir haṭāe na gae. Log wahāṅ apnī qurbāniyāṅ chaṛhāne aur baḳhūr jalāne se bāz na āe. Yūtām ne Rab ke ghar kā Bālāī Darwāzā tāmīr kiyā.
II K UrduGeoR 15:36  Bāqī jo kuchh Yūtām kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ qalamband hai.
II K UrduGeoR 15:37  Un dinoṅ meṅ Rab Shām ke bādshāh Razīn aur Fiqah bin Ramaliyāh ko Yahūdāh ke ḳhilāf bhejne lagā tāki us se laṛeṅ.
II K UrduGeoR 15:38  Jab Yūtām mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Āḳhaz taḳht par baiṭh gayā.